Tu Jo Chahe To Abhi ..... Sharah


Back To Full Naat


Tu Jo Chahe To Abhi Mail Mere dil ke dhulein
Ke Khuda dil nahin karta kabhi maila Tera



Mushkil Alfaz :

Mail : Mitti jo badan par lag kar jisam ko maila kuchela kar deti hai , yahan gunahon ki siyahi aur hijabat murad hein .
Dhulein ; Dhul jaaein , safaee ho jaaye .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Aapki Maherbani se mera dil gunahon ki aaludiyon se saaf ho sakta hai , kyunke aapke to gunah kareeb bhi nahin aa sakta , kyunke Aap Sayyidul Ma'sumeen hein , fir aap ka dil bhala kaise maila ho sakta hai .

Aap ki chahat se qibla tabdeel ho jaata hai . Aap agar chahein to patthar  ke pahad sona ban kar aap ke sath chalein , Allah Ta'ala Aapki khwahish puri farmane mein bahot jald farmata hai , Jaise Aapki riza waise Allah Ta'ala ki riza hai , Aapki bay'at Khuda ki bay'at hai , Aapki ita'at Allah hi ki ita'at hai , Isi Tarha Aapki chahat se ham gunahgaron ka har kaam aasan ho sakta hai .

Kaaba banta hai us taraf hi Riyaz
Jis Taraf ruk wo mod dete hein
Jis Taraf wo nazar nahin aate
Ham wo rasta hi chhod dete hein 

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو