Chor Hakim se ..... Sharah


Back To Full Naat


Chor Hakim se chhupa karte hein yaa(n) uske khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha tera

Mushkil Alfaz :

Chor : Chori karne wala mujrim chor kehlata hai Jiska kam logon ki nazron se chhupna hota hai.
Yaa(n) : Yahan ka makhfaf hai .
Anokha : Nirala .

Mafhoom wa Tashreeh :

Sari duniya mein yahi dastur hai ke chor afsaron aur police walon se chhupne ki koshish mein hote hein , magar bargahe Risalat  ka mua'mala iske khilaf hai , Allah Ta'ala mujrimon ko khud apne habib ki bargah mein bhej raha hai .

Allah Ta'ala Irshad Farmata hai : Sura Ambiya , Aayat 64
Jab Apni jaanon pe zulm karlein to (bakhshish ke liye) Teri bargah mein aa jaaein .
(Allah mu'aaf bhi farmaega aur rehmat bhi ata karega) .

Goya mujrimon ko panah bhi milti hai to damane Rehmatullil Aalamin mein milti hai .

Qabar Anwar se aawaz aayi :

Tafseer Qirtabi wa madarik mein hai : Huzur (AS) ki wafat ke teen din baad ek aerabi Masjide nabawi mein aaya , aur jab usko malum hua ke Huzur (AS) ka wisal ho gaya hai to farte jazbat mein qabre anwar par let gaya aur sar mein mitti dal kar Quran-e-Majeed ki mazkura aayat padta aur sath arz karta Ya Rasulallah (S.A.W)!Meine apni jaan pe zulm kiya hai aur Allah ke hukm ko pah ke aapki bargah mein aa gaya hun , take meri bakhshish ho jaaye , Hazrat Ali-e-Murtaza (rd) farmate hein Qabr anwar se aawaz aayi "Ja Teri bakhshish ho gayi".

Huzur (S.A,W) ka irshad hai : Meri shafa'at bade bade paapon ke liye hai .

Aapki ata ke andaz bhi ajeeb hein , ek diwana bees saal (20 years) se  bila ijazat Madina paak mein reh raha tha , Ek din najdiyon ne pakad liya aur puchha  Tera kafeel kaun hai ?  To usne kaha aao mein tumhe apna kafeel bataun , Roza-e-Paak ke paas jake kehta hai ye hai mera kafeel . Unhone pagal samaj kar chhod diya .

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

Kya batau ki kya Madina hai lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है

Kyun aake ro raha hai Muhammad ke Shehar mein / क्यों आके रो रहा है मुहम्मद के शहर में / کیوں آکے رو رہا ہے محمد کے شہر میں

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام

Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर / اپنے مالک کا میں نام لیکر