Posts

Showing posts with the label ala hazrat naat

Sarwar kahun ke Maliko Maula kahun Tujhe Lyrics / सरवर कहूँ के मालिक-ओ-मौला कहूँ तुझे

sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe - English Naat-Khwaan:  Hafiz Tahir Qadri mere nabi sa donon jahaan mein koi nahin haan! koi nahin arsh-e-baree se farsh-e-zameen tak koi nahin haan! koi nahin sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe baagh-e-khalil ka tujhe zaiba kahun tujhe ya saahib-al-jamaal! wa ya sayyad-il-bashar! min wajhik-al-muneer, wa laqad nuwiral qamar allah re tere jism-e-munawwar ki taabishein aye jaan-e-jaam! aye jaan-e-tajalla kahun tujhe sarwar kahun ke maalik-o-maula kahun tujhe tere to wasf aib-e-tana hi se hai baree hairaan hun mere shaah! main kya kya kahun tujhe bahaar-e-jaan fiza tum ho, naseem-e-gulsitaan tum ho bahaar-e-baagh-e-rizwaan tum se hai, zaib-e-jinaa tum ho haqiqat se tumhari juz khuda aur kaun waqif hai kahe to kya kahe koi chuni tum ho chunaan tum ho khuda ki saltanat ka do-jahaan mein kaun dulha hai tumhi tum ho tumhi tum ho, yahaan tum ho wahaan tum ho hairaa...

Tere Sadqe se Chalti hein Sansein Meri Lyrics / तेरे सद्के से चलती हैं साँसे मेरी

tere sadqe se chalti hain sanse meri - English allahumma salle ala sayyidina muhammadin allahumma salle ala sayyidina muhammadin tere sadqe se chalti hain sanse meri tere nazre karam se mili har khushi izzaatein rif‘atein hain tere zikr se main to kuchh bhi nahin teri rehmat ke bin allahumma salle ala sayyidina muhammadin allahumma salle ala sayyidina muhammadin sabse ola wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allahumma salle ala sayyidina muhammadin allahumma salle ala sayyidina muhammadin bazme aakhir ka sham‘a faroza hua noore awwal ka jalwa hamara nabi buj gayi jiske aage sabhi mash‘alein sham‘a wo lekar aaya hamara nabi allahumma salle ala sayyidina muhammadin allahumma salle ala sayyidina muhammadin khalq se auliya, auliya se rusool aur rusoolon se aala hamara nabi qarno badli rasoolon ki hoti rahi ...

Arsh-e-Haq Hai Masnad-e-Rifat Rasulallah Ki Lyrics / अर्श-ए-हक़ है मसनद-ए-रिफ़अत रसूलअल्लाह की

arsh-e-haq hai masnad-e-rif'at rasulallh ki - English arsh-e-haq hai masnad-e-rif'at rasulallh ki dekhni hai hashr mein izzat rasulallah ki qabr mein lehraaenge ta-hashr chashme noor ke jalwa-farmaan hogi jab tal'at rasulallah ki la wa rabb-il-arsh jis ko jo mila un se mila bat-ti hai konain mein ne'amt rasulallah ki wo jahannam mein gaya jo unse mustagni hua hai khalilullah ko haajat rasulallah ki suraj ulte paaon palte chand ishaare se ho chaak andhe najdi dekhle qudrat rasulallah ki tum se aur jannat se kya matlab wahhabi door ho ham rasulallah ke jannat rasulallah ki ham bhikari wo kareem unka khuda unse fuzoon aur na kehna nahin aadat rasulallah ki ahl-e-sunnat ka hai beda paar as'haab-e-huzur najm hein aur naaw hai itrat rasulallah ki khaak ho kar ishk mein aaram se sona mila jaan ki ikseer hai ulfat rasulallah ki toot jaaenge gunah-garon ke fauran qaid-o-band hashr ko khul jaaegi taaqat rasulallah ki aye raza khud sa...

Wahi Rab hai Jisne Tujhko hamatan karam banaya / वही रब है जिसने तुझको हमतन करम बनाया

wahi rab hai jisne tujhko hamatan karam banaya - English wahi rab hai jisne tujhko hamatan karam banaya hamein bhik mangne ko tera aasataan bataaya tujhe hamd hai khudaya tujhe hamd hai khudaya tumhin haqeem-e-baraya tumhin qasim-e-ataaya tumhin dafa'-e-balaya tumhin shafa-e-ataya koi tum sa kon aaya koi tum sa kon aaya wo kunwari paak mariyam wo nafaqtu fihi ka dam hai ajab nishan-e-aazam magar aamina ka jaya wahi sabse afzal aaya wahi sabse afzal aaya yahi bole sidra waale chaman-e-jahaan ke thaale sabhi maine chhaan daale tere paae ka na paya tujhe yak ne yak banaaya tujhe yak ne yak banaaya are aye khuda ke bandon! koi mere dil ko dhundho mere paas tha abhi to abhi kya hua khudaaya na koi gaya na aaya na koi gaya na aaya hamein aye raza tere dil ka pata chala ba mushkil dar-e-roza ke muqabil wo hamein nazar to aaya ye na puchh kaisa paaya ye na puchh kaisa paaya वही रब है जिसने तुझको हमतन क...

