Posts
Showing posts with the label ramzan
- Get link
- X
- Other Apps
gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! - English ya nabi! ya nabi! ya nabi! ya nabi! naseem-e-faiz chala dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! hun door aapki dehliz se hui muddat bas ab ye doori mita dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! wo sabz gumbad-o-minaar-o-mimbar-o-mehraab phir apna roza dikha dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! khuda-ra kijiye talab ab to apne qadmon mein naseeb mera jaga dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! ajeeb soz ohad ki faza-e-paak mein hai wo bhini khushbu sunga dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! naseeb phir se hon iftariyan madine mein wo lamhe behr-e-khuda dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! bitha ke sufre pe apne mujhe bhi de izzat phir uske tukde khila dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila dijiye mere aaqa! dahi, khajoor ho zamzam ho naan ke tukde mujhe to bas ye giza dijiye mere aaqa! gul-e-ummid khila...
- Get link
- X
- Other Apps
shore mahe nau sun kar, tujh tak main dawaan aaya - English maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya shore mahe nau sun kar, tujh tak main dawaan aaya saaqi main tere sadqe mai de ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya jab baam-e-tajalli par, wo nayyare jaan aaya sar tha jo gira jhuk kar, dil tha jo tapaan aaya saaqi main tere sadqe mai de ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya taybaa ke siwa sab baagh paamaale fanaa honge dekhoge chaman waalon! jab ahd-e-khazaan aaya saaqi main tere sadqe mai de ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya jannat ko haram samjha, aate to yahaan aaya ab tak ke har ek ka munh, kehta hoon kahaan aaya saaqi main tere sadqe mai de ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya maah-e-ramzaan aaya sar aur wo sange dar, aankh aur wo bazm-e-noor zaalim ko watan ka dhyaan, aaya t...
- Get link
- X
- Other Apps
hua jaata hai rukhsat maah-e-ramzaa.n ya rasulallah hua jaata hai rukhsat maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! raha ab cha.nd gadiyo.n ka ye mehmaa.n ya raulallah ! khushi ki laher daudi har taraf, ramzaan jab aaya hai ab ranjida ranjida musalmaa.n ya rasulallah ! musarrat hi musarrat aur khishi hi thi khushi jis dam nazar aaya hilaal-e-maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! shaha ! ab gham ke maare khoon ke aansu bahaate he.n chalaa tadpaake haaye maah-e-ramzaa.n ya rasulallah ! chalaa ab jald ye ramzaa.n sataees(27) aa gayi taarikh faqat do din ka ab ramzaa.n hai mahemaa.n ya rasulallah ! riyaazat kuchh na ki hamne, ibaadat kuchh na ki hamne rahe bas har gadi mashgul-e-isyaa.n ya rasulallah ! mai.n haaye jee churaata hi raha rab ki ibaadat se guzaara ghaflato.n me.n saara ramzaa.n ya rasulallah ! mai.n sota reh gaya ghaflat ki chaadar taan kar afsos KHudaara meri bakhshish ka ho samaa.n ya rasulallah ! KHuda ke nek ban...
- Get link
- X
- Other Apps
qalb-e-aashik hai ab paara-paara qalb-e-aashik hai ab paara-paara alwada alwada maah-e-ramzaan ulfat-e-hijr-o-furkat ne maara alwada alwada maah-e-ramzaan tere aane se dil khush hua tha aur zaukq-e-'ibaadat badhaa tha aah ! ab dil pe hai gham ka ghalba alwada alwada maah-e-ramzaan bazm-e-iftaar sajti thi kaisi khub saheri ki ronak bhi hoti ho gaya sab sama suna-suna alwada alwada maah-e-ramzaan be-karaari badhi jaa rahi hai hijr ki ab gadi aa rahi hai dil hua jaata hai paara-paara alwada alwada maah-e-ramzaan kuchh na husn-e-'amal kar saka hu.n nazr chand ashk mei.n kar raha hu.n bas yahi hai mera kul asaasa alwada alwada maah-e-ramzaan tujhpe laakho.n salaam maah-e-ramzaa.n tumpe laakho.n salaam maah-e-ghufraan jaao haafiz KHuda ab tumhaara alwada alwada maah-e-ramzaan jab guzar jaaeinge maah gyaaraah teri aamad ka phir shor hoga kya meri zindagi ka bharosa alwada alwada maah-e-ramzaan waasta tujhko pyaare nabi ka roz-e-maheshar hamei.n na bhul jaana roz-e-maheshar hamei.n...
