Bahre Saeel ka hun ..... Sharah



Back To Full Naat

Bahre Saeel ka hun Saeel na kunwe ka pyasa
Khud bujha jaaye kaleja mera chhinta Tera

Mushkil Alfaz :

Bahar : Dariya wa Samundar
Saeel (First) : Seelan se hai ba'mana behne wala , jari wa sari . Murad Aaqa kareem (S.A.W).
Saeel (Second) : suwal se hai ba'mana Mangta . Murad Gulame Mustafa Imam Ahmad Raza (AR) .
Kaleja : Dil aur Jigar .
Bujana : Tasalli dena , Sairab karna , aur hajat puri karna .
Chhinta : Chullu bhar pani ya chand katrat .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi WaSallam) ! Mein apni pyas bujhan kisi samundar ya dariya ke pas kyun jaaun , kya aapki rehmat ke dariya ka chhinta meri pyas bujhane ke liye kafi nahin .

Huzur(Sallalallahu Alayhi WaSallam) ki rehmat ka takaza 

Jab Huzur (Sallalallahu Alayhi WaSallam) Rehmatullil Aalamin hein aur rehmat musdad ba ma'ana isme faeel (karnewala) rahim hai , yani Reham farmane wala . To zinda honge to reham farmaeinge . Ba-ikhtiyar honge to reham farmaeinge . Ek Ek ummati ke halat se ba-khabar honge (ke kis ko meri rehmat ki zarurat hai ) to reham farmaeinge aur har ek ke paas aa sakte honge to reham farmaeinge .
Aur jab Rehmatullil Aalamin hona  nass kataee (Qurano Hadees se sabit) hai to hazir nazir hona , Gaib ka jan'na (Allah ki ata se) , ba-ikhtiyar ya mukhtare kull hona , Aur hayatunnabi (Sallalallahu Alayhi WaSallam)  ye tamam akaeed khud ba khud sabit honge . Jis ka inkar pahele logon mese kisi ko bhi na tha , is daur mein naam-nihad tauhid ke thekedaron ke ye pasandida mozuaat hein . In se puchho agar koi shakhs tum par rahem karna chahe magar tumse dur he , isko pata hi nahin ke tumhe iski rehmat ki zarurat hai , to kya khak rahem karega , aur agar pata to hai magar aapke paas pahunch nahin sakta , pahunch bhi sakta ho magar majboor hai kuchh kar nahin sakta , ya waise hi mar ke mitti ho gaya to Tum par kaise rahem karega . Lihaza ye akeeda galat hai ke jis ka naam Muhammad ya ali ho wo kisi cheez ka malik nahin ho sakta(Takwiyatul Iman Az Ismaeel Dahelwi) .

Mehboobe Khuda ka koi ham paya nahin hai 
Is shaan ka Mursal to koi aaya nahin hai 
Be misl ne Mehboob ko be misl banaya
Waan jism nahin to yahan saya nahin hai

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو

kya bataun ki kya madina hai naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

al madad peerane peer , gaus-e-aazam dastageer naat lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Aa gaya Ramzan hai Kalam lyrics by Bilal Qadri in English ~ Hindi

Aye Shahenshahe Madina Assalat-o-Wassalam || अये शहंशाहे मदीना अस्सलातु वस्सलाम || اے شہنشاہِ مدینہ ! اَصَّلَاتُ وَ اسّلَامْ