Roman(Eng) : Shaahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Karo door har gham Salam Assalam Har aankh hoke purnam salam Assalam Shaahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Rabb ne bade pyar se Meraaj mein kaha Rehne do nalayn ko aa jaao Mustafa Qadame Muhammad ko liya arsh ne bosa Jhum utthe saare Malaeek wa Marhaba Mange jo Nabi , Rabb ne Wo diya Rabb ne Jo diya , Nabi ne Wo liya Jhuka arsh e Aazam Salam Assalam Shaahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Aap ne Jo kar diya Ungali ka Ishaara Chaand do tukde hua qurbaan ho gaya Jab Namaaze Asar Ali ki hui qaza Aap ne Suraj ko dubara palat diya Aap Jo kiye , Mojaze bane Aap Jab chale , Do Jahaan juke Mera Sar bhi kham sam Salam Assalam Shaahe Do Aalam Salaam Assalaam Garibon ke Hamdam Salaam Assalaam Ya Nabi! Ab Hind mein mushkil huaa jeena Nazre Qaram se Hamein bulwaayein Madina Paas Hamaare na koi maalo zarr hai Mujse badi door Madine ka Safar
Comments
Post a Comment