Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera Full With Sharah




Wah kya judo karam hai shahe bat-ha Tera
Nahin Sunta hi nahin mangne wala Tera
Sharah

Dhaare chalte hein ata ke wo hai qadrah Tera
Tare khilte hein sakha ke wo hai zarra Tera
Faiz hai ya shahe tasneem niraala Tera
Aap pyaason ke tajassus mein hai dariya Tera

Agniyaa palte hein dar se wo hai bada Tera
Asfiyaa chalte hein sar se wo hai rasta Tera
Sharah

Farsh wale teri shokat ka uluv kya jaane
Khusrawan arsh pe udta hai farera Tera
Sharah

Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman
Sahibe khana laqab kiska hai tera tera
Sharah

Mein to mailk hi kahun ga ke ho mailk ke habeeb
Yani mehboobo muhhib mein nahin mera tera

Tere qadmon mein jo hai ghair ka muh kya dekhe
Kaun nazron pe chadeh dekh ke talwa tera
Sharah

Behre saeel ka hun saeel na kunven ka pyasa
Khud buja jaaye kaleja mera chhinta tera
Sharah

Chor hakim se chhupa karte hein ya uske khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha Tera
Sharah

Aankhen thandi hon jigar taaje hon jaanein sayrab
Sachche suraj wo dil aara hai ujala Tera
Sharah

Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka saheeh bhari hai bharosa Tera
Sharah

Ek mein kya mere isyaan ki hakeekat kitni
Muj se so laakh ko kafi hai ishara Tera
Sharah 

Muft pala tha kabhi kaam ki aadat na padi
Ab amal puchhte hein haye nikamma Tera
Sharah

Tere tukdon pe pale ghair ki thokar pe na dal
Jidkiyan khayen kahan chhod ke sadka Tera
Sharah

Khwaro bimar khatawaro gunahghar hun mein
Raafei wa nafein wa shafei lakab aaqa Tera

Meri takdeer buri ho to bhali karde ke hai
Mahaw wa asbat ke daftar pe karoda Tera
Sharah

Tu Jo Chahe To Abhi Mail Mere dil ke dhulein
Ke Khuda dil nahin karta kabhi maila Tera
Sharah


Kis ka Munh takein , kahan jaayein , Kis se kahein
Tere ji qadmon pe mit jaaye ye paala Tera

Tune Islam diya , Tune Jama'at mein liya
Tu Kareem ab koi firta hai atayyah Tera

Maut sunta hun talkh hai zahraba-e-naab 
Kaun laade Mujhe Talwon ka gisala Tera

Door kya jaaniye badkar pe kaisi guzre 
Tere hi dar pe mare be-kas wa tanha Tera

Tere Sadke Mujhe Ek bund bahot hai Teri 
Jis din acchhon ko mile jaam chhalakta Tera

Haramo Tayba wa Bagdad jidhar kijiye nigah
Jo'at padti hai Teri noor hai chhinta Tera

Teri Sarkar mein laata hai Raza usko shafee'i
Jo Mera Gaus hai aur ladla beta Tera

Comments

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar || Lyrics || Wo Muhammad Madine mein Maujud hai || हमने आँखों से देखा नहीं है मगर || ENG HINDI URDU

Wo Mera Nabi hai Lyrics || Wo Jiske liye Mehfile Konain saji hai || वो मेरा नबी है || वो जिसके लिए महफिले कोनैन सजी है || وو جسکے لئے محفل کَونَیْن سجی ہے || Lyrics

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || अल्लाहुम्म सल्ली अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मदिन || ENG HINDI URDU

Shahe Do Alam Salam Assalam || शाहे दो आलम सलाम अस्सलाम || شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Aye Khatme Rasool Makki Madani || अये खत्मे रसूल मक्की मदनी || Lyrics || Hafiz Uzair Akhtari

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra || Lyrics || फ़ज़्ले रब्बे पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना || मदनी सेहरा || Haifz Tahir Qadri

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics || अपने मालिक का में नाम लेकर || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & اردو(Urdu)

Aa gayaa Ramzaan hai Kalaam lyrics || Ramzan Special || Bilaal Qadri || Roman(Eng) & हिंदी

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक

Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par || Salam Lyrics || बुलालो सरकार तुम अपने दर पर

Facebook Page