Aasman khwan , zameen khwan.....Sharah



Back To Full Naat



Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman
Sahibe khana laqab kiska hai ? tera tera

Mushkil Alfaz :

Khwan : Dastar Khwan , Jis par khana rakh kar khaya jaata hai .
Zamana : Waqt , Jahan , yahan murad kull kayenat hai .
Laqab : Wasfi naam .
Sahibe khana : ghar waala , mezbaan .

Mafhoom wa Tashreeh :

Ya Rasulallah (Sallalallahu Alayhi Wasallam) Ye Aasman aur zameen aapke dastar-khwan hein , Jin par saare jahanon ko rozi mil rahi hai , aur mezban Aapki Zaate Ba Barkat hai , Goya kayenat ko jo kuchh mil raha hai Aaphi ke daste karam ki ata hai .

La-Wa-Rabbil Arsh Jisko jo mila unse mila
Bant'ti hai Kaunain mein ne'mat Rasulallah ki

Allah Ta'ala ne Irshad Farmaya : Tarjuma : Mera Rasool jo kuchh bhi Tumhe de , le liya karo .(Sura-e-Hashar , Ayat 7)

Huzur (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ke dar se kisi ko jannat mil rahi hai kisi ko Imaan , kisi ko Hidayat . Hazrat Qatada (rd) ko Aankh aur Hazrat Rabiyah (rd) ko jannat bhi aur fir jannat mein Huzur (AS) ka kurb bhi . Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ne farmaya mujhe saari zameen ke khazanon ki chabiyan de di gayeen . Neez Farmaya Agar mein chahun to pahad sona ban kar mere sath chalein (Bukhari) .

Andhe Najdi dekh le Qudrat Rasulallah ki

Huzur (AS) Allah Ta'ala ke naeeb-e-Azam aur khalifa-e-Akbar hein . Khasaise Kubra jild 2 safah 198 pe hai Ke Beshak Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) Allah Ta'ala ke sab se bade khalifa hein . Aur khalifa ke kaam hi ye hai ke Asal Shahenshah ki daulat wa ne'mat ko riaaya tak pahunchata hai  . Jab Hazrat Anas (rd) ki walida majida ne apne bachon ki yateemi ka Huzur(Sallalallahu Alayhi Wasallam) ki bargah mein rona roya , To Aap (Sallalallahu Alayhi Wasallam) ne Farmaya : Duniya aur aakhirat mein(in) bhi mein(I) inko sambhalne wala hun .

Maalike Kaunain hein go paas kuchh rakhte nahin
Do jahan ki ne'matein hein inke khali hath mein

Comments

Post a Comment

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर / اپنے مالک کا میں نام لیکر