Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ya Huasain Ya Husain
Ya Husain Ya Huasain Ya Husain

Mera Nana Nabi Meri Maa Sayyida
Mera Baba Ali Mera Bhai Hasan
Ham hi hein Panjatan
Ham hi hein Panjatan

Meri Kya hai Khata Meri Kya hai Khata
Meri Kya hai Khata Meri Kya hai Khata

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun
Kya Mein Zehra ka jaaya nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Mere Nana ne Kalma sikhaya
Sur Quraan Tumko sunaaya
Kya Mein Nana ka saya nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Wo Madina Jahan Mera Ghar hai
Aur Masjid mein Us ghar ka dar hai
Kya Mein Us ghar mein khela nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Chakkiyan Pees kar Maa ne paala
Mujko Nana ne jhula jhulaya
Apna bachpan Mein bhula nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Kamli wale ke Lab chumta tha
Kitna Pyara Mera bachpana tha
Kya Mein Unka dulara nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Mein jo paani kabhi mangta tha
Kyun tadapti thi Maa ab Mein samja
Paas Asghar ke jata nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Mein jo chahun baras jayein badal
Khun mein duba nazar aaye maktal
Jang karne Mein aaya nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Ek Sada thi Ye Rehaano Sarwar
Keh rahe the Husain Ibne Haidar
Kya Mein Mehman aaya nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Kya Mein Zehra ka jaaya nahin hun
Kya Nabi ka Nawasa nahin hun

Mujpe kyun band karte ho paani
Kya Muhammad ka Pyara nahin hun

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu