pahunchun dare sarkar pe chaha to yahi hai - English    Naat-Khwaans:         Zohaib Ashrafi      Owais Raza Qadri       hai mere khayalon mein wo ahesaas ki surat      main bhool jaaun unko ye mumkin hi nahin hai      dil sun ke unka naam dhadakta hai adab se      halanki unhein aankh se dekha bhi nahin hai    pahunchun dare sarkar pe chaha to yahi hai aage meri taqdeer hai, tamanna to yahi hai    ye unki riza hai mujhe bhejein mujhe rokein wapas main nahin aaunga, socha to yahi hai    pahunchun dare sarkar pe chaha to yahi hai aage meri taqdeer hai, tamanna to yahi hai    hai gumbad-e-khazra ke siwa aur bhi jalwe aankhon ke liye khaas nazaara to yahi hai    pahunchun dare sarkar pe chaha to yahi hai aage meri taqdeer hai, tamanna to yahi hai    izhaar-e-gham-e-hijr ki kya shaql nikaalun rone ki bhi taaqat nahin, rona to yahi hai    pahunchun dare sarkar pe chaha to yahi hai aage meri taqdeer hai, tamanna to yahi hai    yaad unki rahe dil mein jamaal unka nazar mein naam unka labon...