Phir ke Gali Gali Tabah Lyrics / फिर के गली गली तबाह

phir ke gali gali tabaah thokarein sab ki khaaein kyun phir ke gali gali tabaah thokarein sab ki khaaein kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun rukhsat-e-qafile ka shaor ghash se hamein uthaae kyun sote hein unke saae mein, koi hamein jagaae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun baar na the habeeb ko, paalte hi ghareeb ko roein jo ab naseeb ko, chain kaho gawaaein kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun yaad-e-huzoor ki qasam, ghaflat-e-aish hai sitam khub hein qaid-e-gham mein ham, koi hamein chhudaae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun ya to unhin tadap ke jaaein, ya wahi daam se chhudaaein minnat-e-ghair kyun uthaaein, koi taras jataae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun sang-e-dar-e-huzoor se, hum ko khuda na sabr de jaana hai sar ko jaa chuke, dil ko qaraar aae kyun dil ko jo aql de khuda, teri gali se jaaein kyun jaan hai ishq-e-mustafa, roz fazoon kare khuda ...

Wo Sue Lalazaar phirte hein Lyrics / वो सू-ए-लालज़ार फिरते हैं

wo soo-e-lalazaar phirte hein wo soo-e-lalazaar phirte hein tere din aye bahaar! phirte hein jo tere dar se yaar phirte hein dar-badar yunhi khwaar phirte hein aah! kal aish to kiye hamne aaj wo be karaar phirte hein har charaagh-e-mazaar par qudsee kaise parwana-waar phirte hein us gali ka gada hun main jis mein maangte taajdaar phirte hein jaan hein jaan kya nazar aaye kyun 'adoo gird-e-ghaar phirte hein phool kya dekhun meri aankhon mein dasht-e-taiba ke khaar phirte hein haae ghaafil wo kya jagaah hai jahaan paanch jaate hein chaar phirte hein koi kyun puchhe teri baat raza tujh se shayda hazaar phirte hein वो सू-ए- लालाज़ार फिरते हैं वो सू-ए-लालाज़ार फिरते हैं तेरे दिन आये बहार! फिरते हैं जो तेरे दर से यार फिरते हैं दर-बदर यूँही ख़्वार फिरते हैं आह! कल ऐश तो किये हमने आज वो बे-करार फिरते हैं हर चराग़-ए-मज़ार पर क़ुदसी कैसे परवाना-वार फिरते हैं उस गली का गदा हूँ मैं जिसमें मांगते ताजदार फिरते हैं जा...

Sub'h Taiba mein hui Bat'ta hai Bada Noor ka Lyrics / सुबह़ तैबा में हुई बटता है बाड़ा नूर का

sub'h taiba mein hui baTta hai bada noor ka sub'h taiba mein hui baTta hai bada noor ka sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka baag-e-taiba mein suhana ful-fula noor ka mast bu hein bulbulein padti hai kalma noor ka barwi ke chand ka mujra hai sajda noor ka baara burzon se juka ek ek sitara noor ka aaee bid'at, chhaai zulmat rang badla noor ka maah-e-sunnat! Mehr-e-tal'at! lele badla noor ka tere hi maathe raha ae jaan! sehra noor ka bakht jaaga noor ka chamka sitara noor ka main gada tu badshah bharde piyala noor ka noor din duna tera de daal sadqa noor ka taaj waale dekh kar tera imama noor ka sar jukate hein ilahi bol baala noor ka sham'a dil, mishkaat tan, sina juzaaja noor ka teri surat ke liye aaya hai suraa noor ka naariyon ka daur tha dil jal raha tha noor ka tumko dekha ho gaya thanda kaleja noor ka jo gada dekho liye jaata hai toda noor ka noor ki sarkar hai kya is mein toda noor ka teri nasl-e-paak mein hai bachcha b...

