Rukh Din Hai Ya Mehre Sama
Rukh Din Hai Ya Mehre Samaa, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Shab Zulf Ya Mushke Khuta, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Mumkin Me Ye Qudrat Kaha, Waajib Me Abdiyat Kaha
Haira(n) Hu Ye Bhi Hai Khata, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Haq Ye Ki Hai Abde Ilah Aur Aalam E Imkaa(n) Ke Shah
Barzakh Hai Wo Sirre Khuda, Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Bulbul Ne Ghul Unko Kaha, Kumree Ne Sarve Jaanfiza
Hairat Ne Jhunjhla Kar Kaha Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Khursheed Tha Kis Zour Par Kya Badh Ke Chamka Tha Qamar
Be-Parda Jab Wo Rukh Hua Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Dar Tha Ki Isyaa(n) Ki Saza Ab Hogi Ya Rouze Jaza
Dee Unki Rehmat Ne Sadaa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Koyi Hai Naazo Zuhad Par Ya Husne Tauba Hai Sipar
Yaa(n) Hai Faqat Teri Ataa Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Din Lahv Me Khona Tujhe, Shab Subha Tak Sona Tujhe
Sharme Nabi Khaufe Khuda Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Rizq E Khuda Khaya Kiya, Farmaan E Haq Taala Kiya
Shukre Karam Tarse Saza Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Hai Bulbule Rangi RAZA Ya Tutiye Nagma Saraa
Haq Yeh Ki Wasif Hai Tera Ye Bhi Nahi Wo Bhi Nahi
Comments
Post a Comment