Maut sunta hun talkh hai ..... Sharah



Back To Full Naat


Maut sunta hun talkh hai zahraba-e-naab 
Kaun laade Mujhe Talwon ka gisala Tera


Mushkil Alfaz :

Talkh : Kadwi (farsi) murad hai bahot badi aafat wa musibat .
Zahraba : Markab (Composition) hai zahar aur Aab se , ba'mana Zaher wala pani , Aakhir pe 'ha" makhtafi hai jo apne ma-qabl (Pre) pe harkat ko zahir karne ke liye lagai jati hai , jaise quran paak mein 'ha' sakta hai .
Naab : Khalis , asli . Zahraba-e-naab ka ma'ana hua khalis zaher aalud paani .
Talwon : Paaon .
Gisala ; Dhon , Ya'ni wo paani jis se Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadomon ko dhoya , is paani ko ek jagah Aala Hazrat(rh) ne aabe hayat likha hai .

Jis ke kadmon ka dhowan hai aabe hayat

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Meine suna hai ke maut bahot badi aafat khalis zaher mile pani ki tarha hai , lekin iski kadwahat ko agar koi she'a mithas mein badal sakti hai , to wo Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadmon se utarne wala paani hai , Kaash ! Mujhe koi Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke kadmon ka dhowan laade qabr mein maut ke wakt piye jaane wale zehrile aur kadwe paani ka zehrila-pan aur kadwahat dur ho jaaye .

Is liye Sahaba-e-Kiram (AR) Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke wuzu ke musta'mal pani ko zameen pae nahin girne dete the . (Bukhari) , Aur Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke tabarrukat ko sambhal kar rakhte , aur ba'd-az wafat qabr mein apne sath dafan karne ki wasiyyat farmate , kyunke inse maut ki talkhi khatam ho jaati hai , aur maut jannat ka phool ban jaati hai . Yahi wajeh hai ke jab Hazrate Bilal (RD) ki maut ka wakt aaya , to ghar wale ro rahe hein , aur aap muskura rahe hein , ke aaj mein Huzur ki bargah mein jaane wala hun  .

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Kaba Dikha de Maula Maula Lyrics / काबा दिखा दे मौला मौला

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / حاجیوں مصطفیٰ سے کہ دینا

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Taiba ke Jane wale ja kar bade adab se Lyrics / तैबा के जाने वाले जा कर बड़े अदब से / طیبہ کے جانے والے جا کر بڑے ادب سے

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Are Hajiyo Tum Haram ja rahe ho Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics