Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics
haajiyo.n ! mustafa se keh dena kamli waale ka naam le le kar be-sahaare salaam karte hei.n haajiyo.n ! mustafa se keh dena gham ke maare salaam karte he.n allah! allah! huzoor ki baatei.n marhaba ! rang-o-noor ki baate.n chaand jinki balaae.n leta hai aur sitaare salam karte hein zaaeer-e-taiba tu madine mein mere aaqa se itna keh dena pyaare aaqa rasool sun lijiye gham ke maare salam karte hein aye payaami ! meri qasam hai tuje 'arz karna rasool-e-akram se qalb-e-muztar ko hai huzoor tadap aur saare salam karte hein sabz-gumbad ka aankh mein manzar aur tasawwur mein aapka mimbar saamne jaaliyaa.n hein roze ki aur zahen se salaam karte hein allah! allah! Huzoor ke gesoo bhini-bhini mahekti wo khushbu jinse ma'moor hai fiza har soo wo nazaare salaam karte he.n jalwa-gaah-e-shah-e-anaam hai unke roze ka aheteraam hai ummati joom joom kar tumko rab ke pyaare salaam karte hein jab muhammad ka naam aata hai rahmato.n ka payam aata hai lab hamaare durood padte he.n dil...
Comments
Post a Comment