Posts

Showing posts with the label W

Wah Kya Baat Jashn-e-Aaqa ki Lyrics / वाह क्या बात जश्न-ए-आका की

wah kya baat jashn-e-aaqa ki milaad ho mubarak, milaad ho mubarak marhaba ya mustafa, marhaba ya mustafa jhoom utha dil ke maah-e-noor aaya wah kya baat jashn-e-aaqa ki ye kis shahenshah-e-wala ki aamad aamad hai ye kaunse shah-e-wala ki aamad aamad hai ye aaj taare zameen ki taraf hein kyun maaeel ye aasmaan se pae-ham hai noor kyun naazil wah kya baat jashn-e-aaqa ki rusool unhin ka to mujda sunaane aaye hei unhin ke aane ki khushiyaan manaane aaye hein firishte aaj jo dhoomein machaane aaye hein unhin ke aane ki shadi rachane aaye hein wah kya baat jashn-e-aaqa ki pur-noor hai zamaana, sub'h-e-shab-e-wilaadat parda utha hai kiska, sub'h-e-shab-e-wilaadat aayi nayi huqumat, sikka naya chalega aalam ne rang badla, sub'h-e-shab-e-wilaadat rooh-ul-ameen ne gaada, ka'be ki chhat pe janda ta-'arsh uda pharera, sub'h-e-shab-e-wilaadat pyare rabi-ul-awwal! teri jalak ke sadqe chamka diya naseeba, ...

Wasf-e-Rukh Unka Kiya Karte hein Lyrics / वस्फ-ए-रुख़ उनका किया करते हैं

wasf-e-rukh unka kiya karte hein wasf-e-rukh unka kiya karte hein sharh-e-wash shams o duhaa karte hein unki ham madh-o-sanaa karte hein jinko mahmood kaha karte hein tu hai khursheed-e-risaalat pyaare chhup gaye teri ziya me taare ambiya aur hein sab mahpaare tujh se hi noor liya karte hein apne maula ki hai bas shaan azeem jaanwar bhi kare jinki ta'zeem sang karte hein adab se tasleem ped sajde me gira karte hein ungliya payi wo pyaari pyaari jinse dariya-e-karam hai jaari josh par aati hai jab ghamkhwaari ismei sairab hua karte hein rif'ate zikr hai tera hissa dono aalam me hai tera charcha murg-e-firdaws ba sad hamd-e-khuda teri hi madh-o-sanaa karte hein haan yahin karti hai chidiya fariyaad yahin se chaahti hai hirni daad isi dar par shutur-aan-e-na-shaad gila-e-ranj-o-ena karte...

Wo Nabiyon mein Rehmat Laqab pane wala Lyrics / वो नबियों में रहमत लक़ब पाने वाला / وہ نبیوں میں رحمت لقب پانے والا

wo nabiyon mein rehmat laqab paane wala Naat-Khwaan:  Muhammad Hassan Raza Qadri wo nabiyon mein rehmat laqab paane wala usi se hai islam ka bol baala ya rahmatallil aalameen ya rahmatallil aalameen wo nabiyon mein rehmat laqab paane wala usi se hai islam ka bol baala wo sar chashma-e-noore fat'he mubeen hai wohi mash'ale raahe azmo yaqeen hai usi se hamare dilon mein ujaala usi se hai islam ka bol baala wo nabiyon mein rehmat laqab paane wala usi se hai islam ka bol baala ya rahmatallil aalameen ya rahmatallil aalameen usi ke ye ham par hain ehsaan saare kadam manzeelein chumti hain hamare usi ne andheron se hamko nikaala usi se hai islam ka bol baala wo nabiyon mein rehmat laqab paane wala usi se hai islam ka bol baala ya rahma...

Wo Din aayega ek baar Main madine jaunga Lyrics / वो दिन आएगा एक बार मैं मदीने जाऊँगा

wo din aayega ek baar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga karne roze ka deedar main madine jaunga shahe madina rehmate alam nabiyon ke sardar dekhen kab dikhlayen apna noorani darbar main to hun kabse tayyar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga mujko yakeen hai karam karenge aamena bi ke laal unko to malum hai lillah mere dil ka haal kehte hein ye dil ke taar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga dekha nahin unka dare akdas kya hoga anjaam mere dil ki dhadkan mujko deti hai paygam marne se pahele ek baar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga dekh ke muj aaseen ko unko aa jayega pyar noorani chadar mein chhupa lenge is dam sarkar lekar jab ashkon ke haar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga kya gham hai ke jakde hue hai doori ki zanjeer ...