Puchhte Kya ho Arsh Par Yun gae Mustafa ke Yun Lyrics / पूछते क्या हो 'अर्श पर यूँ गये मुस्तफ़ा के यूँ

puchhte kya ho 'arsh par yun gae mustafa ke yun - English puchhte kya ho 'arsh par yun gae mustafa ke yun kaif ke par jahaan chalein koi bata de kya ke yun qasr-e-dana ke raaz mein aqlein to gum hein jaisi hein rooh-e-qudus se puchhie tumne bhi kuchh suna ke yun maine kaha ke jalwa-e-asl mein kis tarha ghumi sub'h ne noor-e-mehar mein mit ke dikha diya ke yun haae re zauq-e-be-khudi dil jo sambhalne sa laga chhak ke mehak mein phool ki girne lagi saba ke yun dil ko de noor-o-daag-e-ishq phir main fida do neem kar maana hai sun ke shaqq-e-maah aankho se ab dikha ke yun dil ko hai fikr kis tarha murde jilaate hein huzur aye main fida laga kar ek thokar ise bata ke yun baag mein shukr-e-wasl tha hijr mein haae haae gul kaam hai un ke zikr se khair wo yun hua ke yun jo kahe sha'ar wa paas shar'a donon ka husn kyun kar aae laa ise pesh-e-jalwa zamzama raza ke yun पूछते क्या हो 'अर्श पर यूँ गये...

Wasf-e-Rukh Unka Kiya Karte hein Lyrics / वस्फ-ए-रुख़ उनका किया करते हैं

wasf-e-rukh unka kiya karte hein wasf-e-rukh unka kiya karte hein sharh-e-wash shams o duhaa karte hein unki ham madh-o-sanaa karte hein jinko mahmood kaha karte hein tu hai khursheed-e-risaalat pyaare chhup gaye teri ziya me taare ambiya aur hein sab mahpaare tujh se hi noor liya karte hein apne maula ki hai bas shaan azeem jaanwar bhi kare jinki ta'zeem sang karte hein adab se tasleem ped sajde me gira karte hein ungliya payi wo pyaari pyaari jinse dariya-e-karam hai jaari josh par aati hai jab ghamkhwaari ismei sairab hua karte hein rif'ate zikr hai tera hissa dono aalam me hai tera charcha murg-e-firdaws ba sad hamd-e-khuda teri hi madh-o-sanaa karte hein haan yahin karti hai chidiya fariyaad yahin se chaahti hai hirni daad isi dar par shutur-aan-e-na-shaad gila-e-ranj-o-ena karte...

Nabi hamare bane hein dulha Lyrics / नबी हमारे बने हैं दूल्हा

nabi hamare bane hain dulha nabi hamare bane hain dulha wo sarwar-e-kishwar-e-risalat jo arsh par jalwagar hue the naye nirale tarab ke samaan arab ke mehmaan ke liye the nabi hamare bane hain dulha bahar hai shadiyan mubarak chaman ko aabadiyan mubarak malak falak apni apni leh mein ye gur-ana dil ka bolte the nabi hamare bane hain dulha waha falak par yaha zameen mein rachi thi shadi machi thi dhoomein udhar se anwar hanste aate idhar se naf'hat uth rahe the nabi hamare bane hain dulha khushi ke badal umat ke aaye dilon ke taoos rang laaye wo naghma-e-naat ka sama tha haram ko khud wajd aa rahe the nabi hamare bane hain dulha gubar ban kar nisar jayein kahan us rah guzar ko payein hamare dil huriyon ki aankhen farishton ke par jahan bichhe the nabi hamare bane hain dulha utar kar unk...

Raah-e-Irfaan Se Jo Ham Nadeeda Ruh Mahram Nahi / राह-ए-इरफ़ाँ से जो हम नादीदा रूह मेहरम नहीं / راہ عرفاں سے جو ہم نادیدہ روح محرم نہیں

rah-e-irfaan se jo ham nadeeda ruh mehram nahi rah-e-irfaan se jo ham nadeeda ruh mehram nahi mustafa hai masnad-e-irshaad par kuchh gam nahi hun musalmaan garche naakis hi sahi aae kaamilon ! maahiyat paani ki aakhir yam se nam mai kam nahi gunche ma awha ke jo chatke daana ke baag mai bulbul-e-sidra ki aakhir yam se nam mai kam nahi isme zamzam hai ke tham tham is mai jam jam hai ke paish kasrat-e-kausar mai zamzam ki tarha kam kam nahi inko be maange mila unko ragad kar aediya maalik-e-kausar ka hamsar saahib-e-zamzam nahi esa ummi kis liye mannat kase ustaad ho kya kifayat isko iqra rabbukal akram nahi hai unhi ke dam kadam se baag-e-aalam mai bahaar vo na the aalam na tha ghar vo naho aalam nahi saaya-e-deewaar o khaake dar ho ya rabb aur raza khvahish-e-dayheem-e-kay...

