Ek mein kya mere Isyaa(n) ..... Sharah



Back To Full Naat

Ek mein kya mere Isyaa(n) ki hakikat kitni
Mujhse so lakh ko kafi hai ishara Tera

Mushkil Alfaz :

Isyaa(n) : Gunah , Na-farmaniya(n) .
Hakikat : Asliyat .
Kitni : Kis kadar , kya haisiyat .
So Lakh : Ek karod (10 million), Murad hai be hisab , la-tadad be-shumar .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallhu Alayhi WaSallam) ! Mere gunah jitne bhi sahi (Aap ki shafa'at ke samne) inki haisiyat hi kya hai  , Aur na sirf mein balke mere jaise karodon gunahgaron ke liye to Aap ki Shafa'at ka ek ishara bhi kafi hai .

La'Tadad Ahadise Mubaraka jo ham jaise papiyon ki shfa'at ka muzda-jaanfaza suna rahi hein , wo hamare liye sarmaya-e-hayat maya-e-najat hai .

Kisi ko naaz hoga bas ita'at ka ibadat ka
Hamein To bas sahara hai Muhammad ki shafa'at ka

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर

Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