Mustafa ka khuda aur khud mustafa Lyrics / मुस्तफा का ख़ुदा और ख़ुद मुस्तफ़ा / مصطفیٰ کا خدا اور خود مصطفیٰ
mustafa ka khuda aur khud mustafa mustafa ka khuda aur khud mustafa kyun kahun mera koi sahara nahin mein madine lekin bahot door hun ye khalish mere dil ko gawara nahin mustafa ka khuda aur khud mustafa aapka ishq hai ishq-e-rabbul ula aapka zikr hai khaas zikr-e-khuda khud khuda ne ye quraan mein aelan kiya jo tumhara nahin wo hamara nahin isme ahmad ki ta'zeem ke munkiron iski azmat ko quraan se dekh lo be-laqab unka isme mubarak kahin unke ma'bood ne bhi pukara nahin thokaron ke siwa aur paayega kya jiski manzil ka koi na ho rehnuma apni manzil pe hargiz na pahunchega wo haath mein jiske daman tumhara nahin aql-e-jinno bashar ka yahan zikr kya sidra wale jahan dang o hairaan hain rif‘at-e-mustafa ki mile had kise ye wo dariya hai jiska kinara nahin wo hi roze pe bulwayenge ek din ae sikandar zara sabr se kaam le unke dar ka ga...