- Get link
- X
- Other Apps
allah tera hai ahesaan shukr-e-KHuda karo, maah-e-rahmaan aa gaya taqseem karne ne'matei.n, ramzaan aa gaya allah tera hai ahesaan, roze, namaazei.n, aur quraan hei.n ye sab rooh-e-imaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan 'ilm mashroot hai 'amal se, aur ye haasil hota hai jab koshish ki jaaye dil se 'ilm-o-'adab sikhlaaeinge, deen-e-KHuda failaaeinge masjid mei.n bhi jaaeinge, hum to naat sunaaenge allah tera hai ahesaan, tune badaa di sabki shaan aaya hai banke mahemaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan deen-e-islaam, mohabbat ka payaam allah ka in'aam , KHaaliq ka hai paighaam kaisi hawa-e-'ishq chali, KHatm hui nafrat dil ki baant rahe hei.n pyaar sabhi , sahri ho ya iftaari allah tera hai ahesaan, ek hue saare insaan saj gaye ghar ghar dastar-khwaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan meri KHaatir KHuda ! tune kya-kya kiya tune khus...
- Get link
- X
- Other Apps
jahaa.n bhi jaau.n, nazar mei.n rehta hai aapka darbaar mere sarkaar jahaa.n bhi jaau.n, nazar mei.n rehta hai aapka darbaar yahi tamanna hai roz-e-mahshar ho aapka deedaar bulaawa bhejei.n to aaye taibaa, ye aapka hubdaar jahaa.n bhi jaau.n, nazar mei.n rehta hai aapka darbaar yahi tamanna hai roz-e-mahshar ho aapka deedaar mere jo andar ki ye tadap hai, yahi hai meri hayaat isi tadpne to zindagi ki bana rakkhi hai ye baat yaqeen-e-qaamil hai do jahaa.n mei.n hai aapki sarkaar jahaa.n bhi jaau.n, nazar mei.n rehta hai aapka darbaar yahi tamanna hai roz-e-mahshar ho aapka deedaar isi waseele se do jahaa.n ke charaag jalte hei.n sabhi jahaano.n ke kaarkhaane isi se chalte hei.n nigaah mujh-ko bhi ek karam ki hai aapki darkaar jahaa.n bhi jaau.n, nazar mei.n rehta hai aapka darbaar yahi tama...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(ENG): Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye Aye Mere Allah ! Mujpe Karam ye farmana Roza rakkhunga saheri me.n Mujko uthwana Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye Ham Roza rakhna chahe.n, Mama Ham.n samjaaye Roza rakhna agle saal, Roza rakhna agle saal Din hai bada aur Tum ho chhote, Maan bhi jaao na Mere Bete Bhook lagegi Pyas lagegi, Sara Din kuchh kha nahi.n sakte Abhi to chhote bacche ho, maana ke man ke scche ho Maa ki aankh ke taare ho, Baba ke dulaare ho Roza ab ke saal rakhna, Maan lo beta baat hamari Dhoom dhaam se Laal hamare ! Roza-Pachai hogi Tumhari Meri Maa ne bola beta thik hai Roza rakh lena Baccho.n ka roza aadha hai, Din me.n khana kha lena Mama-Papa Pyar kar.n aur Dadu bole.n khalo kuchh Maan ke Gharwalo.n ka kehna, kha leta hu.n Mai.n khana Jo Roza nahi.n rakhte, Wo acchhe nahi.n hote Unhe.n Rab na bakhshega, Jo Rab se nahi.n darte Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n sehat de Maula Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n himmat de Maula Hasan Imam Qadri ko bakhsh d...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Khushiyon bhara Ye Din hai , Mil kar Khushiyaan manaein Naye Naye Kapde pahen kar , Pyaaron se milne jaayein Ruthe huon ko aaj manaake , Sabko gale lagaein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Shukr Khuda ka paaya hai, Meethi Eid ka Ye Tehwaar Badon se lenge Duaaein, Aur Chhoton ko kareinge Pyaar Garam Garam Sewaiyyan, Khaaeinge ho kar Tayyar Rang be Rangi Chudiyaan Pahenein, Aur Mahendi lagwaaein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Noton se Full hogi , Pocket Apni Apni In Paison se lenge Ham , Cheezein acchhi acchhi Khala , Phuppho , Chachi ke Ghar chalte hein jaldi Dada , Dadi, Nana, Nani se Eidi le aayein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Aao , Eid manaein, Eid manaein, Eid manaein Dil mein nafrat rakh kar , jeena kaisa jeena hai Gharwaalon ke sath mein baithke khana pina hai Sab Dukh Dard bhula do , Ye Khushiyon ka Mahina hai Ruthe huon ko aaj manaake , Sab...
