Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi durud unpar salaam unpar yahi kehnaa KHuda ka hai KHuda ke baad jo hai martabaa salle-'alaa ka hai wahi sardaar-e-aa'lam hai , wahi ghamkhwar-e-ummat hai wahi to hashr ke maidaan me.n sabki shafaa'at hai shafaa'at ke liye sabki nazar un par lagi hogi