- Get link
- X
- Other Apps
chamak tujhse paate hei.n sab paane waale
chamak tujhse paate hei.n sab paane waalemera dil bhi chamkaa-de chamkaane waale !
barasta nahi.n dekh kar abr-e-rahmat
bado.n par bhi barsa de, barsaa ne waale !
madine ke khitte ! KHuda tujh ko rakkhe
ghareebo.n fakeero.n ke thaheraane waale !
tu zinda hai walllah ! tu zinda he walllah !
mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale !
mai.n mujrim hu.n aaqa ! mujhe saath le-lo
ke raste mei.n hei.n jaa-baja thaane waale
tera khaae.n , tere ghulaamo.n se uljhe
hai munkir ajab khaane-ghurraane waale
rahe-ga yu.nhi unka charcha rahega
pare khaak hojaayei.n jal-jaane waale
ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi
zara chain le mere gabraane waale
haram ki zamee,n aur kadam rakhke chalna
are ! sar ka mauka hai oh jaane-waale
raza nafs dushman hai, dum mei.n na aana
kahaa.n tumne dekhe hei.n chandraane waale
same lyrics with tazmeen:
tumhi farsh se 'arsh par jaane-waale
tumhi ne'matei.n rab se dilwaane waale
tere aage sab haath failaane waale
chamak tujhse paate hei.n sab paane waale
mera dil bhi chamkaa-de chamkaane waale
hei.n makke ke jalwe bhi maana ke achchhe
magar mai.n madine ki 'azmat ke sadqe
ise to hai nisbat mere mustafa se
madine ke khitte ! KHuda tujh ko rakkhe
ghareebo.n fakeero.n ke thaheraane waale
ghareebo.n fakeero.n ke thaheraane waale
gulaam-e-nabi KHuld mei.n jaa base-ga
jahannam mei.n aaqa ka munkir jale-ga
jo sunni hai wo to hamesha kahe-ga
rahe-ga yu.nhi unka charcha rahe-ga
pare khaak hojaayei.n jal-jaane waale
pare khaak hojaayei.n jal-jaane waale
aye mushkil-kusha ! kijiye mushkil-kushaayi
tadap kar jo maine sada ye lagaayi
aaqa ki rahmat ye paigham laayi
ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi
zara chain le mere gabraane waale
suwaari se apni tu jis dam utarna
madine ke zaaeer ! zara tu sambhalna
wahaa.n tha mere mustafa ka guzarna
haram ki zamee,n aur kadam rakhke chalna
are ! sar ka mauka hai oh jaane-waale
hai be-misl tera karam jaan-e-'izzat
ghulamo.n pe har-dam hai teri inaayat
wo gulshan ho, sehra ho, dariya ke parbat
barasta nahi.n dekh kar abr-e-rahmat
bado.n par bhi barsa de, barsaa ne waale !
bado.n par bhi barsa de, barsaa ne waale !
ye munkir munaafik hai ganda hai wallah !
galaazat ka balke pulanda hai wallah !
jahannam pe naam uska kunda hai wallah !
jo murda kahe tumko murda hai wallah
tu zinda hai walllah ! tu zinda he walllah !
mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale !
mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale !
sada geet unki mohabbat ke gaana
jigar munkiro.n ke yu.nhi tum jalaana
ubaid-e-raza unse dhoka na khaana
raza ka ye Paigaam na bhool jana
raza nafs dushman hai, dum mei.n na aana
kahaa.n tumne dekhe hei.n chand-raane waale
kahaa.n tumne dekhe hei.n chand-raane waale
चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले
चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले
मेरा दिल भी चका दे चमकाने वाले
बरसता नहीं देख कर अब्र-ए-रहमत
बदों पर भी बरसा दे , बरसाने वाले
मदीने के खित्ते ! ख़ुदा तुझको रक्खे
ग़रीबों, फकीरों के ठहराने वाले
तू ज़िंदा है वल्लाह ! तू ज़िंदा है वल्लाह !
मेरे चश्म-ए-'आलम से छुप जाने वाले
मैं मुझरीम हूँ आक़ा ! मुझे साथ ले-लो
के रस्ते में हैं जा-बजा थाने वाले
तेरा खाएं, तेरे ग़ुलामों से उलझें
हैं मुनकिर बड़े खाने-गुर्राने वाले
रहेगा यूँही उनका चर्चा रहेगा
परे खाके हो जाएं जल जाने वाले
अब आयी शफा'अत की सा'अत है आयी
ज़रा चैन ले मेरे गबराने वाले
हरम की ज़मीं और कदम रख-के चलना
अरे सर का मौका है ओ जाने वाले
रज़ा नफ़्स दुश्मन है दम में न आना
कहाँ तुमने देखे हैं चन्द्राने वाले
समान लिरिक्स, तज़मीन के साथ:
तुम्ही फर्श से अर्श पर जाने वाले
तुम्ही ने'अमतें रब से दिलवाने वाले
तेरे आगे सब हाथ फैलाने वाले
चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले
मेरा दिल भी चका दे चमकाने वाले
हैं मक्के के जलवे भी माना के अच्छे
मगर मैं मदीने की 'अज़मत के सदक़े
इसे तो है निस्बत, मेरे मुस्तफा से
मदीने के खित्ते ! ख़ुदा तुझको रक्खे
ग़रीबों, फकीरों के ठहराने वाले
ग़ुलाम-ए-नबी खुल्द में जा बसेगा
जहन्नम में आक़ा का मुनकिर जलेगा
जो सुन्नी है वो तो हमेशा कहेगा
रहेगा यूँही उनका चर्चा रहेगा
परे खाके हो जाएं जल जाने वाले
अये मुश्किल कुशा ! कीजिये मुश्किल कुशाई
तड़प कर जो मैंने सदा ये लगाई
आक़ा की रहमत ये पैग़ाम लायी
अब आयी शफा'अत की सा'अत है आयी
ज़रा चैन ले मेरे गबराने वाले
सवारी से अपनी तू जिस दम उतरना
मदीने के जाइर ! ज़रा तू संभालना
यहां था मेरे मुस्तफा का गुज़रना
हरम की ज़मीं और कदम रख-के चलना
अरे ! सर का मौका है ओ जाने वाले
है बे-मिस्ल तेरा करम जान-ए-'इज़्ज़त
ग़ुलामों पे हर दम है तेरी इनायत
वो गुलशन हो, सहेरा हो, दरिया के परबत
बरसता नहीं देख कर अब्र-ए-रहमत
बदों पर भी बरसा दे , बरसाने वाले
ये मुनकिर मुनाफिक है, गन्दा है वल्लाह !