- Get link
- X
- Other Apps
Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Marhaba Ramzaan Marhaba Ramzaan Marhaba Ramzaan Marhaba Ramzaan Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Noor ka hai ye Samaan, Ye Sehri aur Iftaar Ho Tumhein Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Sahri ke wo Lamhaat Wo Iftaar ki Gadiyaan Hoton pe Duroodon ki Salaamon ki Ye Ladiyaan Jaari Jo Zabaanon pe hai Quraan Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Is Maah mein hoti hai Gizaaon mein bhi barkat Mil jaati hai khaane ko har ek cheez ba-kasrat Is Maah ki barkat se Tajaa-khwaan Mubaarak Noor ka hai ye Samaan, Ye Sehri aur Iftaar Ho Tumhein Mubaarak Rahmate Ramzaan Rahmate Ramzaan Rahmate Ramzaan Rahmate Ramzaan Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Ramzaan Mubaarak Tumhein Ramzaan Mubaarak Altaafo Karam aaya mitaata hua qurfat Lo Jalwaa figan ho hi gayaa Ashraa-e-Rahmat Ho khoob ...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Khuda ki hai Inaayat Maahe Ramzaan aane waala hai Hui Maula ki Rahmat Maahe Ramzaan aane waala hai Maahe Ramzaan, Maahe Gufraan, Maahe Subhaan, Maahe Rahmaan Khuleinge Baabe Jannat Maahe Ramzaan aane waala hai Masjidein hongi fir aabaad, Shaitaan jal mare naashaad Mile Momeen ko Farhat Maahe Ramzaan aane waala hai Dile Magmoom fir ek baar, Khushiyon se hua Sarshaar Hui haasil Musarrat Maahe Ramzaan aane waala hai Khushi se Jhoomta hai Dil, Machi hai Qalb mein halchal Mile Aashiq ko farhat Maahe Ramzaan aane waala hai Taraawih aur Namaazon mein kami hogi na Rozon mein Karo mil kar ye Niyyat Maahe Ramzaan aane waala hai Ilaahi Aafiyat dena Salaamat Dil ataa karna Ataa kar de Tu Sehat Maahe Ramzaan aane waala hai Mein Ramzaanul Mubarak Paaun, Roze Saare rakh paaun Tu rakh Zindaa Salaamat Maahe Ramzaan aane waala hai Nabi ke Ishq mein roun, Madine ke liye tadpun Khuda de Sozo Riqqat Maahe Ramzaan aane waala hai Rahun qaayim Mein Tauba par, Khudaaya Fazl Aesa kar Gunaahon...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng): Inshaa-Allah saare Roze rakkhunga Ramzaan mein Namaaz pad ke Rabb ko Raazi kar lung Ramzaan mein Ramzaan Ramzaan Ramzaan Ramzaan Ramzaan Ramzaan Ramzaan Ramzaan Allah ka Ahesaan hai , Ataa kiya Ramzaan hai Shukre Maulaa karte rehnaa , Momeen ki pahechaan hai Inshaa-Allah saare Roze rakkhunga Ramzaan mein Namaaz pad ke Rabb ko Raazi kar lung Ramzaan mein Jannat ke Darwaaze khulte hein Maahe Ramzaan mein Bakhshish ke Parwaane bant'te hein Maahe Ramzaan mein Mein bhi bakhshish ka Parwaana Paaungaa Ramzaan mein Inshaa-Allah saare Roze rakkhunga Ramzaan mein Namaaz pad ke Rabb ko Raazi kar lung Ramzaan mein Har bacche ki khwaahish hoti hai Rozaa Kushaaee ki Kehta hai Ye Har bacchaa kab Meri baari aayegi Mein bhi Roze ki Lazzat ko paaungaa Ramzaan mein Inshaa-Allah saare Roze rakkhunga Ramzaan mein Namaaz pad ke Rabb ko Raazi kar lung Ramzaan mein Din mein Roze rakh kar Jo Raaton ko Taraaweeh padtaa hai Maula Uske pichhle sab jurmon ki bakhshish kartaa hai Apne Gunaah...