Jo-bano Par Hai Bahaar-e-Chaman Aarai-e-Dost / जो बनो पर है बहार-ए-चमन आराई-ए-दोस्त / جوبنو پر ہے بہارِ چمن آرائیِ دوست

jo-bano par hai bahaar-e-chaman aaraai-e-dost jo-bano par hai bahaar-e-chaman aaraai-e-dost khuld ka naam na le bulbul-e-shedaai-e-dost thak ke baithe to dard-e-dil pe tamannaai-e-dost kaun se ghar ka ujaala nahi zaibaai-e-dost unko yakta kiya aur khalq banai yaani anjuman karke tamaasha kare tanhaai-e-dost sharm se jukti hai mehrab ke saajid hai huzur sajda karvaati hai kaaba se jabin saai-e-dost toor par koi, charkh pe ye arsh se paar saare baalaon pe baala rahi baalaai-e-dost ant fee him ne adoo ko bhi liya daaman mein aish-e-jaaved mubaarak tujhe shaidaai-e-dost ranj-e-adaa ka raza chaara hi kya hai jab unhe aap gustakh rakhe hilm-o-shakebaaii-e-dost जो बनो पर है बहार-ए-चमन आराई-ए-दोस्त जो बनो पर है बहार-ए-चमन आराई-ए-दोस्त ख़ुल्द का नाम न ले बुलबुल-ए-शैदाई-ए-दोस्त थक के बैठे तो दर्द-ए-दिल पे तमन्नाई-ए-दोस्त कौन से घर का उजाला नहीं ज़ेबाई-ए-दोस्त...

Hai Kalam-e-Ilahi mein Shamud-Duha Lyrics / है कलाम-ए-इलाही में शम्स-उद-दुहा

hai kalam-e-ilahi mai shams-ud-duha hai kalam-e-ilahi mein shams-ud-duha tere chehra-e-noor-e-faza ki qasam qasam-e-shabe taar mai raaz ye tha ke habeeb ki zulf-e-dota ki qasam tere khulk ko haq ne azeem kaha tere khalk ko haq ne jameel kiya koi tujh sa hua hai na hoga shaha tere khalik-e-husn-o-ada ki qasam wo khuda ne hai martaba tujh ko diya na kisi ko mile na kisi ko mila ke kalam-e-majeed ne khai shaha tere shehr o kalam o baka ki qasam tera masnad-e-naaz hai arsh-e-bari tera mahram raaz hai rooh-e-amee tu hi sarvar-e-har do jaha hai shaha tera misl nahi hai khuda ki qasam yahi arz hai khalik-e-arz-o-sama vo rasool hai tere mai banda tera muje unke javar mai de vo jagah ke hai khuld ko jis ki safa ki qasam tu hi bandon pe karta hai lutf o ata hai tuji pe bharosa tuji se dua muje jalva-e-paak raso...

Kis ke Jalwe ki jhalak hai ye ujala kya hai Lyrics / किसके जल्वे की झलक है ये उजाला क्या है

kis ke jalwe ki jhalak hai ye ujaala kya hai kis ke jalwe ki jhalak hai ye ujaala kya hai har taraf deeda-e-hairat zada taktaa kya hai maang man maanti munh-maangi muradein lega na yahan 'na' hai na mangta se ye kehna 'kya hai' paand kadwi lage naseh se tarsh ho aye nafs zahere isyaan mein sitam-gar tujhe meetha kya hai unki ummat mein banaaya unhein rehmat bheja yun na farma ke tera rahem mein daawa kya hai ham hein unke wo hein tere to hue ham tere is se badh kar teri simt aur waseela kya hai sadqa pyaare ki haya ka ke na le mujhse hisaab bakhsh be-puchhe lajaaye ko lajaana kya hai zahid unka mein gunahgaar wo mere shaafee' itni nisbat mujhe kya kam hai tu samjaa kya hai be-basi ho jo mujhe pursish-e-aamal ke waqt doston! kya kahun us waqt tamannaa kya hai kash fariyad meri sun ke ye farmaein huzur haan koi dekho ye kya shor hai gauga ...

Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Sath Ho Lyrics / या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो

ya ilahi har jagah teri ata ka saath ho ya ilahi har jagah teri ata ka saath ho jab pade mushkil shah-e-mushkil kusha ka saath ho ya ilahi bhul jaun naz'a ki taklif ko shadi-e-didaare husne mustafa ka saath ho ya ilahi gor-e-tira ki jab aae sakht raat un ke pyare munh ki sub'he ja fiza ka saath ho ya ilahi jab zabaanein bahar aaein pyas se sahib-e-kausar shah-e-joodo ata ka saath ho ya ilahi garmi-e-mehshar se jab bhadke badan daman-e-mehboob ki thandi hawa ka saath ho ya ilahi nama-e-aa'mal jab khulne lagein a'yeb posh-e-khalq sattar-e-khata ka saath ho ya ilahi jab sar-e-shamsheer par chalna pade rabb-e-sallim kehne wale gham zuda ka saath ho ya ilahi jab raza khwaab-e-giraan se sar uthaae daulat-e-bedar-e-ishq-e-mustafa ka saath ho या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो या इलाही हर जगह तेरी अता का साथ हो जब पड़े मुश्किल शहे-मुश्किल कु...

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Image
mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam mustafa jaan-e-rehmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam door-o-nazdeek ke sunne waale woh kaan kaan-e-laale qaraamat pe laakhon salaam jis ke sajde ko mehrab-e-kaaba jhuki un bhavon ki lataafat pe laakhon salaam jis taraf uth gayi dam mein dam aa gaya us nigaah-e-inayat pe laakhon salaam n...

Meraje Nabi Sub'han Allah - Mere Muhammad Pyare Lyrics / मेराज-ए-नबी सुब्हान अल्लाह - मेरे मुहम्मद प्यारे

meraj e nabi sub'han allah Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri meraj e nabi sub'han allah meraj e nabi sub'han allah sub'han allah sub'han allah sub'han allah sub'han allah mere muhammad pyare bane hein dul'ha dul'ha mere muhammad bane hein dul'ha wo sarware kishware risalat jo arsh par jalwagar hue the naye nirale tarab ke saman arab ke mehman ke liye the mere muhammad pyare bane hein dul'ha dul'ha mere muhammad bane hein dul'ha bahar hai shadiyan mubarak chaman ko abadiyan mubarak malak falak apni apni leh mein ye gur ana dil ka bolte the waha falak par yaha zameen mein rachi thi shadi machi thi dhoomein udhar se anwar hanste aate idhar se naf'hat uth rahe the mere muhammad pyare bane hein dul'ha dul'ha mere muhammad bane hein ...

Unki mahak ne Dil ke gunche khila diye hein Lyrics / उनकी महक ने दिल के गु़ंचे खिला दिए हैं

Image
unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein jis raah chal gaye hein kooche basaa diye hein jab aa gayi hai josh-e-rehmat pe unki aankhein jalte bujaa diye hein rote hasaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein ek dil hamaara kya hai aazar uska kitna tumne to chalte firte murde jila diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein unke nisaar koi kaise hi ranj mein ho jab yaad aa gaye hein sab gham bhula diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein hamse faqeer bhi ab feri ko uthte hoge ab to gani ke dar par bistar jamaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein aane do ya dubon ko ab to tumhari janeeb kashti tumhi pe chhodi langar uthaa diye hein unki mehak ne dil ke gunche khilaa diye hein allah kya jahannam ab bhi na sard hoga ro ro ke mustafa ne dariya bahaa diye hein...

Guzre Jis Raah se Wo Sayyide Wala ho kar Lyrics / गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर

guzre jis raah se wo sayyid-e-wala ho kar guzre jis raah se wo sayyid-e-wala ho kar reh gayi sari zameen ambar-e-sara ho kar rukh-e-anwar ki tajalli jo qamar ne dekhi rah gaya bosa dah-e-naqsh-e-kaf-e-paa ho kar waae mehroomi-e-qismat ke main fir ab ke baras rah gaya hamrah-e-zawwar-e-madina ho kar chaman-e-taiba hai wo baag ke murg-e-sidra barson chehke hein jahaan bulbule sheyda ho kar sarsar-e-dasht-e-madina ka magar aaya khayal rashq-e-gulshan jo bana ghuncha-e-dilwa ho kar ghosh-e-shah kehte hein fariyad rasi ko ham hein wa’da-e-chashm hai bakhshaenge goya ho kar paa-e-shah par gire ya rab tapash-e-maher se jab dil-e-betab udhe hashr mein para ho kar hai ye ummid raza ko teri rehmat se shaha na ho zindani-e-dozakh tera banda ho kar गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर गुज़रे जिस राह से वो सय्यिद-ए-वाला होकर रह गई सारी ज़मीन अंबर-ए-सरा होकर ...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Imdad kun Imdad kun Lyrics | Ya Ghaus-e-Aazam Dastagir Lyrics / इमदाद-कुन इमदाद-कुन | या ग़ौस-उल-आ'ज़म दस्त-गीर

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा