Back To Full Naat
Agniyaa palte hein dar se wo hai bada tera
Asfiyaa chalte hein sar se wo hai rasta tera
Mushkil Alfaz
Agniyaa : Jama'a Gani ki ba'mana Maldar .
Bada : Hindi lafz hai ba'mana Iyata wa chaar deewari ya khairat bantne ka makam ke jahan se har ek ki jholi bhari jaati ho aur kisi ko mehroom na lautaya jaaye .
Asfiyaa : Jama'a Safi ki ba'mana saaf dil wala , parhez-gaar .
Rasta : Urdu Lafz Raasta ka makhfaf hai .
Sher Ka Mafhoom
Ya Rasulallah Sallalallahu Alayhi WaSallam ! Aap ke dar se sirf fakeeron ko hi nahin maldaron ko bhi nawaza jaata hai , aur Badshahon ko bhi Taaj-e-Shahi pehnaya jaata hai . Aur Aapki guzargah (guzarne ka rasta) aesa Rasta hai jahan Allah ke makbool bande sar ke bal chalna apne liye sa'adat samajte hein .
Yahi wajeh hai ke Imam Malik (rh) ne sari zindagi Madine sharif mein reh kar joota nahin pehna , ke kahin Sarkar ke paae Anwar ki jagah Mera jhuta na aa jaae . Aur Imame Azam (rh) ne Madina Sharif mein kiyam ke dauran Gyarah(11) din tak Bol wa baraz hawa ka ikhraj na farmaya . Jab bhi zarurat padi Madina sharif se bahar aa kar Qaza-e-Hajat farmaee .
Haram ki zameen aur kadam rakhke chalna
Are Sar ka Mauka hai Oh jaane waale
Hadees ki kutub Sahaba-e-Kiram ke adab wa ahetiram se bharpur ein . Jiska inkar koi ziddhi aur hatdharam hi kar sakta hai .
Comments
Post a Comment