Zikr-E-Aaqa se Seena saja hai Naat Lyrics / ज़िक्र-ए-आक़ा से सीना सजा है / ذکرِ آقا سے سینہ سجا ہے

zikr-e-aaqa se seena saja hai zikr-e-aaqa se seena saja hai ishq hai ye tamasha nahi hai wo bhi dil koi dil hai jahan main jis mein tasvire taiba nahi hai laa makaan tak hai teri rasayi geet gaati hai saari khudayi wo jaga hi nahi do jahan main jis jaga tera charcha nahi hai hum hussaini hain karbal ke shaida dil kabhi bhi na hota hai maila kufr ki dhamkiyon se dare jo aashiqon ka kaleja nahi hai dushman-e-mustafa se kehdo khair chahe to hum se na uljhein hum ghulaman-e-ahmed raza hain koi bhi hum se jeeta nahi hai khaak-e-paaye nabi mou pe malna ittar ho mustafa ka paseena unki chadar ka tukda kafan ho aur koi tamanna nahi hai haj ki daulat jisse milna paye jaye jaye wo ghar apne jaye maa ke qadmon ko wo chum lein jo sang-e-aswad ko chuma nahi hai ae meri maut ruk ja abhi tu phir chaleinge jahan tu kahegi apni aankhon se aaqa ka rauza main ne jee bhar ke dekha nahi hai ...

Wah kya baat Aala Hazrat ki Lyrics / वाह क्या बात आला हज़रत की / واہ کیا بات اعلیٰ حضرت کی

wah kya baat aala hazrat ki raza raza raza raza raza raza mere aaqa-o-maula sarkar aala hazrat mere aaqa-o-maula sarkar aala hazrat lakh jalte rahein dushmanane raza kam naa honge kabhi mad-ha khwaane raza keh rahe hein sabhi aashiqaane raza maslake aala hazrat salamat rahe maslake aala hazrat salamat rahe salamat rahe salamat rahe wah kya baat aala hazrat ki wah kya baat aala hazrat ki main hun sunni mera dil hai diwaana aala hazrat ka mera markaz bana hai aastana aala hazrat ka nabi ke ishq mein qurbaan kar di zindagi jisne zamaana jaanta hai aashiqaana aala hazrat ka roze mahshar agar mujhse puche khuda bol aale rasool tu laaya hai kya arz karunga laaya hun ahmed raza ya khuda ye amaanat salamat rahe mere murshid raza mere rehbar raza mere hadee raza kabhi bhi aapne gairon ke haq mein kuchh nahin likha nabi ke waaste tha shaayeraana aa...

Wo mahe Farozan wo nayyare tabaan Lyrics / वो माह-ए-फ़रोज़ाँ वो नय्यर-ए-ताबाँ / وہ ماہِ فروزاں وہ نَیّرِ تاباں

wo maah-e-farozaan wo nayyar-e-taabaan wo maah-e-farozaan wo nayyar-e-taabaan mera mustafa hai mera mustafa hai wo barah rabiul-awwal ko aaya jo awwal bana hai mera mustafa hai to kya tune dekha wo aana wo jaana ke hairat mein hai ab talak ye zamaana wo rab ka bulaana wo sab ko bataana jo haan aa raha hai mera mustafa hai to kya tune dekha wo aana wo jaana ke hairat mein hai ab talak ye zamaana qudsi khade hain hairan hoke ke sidra se aage bashar jaa raha hai jaata hai dekho bekhof kaise ke sab jaanta hai ye raahe wo jaise wo yun jaa raha hai jaise ke koi ghar waala apne hi ghar jaa raha hai wo kissa halima ke angan ka dekho jawani se pehle tum bachpan ka puchho abhi mustafa ne hilaayi hai ungli kamar se to puchho kidhar jaa raha hai aqsa mei...

Wo Shahre Mohabbat Jahan Mustafa hai Lyrics / वो शहर-ए-मोहब्बत, जहाँ मुस्तफ़ा हैं / وہ شہرِ محبت، جہاں مصطفی ہیں

Image
wo shahar-e-mohabbat, jahaan mustafa hein wo shahar-e-mohabbat, jahaa.n mustafa hein wahin ghar banaane ko jee chaahta hai wo sone se kankar, wo chaandi si matti nazar mei.n basaane ko jee chaahta hai wo shahar-e-mohabbat, jahaa.n mustafa hei.n wahi.n ghar banaane ko jee chaahta hai jo puchha nabi ne, ke kuchh ghar pe chhoda to siddiq-e-akbar ke hotho.n pe aaya wahaa.n maal-o-daulat ki kya hai haqiqat jahaa.n jaa.n lutaane ko jee chaahta hai wo shahar-e-mohabbat, jahaa.n mustafa hei.n wahi.n ghar banaane ko jee chaahta hai jihaad-e-mohabbat ki aawaz gunji kaha hanzala ne ye dulhan se apni ijaazat agar do to jaam-e-shahaadat labo.n se lagaane ko jee chaahta hai wo shahar-e-mohabbat, jahaa.n mustafa hei.n wahi.n ghar banaane ko jee chaahta hai sitaaro.n se ye chaand kehta hai har dam tumhei.n kya bataau.n wo tukdo.n ka aalam ishaare mei.n aaqa ke itn...

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Image
humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar, unki taswiir siine me.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine me.n maujuud hai, hai nazar mei.n jamaal -e-habiib-e-KHuda, unki taswiir siine mei.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine mei.n maujuud hai, humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar, unki taswiir siine me.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-ilaahii diya, wo mohammad madine me.n maujuud hai, phool khilte he.n pa.D karke salle-'ala, jhoom kar keh rahi hai baaG-e-sabaa, aisi KHushboo chaman ke gulo.n me.n nahi.n, jo nabi ke pasiine me.n maujuud hai, humne aa.nkho.n se dekha nahi.n hai magar, unki taswiir siine me.n maujuud hai, jis ne laa kar kalaam-e-i...

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Image
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...

Wo hai Mera Nabi Kamli wala Nabi Lyrics / वो है मेरा नबी, कमली वाला नबी / وہ ہے میرا نبی، کملی والا نبی

wo hai mera nabi, kamli waala nabi zamee.n tera daaman bhi padh jayega kam wo sarwar ki taazeem likh na sakenge ya saato.n samundar bhi ban kar siyaahi muhammad ki ek meem likh na sakenge 'ishq mein khud KHuda keh raha hai yahi hai KHudai ka meri ujaala nabi wo hai mera nabi, kamli waala nabi rehbar-e-deen hai, jaan-e-imaan hai jispe naazil kiya maine qur'aan hai saltanat mein nabuwwat ki sultaan hai hashr mein aasiyo.n ka nigehbaan hai us 'arab ke sawariya ki kya shaan hai jispe saare payambar bhi qurbaan hai wo hai mera nabi kamli waala nabi jisne faako.n mein reh ke bhi sajde kiye dushmano.n se bhi na jisne shikwe kiye deen ke naam pe ghar ka ghar de diya karbala mein nawaase ka sar de diya wo hai mera nabi kamli waala nabi jisne baatein sahi.n, jisne faaka saha shehr-e-taahef mein bhi khoon jiska baha ...

Wohi Khuda hai Hamd Lyrics in English ~ Hindi

koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai dikhaayi bhi jo na de nazar bhi jo aa raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai nazar bhi rakkhe samaa'atei.n bhi wo jaan leta hai niyyatei.n bhi jo khaana-e-la-sha'oor mei.n jagmaga raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai talaash usko na kar buto.n mei.n wo hai badalti hui ruto.n mei.n jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai koi to hai jo nizaam-e-hasti chala raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai dikhaayi bhi jo na de nazar bhi jo aa raha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai Same Hamd with different Lyrics na.nhi pari ke chhote se dil mei.n rehta hai wo jo sabse bada hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai usne hi aandhi tufaa.n banaaye aur wo hi humko unse bachaaye wo kaun hai jo maalik hai sabka wo kaun hai jo mushkil-kusha hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai wohi KHuda hai , wohi KHuda hai wohi hai maal...

rozo shab josh pe rehmat ka hai dariya tera ~ wah kya judo karam hai shahe batha tera with tazmeen in English ~ Hindi ~ Urdu

Image
roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera roz-o-shab josh pe rahmat ka hai dariya tera sadqe is shaan-e-sakhaawat pe ye mangta tera haath uthe bhi na the aur mil gaya sadqa tera waah ! kya jood-o-karam hai shah-e-bat'ha tera nahi,n, sunta hi nahi.n maangne waala tera wo haqeeqat teri, jibreel jise na jaane kis tarha log bhala rutba tumhaara jaane tod de likh ke qalam yunhi.n, jo likhna jaane farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane khushrawa 'arsh pe udta hai farera tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb chashm-e-bedaar ! jagaa de, mere khwaabida naseeb tu jo chaahe wo wahi chaahe, tum itne ho kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera na koi tujhsa sakhi hai, na koi mujhsa ghareeb ek nazar teri jagaaye, mere khwaabida naseeb qurb-e-haq usko mila jo tere qadmo.n se kareeb mai.n to maalik hi kahunga, ke ho maalik ke habeeb yaa'ni mahboob-o-muhib me.n nahi.n mera-tera jaayegi KHuld me.n, aa...

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Pandra so Sala Jashne Wiladat Lyrics / पन्द्रह-सौ साला जश्न-ए-विलादत

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics / पेश-ए-हक़ मुज़्दा शफ़ा'अत का सुनाते जाएंगे

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर