Tune Islam diya ..... Sharah



Back To Full Naat


Tune Islam diya , Tune Jama'at mein liya
Tu Kareem ab koi firta hai atayyah Tera

Mushkil Alfaz :

Jama'at : Giroh , Murad hai sawada-e-Azam Ahle Sunnat wa Jama'at .
Firta hai : Wapas hota hai .
Atayyah : Ina'am wa Bakhshish .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ! Ye Aap ka kitna bada ahesan hai ke Aap ne mujhe (Jannati Jama'at) Ahle Sunnat mein kabool farmaya hua hai , Jo Aap ka bahot bada ina'am hai , aur Kareem wa sakhi diya hua ina'am wapas nahin lete .

Allah Ta'ala Farmata hai : (Sura Aale Imran , Aayat 106)
"Jis din kuchh munh (face) ujhale honge aur kuchh munh (face) kale "

Mufassirin upar ki aayat ke tahat likhte hein ke jin logon ke chehre kayamat ke din chamakte honge wo ahle-sunnat wa jama'at ke akaeed ke hamil log honge jin ke bare mein Huzur (AS) ne sahaba-e-kiram ke puchhne pe farmaya , "Jannati wo hein jo ke Mere aur Mere Sahaba ke tareeke par honge ."

Ahle Sunnat ka hai beda paar As'habe Huzur
Najm hai aur naaw hai Itrat Rasulallah ki

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Har Desh mein gunjega Ab Ya Rasool-allah Lyrics Full / हर देश में गूंजेगा, अब या रसूलल्लाह / ہر دیش میں گونجے گا، اب یا رسول اللہ

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا

Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है