Wah kya judo karam hai.....Sharah



Back To Full Naat

Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera


Mushkil Alfaz

Wah : Kalma Tahseen wa Ta'ajjub " Yani Kya Baat Hai  " , Ya "Kya Kehna" Aapke Joodo sakha ka . 
Goya yahan Ta'jjub izhare Shan ke liye hai . Aur ispar Daar-e-Tahseen(The Tribute)  noor Ali noor hai.
Joodo Karam : Sakhawat wa Maherbani .
Shah :  Ye Lafz Shah ka makhfaf hai ba ma'ni Badshah , ye mazaf hai aur bat'ha mizaf-e-Ilahiyah.
Bat'ha  : Makka Mukarrama .

Mafhoom wa Tashreeh

Dusre Misra mein pehla 'Nahin' ba ma'na 'La' hai  , aur dusra fa'al Mazareh ki nafee ke liye hai . Yani jo bhi aap ke paas saeel aaya usne aapki zaban se La (nahin hai) na suna .

Ye Sher Qurani Aayat (Tarjuma) : Aur Saeel ko na jidakiye .(sura-e-Duha , Aayat 10) ,  Aur Hadees-e-Nabwi jo Hazrat Aayesha Siddiqa (rd) se marwi hai ki taraf ishara kar raha hai .Hadees ye hai .

Huzur Sallalallahu alayhi wasallam Tamam logon se ziyada sakhi the , Aap ki sakhawat tez aandhi se bhi zyada jari thi , (Jaise tez hawa har jagah pahunch jati hai usi tarha Aapki sakhawat se bhi koi mehroom na rehta tha) . Aap ne kabhi kisi suwali ko khali wapas nahin lotaya , Yani 'La' nahin farmaya , ke jaao mere paas nahin hai , Agar mojud hota de dete , warna farmate mera naam lekar jo chahe udhar lelo , mein kimat chuka dunga .

Ek ese hi mauke par Hazrat Umar Farooq (rd) ne arz kiya , Huzur Aapko is baat ki takleef to nahin di gayee (Ke paas na ho to udhar le kar dein ) , Aap ne is baat ko pasand na farmaya , Aur Hazrat Bilal (rd) ne arz kiya , Huzur dete jaeeye aur arsh wale se tangdasti ka khauf na kijiye , Aap ye sun kar muskurae aur chehra mubarak khil utha (Shamail-e-Tirmizi).

Jood be mange dene ko kehte hein , aur karam mangne par ata karne ko kehte hein . Hamare Aaqa wa Maula Sallalallahu alayhi wasallam mein ye donon sifat ba tareeka-e-atam mojud thin .

Mangte khali hath na lautein Kitni mili khairat na puchho
In ka karam fir inka karam hai inke karam ki baat na puchho

Aap Sallalallahu alayhi wasallam ne farmaya , Agar (Ohad) pahad mere liye sona ban jaaye to teen raaton mein (ada-e-karz ke liye rakh kar baki) sara takseem kar doon .

Ek deen Asar ki namaz ka salam ferti hi Aap ghar tashreef le gaye aur jaldi hi wapas tashreef le aaye .
Sahaba-e-Kiram (rd) ko ta'jjub hua to Aap ne farmaya ke muje namaz mein sadqa ka bacha hua sona ghar mein reh jaane ka khayal aaya to meine achha na samja ke raat ho jaae aur wo sona mere ghar mein pada rahe is liye ja kar usko takseem kar diya hai . 

Inke dar se koi khali jaaye ho sakta nahin 
Inke darwaze khule hein har gada ke waste

Sakhaat ka ek ye andaz bhi tha ke Hazrat Jabeer (rd) se unt (camel) kharida , rakam ada kardi aur ba'd mein batore atiyya unt(camel) bhi unko wapas kardiya . Hazrat Umar (rd) se unt kharida , rakam ada karke unt unke bete ko hiba kar diya .  

Joli hamari hi tang hai Tere yahan kamee nahin

Hadees ki kitabon mein anginat wakiyat Aap Sallalallahu alayhi wasallam ki sakhawat ke mojud hein .

Mangte to hein mangte koi shahon mein dikha do 
Jisko meri Sarkar se tukda na mila ho
Aata hai fakeeron se unhe pyar kuchh aesa 
Khud bhik dein aur khud kahein mangte ka bhala ho

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammad Lyrics in English Hindi Urdu

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Aakhri Roze hein Dil gham-nak muztar Jaan hai Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Alwada Alwada Mahe Ramzan Lyrics by Owais Raza Qadri in English ~ Hindi

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics || हाजियों मुस्तफा से कह देना || حاجیوں ! مصطفیٰ سے کہ دینا

Maslak ka Tu Imaam hai Ilyas Qadri Lyrics || मसलक का तु इमाम है , इल्यास क़ादरी || مسلک کا تو امام ہے ، الیاس قادری || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Madina yaad aata hai Lyrics ~ dare aqdas pe haal e dil Lyrics ~ in English ~ HINDI ~ URDU

Aye Shahenshah e Madina As-salat-o-Was-salam Lyrics in English Hindi Urdu