गलाज़त का बल्कि पुलंदा है वल्लाह !
जहन्नम पे नाम उसका कुंदा है वल्लाह !
जो मुर्दा कहे तुमको, मुर्दा है वल्लाह !
तू ज़िंदा है वल्लाह ! तू ज़िंदा है वल्लाह !
मेरे चश्म-ए-'आलम से छुप जाने वाले
सदा गीत उनकी मोहब्बत के गाना
जिगर मुन्किरों के यूँही तुम जलाना
उबैद-ए-रज़ा उनसे धोका न खाना
रज़ा का ये पैग़ाम ना भूल जाना
रज़ा नफ़्स दुश्मन है दम में न आना
कहाँ तुमने देखे हैं चन्द्राने वाले
چمک تجھسے پاتے ہیں سب پانے والے
چمک تجھسے پاتے ہیں سب پانے والے
میرا دل بھی چمکا دے چمکانے والے
برستا نہیں دیکھ کر ابر رحمت
بدوں پر بھی برسا دے برسانے والے
مدینے کے خطّے ! خدا تجھکو رکّھے
غریبوں فکروں کے ٹھہرانے والے
تو زندہ ہے واللہ ! تو زندہ ہے واللہ
میرے چشم عالم سے چھپ جانے والے
میں مجرم ہوں آقا ! مجھے ساتھ لے لو
کے راستے میں ہیں جا بجا تھانے والے
تیرا کھائیں تیرے غلاموں سے الجیں
ہیں منکر بڑے خانے گرانے والے
رہیگا یونہی انکا چرچا رہیگا
پڑے خاک ہو جائیں جل جانے والے
اب آیی شفاعت کی ساعت ہے آیی
ذرا چین لے میرے گبرانے والے
حرم کی زمیں اور قدم رکھکے چلنا
ارے سر کا موکا ہے او جانے والے
رضا نفس دشمن ہے دم میں نہ آنا
کہاں تمنے دیکھے ہیں چندرانے والے
: ویسی ہی لیرکس تضمین کے ساتھ
تمہی فرش سے عرش پر جانے والے
تمہی نعمتیں رب سے دلوانے والے
تیرے آگے سب ہاتھ پھیلانے والے
چمک تجھسے پاتے ہیں سب پانے والے
میرا دل بھی چمکا دے چمکانے والے
ہیں مکّے کے جلوے بھی مانا کے اچھے
مگر میں مدینے کی عظمت کے صدقے
اسے تو ہے نسبت ، میرے مصطفیٰ سے
مدینے کے خطّے ! خدا تجھکو رکّھے
غریبوں فکروں کے ٹھہرانے والے
غلام نبی خلد میں جا بسیگا
جہنّم میں آقا کا منکر جلیگا
جو سنی ہے وہ تو ہمیشہ کہیگا
رہیگا یونہی انکا چرچا رہیگا
پڑے خاک ہو جائیں جل جانے والے
اے مشکل کشا ! کیجئے مشکل کشائی
تڑپ کر کے مہینے صدا یہ لگائی
آقا کی رحمت یہ پیغام لائی
اب آیی شفاعت کی ساعت ہے آیی
ذرا چین لے میرے گبرانے والے
سواری سے اپنی تو جس دم اترنا
مدینے کے زائر ! ذرا تو سن٘بَھلنا
یہاں تھا میرے مصطفیٰ کا گزرنا
حرم کی زمیں اور قدم رکھکے چلنا
ارے سر کا موکا ہے او جانے والے
ہے بے مثل تیرا کرم جان عزت
غلاموں پے ہر دم ہے تیری عنایت
وہ گلشن ہو ، صحرا ہو ، دریا کے پربت
برستا نہیں دیکھ کر ابر رحمت
بدوں پر بھی برسا دے برسانے والے
یہ منکر منافک ہے ، گندا ہے واللہ
گلاضت کا بلکی پلندہ ہے واللہ
جہنّم پے نام اسکا کندہ ہے واللہ
جو مردہ کہے تمکو ، مردہ ہے واللہ
تو زندہ ہے واللہ ! تو زندہ ہے واللہ
میرے چشم عالم سے چھپ جانے والے
صدا گیت انکے محبَّت کے گانا
جگر منکروں کے یونہی تم جلانا
عبید رضا انسے دھوکہ نہ خانہ
رضا کا یہ پیغام نہ بھول جانا
رضا نفس دشمن ہے دم میں نہ آنا
کہاں تھمنے دیکھے ہیں چندرانے والے
More Lyrics :
ala hazrat naat
C
owais qadri
tazmeen
- Get link
- X
- Other Apps
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...
Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर
apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...







.png)




Comments
Post a Comment