Posts

Showing posts with the label hadaik-e-bakhshish

Nematein bantata Jis simt wo zeeshan gaya Lyrics / नेमतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गया

ne'matein bantata jis simt wo zee-shaan gaya - English ne'matein bantata jis simt wo zee-shaan gaya sath hi munshi-e-rahmat ka qalam-daan gaya le khabar jald ke gairon ki taraf dhyaan gaya mere aaqa! mere maula! tere qurbaan gaya aah! wo aankh ke nakaam-e-tamanna hi rahi haaye! wo dil jo tere dar se pur-armaan gaya dil hai wo dil jo teri yaad se ma'moor raha sar hai wo sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya unhein jaana, unhein maana, na rakkha gair se kaam lillahil hamd main duniya se musalmaan gaya aur tum par mere aaqa ki inaayat na sahi najdiyon! kalma padaane ka bhi ahesaan gaya aaj le unki panaah, aaj madad mang unse phir na maanenge, qayaamat mein agar maan gaya uff re! munkir ye bada josh-e-ta'assub aakhir bhid me.n hath se kambakht ke imaan gaya jaan-o-dil hosh-o-khirad sab to madine pahunche tum nahin chalte raza! saara to saaman gaya Click Here for Mushkil Alfaaz ke ma'ani ने'मतें बांटता जिस सिम्त वो ज़ी-शान गय...

Ham Khak hein aur Khak hi mawa hai Hamara Lyrics / हम ख़ाक हैं और ख़ाक ही मावा है हमारा

ham khaak hein aur khaak hi mawa hai hamra - English ham khaak hein aur khaak hi mawa hai hamra khaaki to wo aadam jadde aala hai hamara allah hamein khaak kare apni talab mein ye khaak to sarkar se tamga hai hamara jis khaak pe rakhte the qadam sayyide aalam us khaak pe qurban dil shayda hai hamara kham ho gayi pusht-e-falak is ta'ne zameen se sun ham pe madina hai ye rutba hai hamara isne laqabe khaak shahenshah se paaya jo haidare karrar ke maula hai hamara aye muddaiyon khaak ko tum khaak na samjho is khaak mein madfoon shahe bat't'ha hai hamara hai khaak se ta'meer mazaar-e-shahe konain ma'moor isi khaak se qibla hai hamara ham khaak udayenge jo wo khaak na paayi aabaad raza jispe madina hai hamara हम ख़ाक हैं और ख़ाक ही मावा है हमारा - Hindi हम ख़ाक हैं और ख़ाक ही मअवा है हमारा ख़ाकी तो वो आदम जद्द-ए-आला है हमारा अल्लाह हमें ख़ाक करे अपनी तलब में ये ख़ाक तो सरकार से तमगा ...

Unki Mahak ne Dil ke Gunche khila diye hein Lyrics / उनकी महक ने दिल के गु़ंचे खिला दिए हैं

Image
unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein jis raah chal gaye hein kooche basaa diye hein jab aa gayi hai josh-e-rehmat pe unki aankhein jalte bujaa diye hein rote hasaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein ek dil hamaara kya hai aazar uska kitna tumne to chalte firte murde jila diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein unke nisaar koi kaise hi ranj mein ho jab yaad aa gaye hein sab gham bhula diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein hamse faqeer bhi ab feri ko uthte hoge ab to gani ke dar par bistar jamaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein aane do ya dubon ko ab to tumhari janeeb kashti tumhi pe chhodi langar uthaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein allah kya jahannam ab bhi na sard hoga ro ro ke mustafa ne dariya bahaa d...

Guzre Jis Raah se Wo Sayyide Wala ho kar Lyrics / गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर

guzre jis raah se wo sayyid-e-wala ho kar guzre jis raah se wo sayyid-e-wala ho kar reh gayi sari zameen ambar-e-sara ho kar rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi rah gaya bosa dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar waae mehroomi-e-qismat ke main fir ab ke baras rah gaya hamrah-e-zawwar-e-madina ho kar chaman-e-taiba hai wo baag ke murg-e-sidra barson chehke hein jahaan bulbule sheyda ho kar sarsar-e-dasht-e-madina ka magar aaya khayal rashq-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dilwa ho kar ghosh-e-shah kehte hein fariyad rasi ko ham hein wa’da-e-chashm hai bakhshaenge goya ho kar paa-e-shah par gire ya rab tapash-e-maher se jab dil-e-betab udhe hashr mein para ho kar hai ye ummid raza ko teri rehmat se shaha na ho zindani-e-dozakh tera banda ho kar गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर रह गई सारी ज़मीन अंबर-ए-सरा होकर ...

Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera Full With Sharah

Wah kya judo karam hai shahe bat-ha Tera Nahin Sunta hi nahin mangne wala Tera Sharah Dhaare chalte hein ata ke wo hai qadrah Tera Tare khilte hein sakha ke wo hai zarra Tera Sharah Faiz hai ya shahe tasneem niraala Tera Aap pyaason ke tajassus mein hai dariya Tera Sharah Agniyaa palte hein dar se wo hai bada Tera Asfiyaa chalte hein sar se wo hai rasta Tera Sharah Farsh wale teri shokat ka uluv kya jaane Khusrawan arsh pe udta hai farera Tera Sharah Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman Sahibe khana laqab kiska hai tera tera Sharah Mein to mailk hi kahun ga ke ho mailk ke habeeb Yani mehboobo muhhib mein nahin mera tera Sharah Tere qadmon mein jo hai ghair ka muh kya dekhe Kaun nazron pe chadeh dekh ke talwa tera Sharah Behre saeel ka hun saeel na kunven ka pyasa Khud buja jaaye kaleja mera chhinta tera Sharah Chor hakim se chhupa karte hein ya uske khilaf Tere daman mein chhupe chor anokha Tera Sharah Aankhen thand...

Sar ta Bakadam hai Tane Sultane Zaman Phool Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी

Roman (Eng) : Sar ta Ba-qadam hai Tane Sultaane Zaman Phool Lab Phool , Zahen Phool , Zaqan Phool , Badan Phool Sadqe mein Tere Baag To Kya Laaye hein "Ban" Phool Is Ghuncha-e-Dil ko bhi to Imaan ho ke Ban Phool Tinka bhi Hamare To Hilaye nahin hilta Tum Chaho to ho jaaye Abhi Kohe Mehan Phool Wallah jo Mil jaaye Mere Ghul ka Pasina Mange na kabhi Itar Na Phir Chahe Dulhan Phool Dandano , Labo , Zulfo , Rukhe Shah ke Fidaee Hein Durre Adan , La'ale Yaman , Mushke Khatan Phool Hon Baare Gunaah se na Khajil Doshe Azizaan Allah Meri Na'ash kar Aye Jaane Chaman Phool Kya Baat RAZA Us Chamanistan-e-Karam ki Zuhra hai Kali Jis mein Husain Aur Hasan Phool हिंदी : सर ता बक़दम है तने सुल्ताने ज़मान फूल लैब फूल , ज़हन फूल , ज़क़न फूल, बदन फूल सदक़े में तेरे बाग़ तो क्या लाये हैं "बन" फूल इस गुंचा-इ-दिल को भी तो इमां हो के बन फूल तिनका भी हमारे तो हिलाये नहीं हिलता तुम चाहो तो हो जाये अभी कोहे महन फूल वल्लाह जो मिल जाए मेरे गुल का पसीना मांगे न कभी इत्र ,...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