Ne'amatein bantata Jis simt wo zeeshan gaya Lyrics
Ne'matein bantata Jis simt wo zeeshan gaya
Sath hi Munshi-e-Rehmat ka Qalam-dan gaya
Le khabar jald ke gairon ki taraf dhyan gaya
Mere Aaqa Mere Maula Tere Qurban gaya
Haae wo dil jo Tere dar se pur-arman gaya
Dil hai wo dil jo Teri yaad se ma'moor raha
Sar hai wo sar jo Tere qadmon pe qurban gaya
Unhe jaana Unhe maana na rakkha gair se kaam
Lillahil Hamd Mein duniya se Musalman gaya
Aur Tum par Mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdiyon ! kalma padhane ka bhi ahesan gaya
Aaj le unki panah Aaj madad mang unse
Phir na maanenge Qayamat mein agar maan gaya
Uff re Munkir ye badha joshe ta'assub aakhir
Bhid mein hath se kambakht ke Iman gaya
Jaano dil hosho khirad sab to madine pahunche
Tum nahin chalte Raza sara to saman gaya
Comments
Post a Comment