Tere Tukdon pe pale ..... Sharah



Back To Full Naat


Tere Tukdon pe pale ghair ki thokar pe na daal
Jidkiyan khaein kaha chhod ke sadqa Tera


Mushkil Alfaz :

Tukdon pe palna : Kisi ki ataon pe aise karna
Ghair : Begana
Thokar : Paaon se marna , Murad hai zillat wa ruswaee ,
Na daal : Suprad na kar , Dusron ka mohtaj na kar ,
Jidkiyan : Daant , dapat aur malamat
Sadqa : Khairat wa bakhshish .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Ham to Aap ke tukdon pe palne wale hein , Hamein apne kadmon se hata kar , dusron ke darwazon par thokarein khane ki zillat se bacha lei(n) . Apne datrbar se hata kar gairon ki dant dapat ke hawale na kijiye .

Is sher se Qurane Mukaddas ki mut'addad Aayat Aur be-shumar Ahadise mubaraka ki taraf ishara kiya gaya hai , jis mein Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) apne gulamon ko nawazna aur unki jholiyan bharna mazkur hai , Aur Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ka dar chhod ne walon ki zillat wa ruswaee bayan ki gayi hai , Masalan

Al Quran :
Allah Aur uske Rasool ne unhe apne fazal se ghani kar diya .

Wo jo is dar se fira Allah us se fir gaya
Wo jo is dar ka hua Allah us ka ho gaya

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Meeran Waliyon ke Imam dedo panjatan ke naam Lyrics / मीराँ वलीयों के इमाम देदो पंजतन के नाम

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ

Chamak Tujhse Pate hain Sab Pane Wale Lyrics / चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले / with Tazmeen

Mere Gyarwi wale Peer Ghaus-e-aazam Dastageer Lyrics / मेरे ग्यारवी वाले पीर, गौसे आज़म दस्तगीर

Tumne Shahe Jilan Mujhe Baghdad bulaya Lyrics in English Hindi Urdu / तुमने शह-ए-जिलान ! मुझे बग़दाद बुलाया