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(Eng) : Aaya Allah ka Mehmaan, Aaya hai Maahe Ramzaan Lekar Haathon mein Quraan , Aaya hai Maahe Ramzaan Rehmate Ramzaan, Rehmate Ramzaan, Rehmate Ramzaan Mujko Ramzaan ka Mahina acchha lagta hai Sahri aur Iftaar karnaa acchha lagta hai Mujko Ramzaan ka Mahina acchha lagta hai Ramzaan ke Roze rakkhunga, Mein saari Namaazein padhungaa Quraan ki Tilaawat karunga, Aur Deen ki Baatein Sikhungaa Rahmaan Raazi hoga, Rahmaan Raazi hoga Rahmaan Raazi hoga, Rahmaan Raazi hoga Dekh Falak pe Chaand Chamkaa Maahe Ramzaan aaya Nikhraa Nikhraa har ek chaheraa Maahe Ramzaan aaya Dekho Falak pe Chaand Chamkaa Maahe Ramzaan aaya Nikhraa Nikhraa har ek Chaheraa Maahe Ramzaan aaya Pure Mahine Roze rakhnaa, Acchhaa lagtaa hai Mujko Ramzaan ka Mahina acchha lagta hai Bacchon Roza rakhna hai, Qurb Khuda ka paana hai Raazi hota hai Rehmaan, aaya hai Maahe Ramzaan Ramzaan mein Momeen ke Muqaddar Roshan lagte hein Masjid ke Mehraabo Mimbar Roshan lagte hein Masjid mein Logon ka badnaa Acchha lagta hai Mu...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Marhabaa sad Marhabaa fir Aa gayaa Ramzaan hai Khil uthe murjaaye Dil Taaza hua Imaan hai Aa gaya Ramzan hai Aa gaya Ramzan hai Ya khuda Ham aasiyon par Ye badaa ahesaan hai Zindagi main fir ataa Ham ko kiya Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Tujpe sadke jaaun Ramzaaz Tu Azimusshaan hai Ke khuda ne Tujmein hi naazil kiya Quraan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Abre Rehmat chhaa gayaa hai aur samaa hai Noor Noor Fazle Rabb se magfirat ka ho gayaa saamaan hai Har gadi Rehmat bhari hai har taraf hein Barkatein Maahe Ramzaan Rahamton aur Barkaton ki kaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gaya Ramzaan Ibaadat par kamar ab baandh lo Faiz lelo jald ke Din Tees ka Mehmaan hai Aasiyon ki magfirat ka lekar aaya hai payaam Jum jaao mujrimon Ramzaan Maahe gufraan hai Aa gayaa Ramzaan hai Aa gayaa Ramzaan hai Bhaiyon Baheno karo...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(Eng) : Allah Nabi ke Pyaaron uttho Aye Roza daaron Mauka ye fir milaa hai Tum aaqebat sanwaaro Uttho ke barkaton ka fir aa gayaa Mahinaa Naazil hua Is mein Quraan ka khazinaa Aao namaaz pad kar Quraan Tum uthaalo Uttho Aye mominon Tum ye nek kaam karlo Waqte Sahar hai aaya kuchh ahtemaam karlo Ramzaan ka Mahina yun hi na Tum guzaaro Tasbeeh Tum Khudaa ki karte raho hameshaa Hai baadshaah usi se darte raho hameshaa Batlaai jo Nabi ne Wo saari baat maano Bas ye nahin kaafi Tum bhukhe pyaase rehnaa Saare haraam se bhi parhez tumhe hai karnaa Khushnudi-e-Khuda mein Roze ka haq adaa ho Aye Mominon hasad se geebat se bachte rehnaa Bejaa kisi pe hargiz zulmo sitam na dhaana Taalime Haq yahi hai Haq naa kisi ka maaro Juth aur bad zubani se Ijtinaab karnaa Gar kar sako to Apna khud ehtesaab karna Jo kuchh galat kiya hai Uski muaafi maango Chhodo ladaai jagde gaali galoch gaane Momin Wohi hai saccha Haq baat ko jo maane Apne gunaah par Tum tauba ke par de daalo Aye S...
- Get link
- X
- Other Apps
allah tera hai ahesaan noor-e-ramzaan shukr-e-khuda karo, maah-e-rahmaan aa gaya takseem karne rehmatein, ramzaan aa gaya allah tera hai ahesaan, roze, namazein, aur quraan hein ye sab rooh-e-imaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan ilm mashroot hai amal se, par ye haaseel hota hai jab koshish ki jaaye dil se ilm-o-adab sikhlaaeinge, deen-e-khuda failaaeinge masjid mein bhi jaaeinge, ham to naat sunaaeinge allah tera hai ahesaan, tune badaa di sab ki shaan aaya hai ban ke mahemaan, noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan noor-e-ramzaan deen-e-islaam, mahobbat ka payaam allah ka in'aam, khaaliq ka hai paighaam kaisi hawa-e-ishq chali, khatm hui nafrat dil ki baant rahe hein pyaar sabhi, sehri ho ya iftaari allah tera hai ahesaan, ek hue saare insaan saj gaye ghar ghar dastar-khwaan n...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Rabb ke aage Tauba kariye , Rabb ke aage Tauba Rabb ke aage Tauba kariye , Rabb ke aage Tauba Rabb ke aage Tauba kariye , Zindagi hai anmol Allah Allah bol , Allah Allah bol , Allah Allah bol O Bande ! Allah Allah bol , Allah Allah bol Ye hai Duniya Chaar Dinon ki , aakhir mein mar jaana Jhuthi Shohrat , Jhuthi Daulat , saath kise le jaana Jhuthe hein Ye rishte naate , Naaton ka naa koi mol Allah Allah bol , Allah Allah bol , Allah Allah bol O Bande ! Allah Allah bol , Allah Allah bol Guzri Jawaani Chaar Dinon ki , Khushiyaan Tu na manaaiye Zindagi ka Aetebaar nahin bhai binaa Kafan bhi jaaiye Is Duniya se sabko jaana , Jaana hai maati ke mol Allah Allah bol , Allah Allah bol , Allah Allah bol O Bande ! Allah Allah bol , Allah Allah bol हिंदी : रब्ब के आगे तौबा करिये, रब्ब के आगे तौबा रब्ब के आगे तौबा करिये, रब्ब के आगे तौबा रब्ब के आगे तौबा करिये , ज़िन्दगी है अनमोल अल्लाह अल्लाह बोल, अल्लाह अल्लाह बोल, अल्लाह अल्लाह बोल, ओ बन्दे ! अल्लाह अल्लाह बोल, अल्लाह अल्लाह बोल, ये...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Chehre khile khile hein, Roshan hai sab ka seena Aesa banaaya Rabb ne , Ramzaan ka Mahina Chaaron taraf bahaarein , Ghar Ghar mein Ronakein hein Waqte Taraawih dekho , Aabad Masjidein hein Naatein padho Nabi ki , Karo Mehfile Shabeenaa Chehre khile khile hein, Roshan hai sab ka seena Aesa banaaya Rabb ne , Ramzaan ka Mahina Uttho jaldi Mominon Tum , karo Saheri ki Tayyari Qurbaan karo Khuda par , Neend Apni Pyaari Pyaari Naam Uska Zindagi hai , Kehte hein Isko Jeena Chehre khile khile hein, Roshan hai sab ka seena Aesa banaaya Rabb ne , Ramzaan ka Mahina Jee bhar ke loot Rehmat , Ramzaan ki hein Gadiyaan Maangein Khuda se bakhshish , Ramzaan ki hein Gadiyaan Phir aayega na Haathon , Anmol ye gageena Chehre khile khile hein, Roshan hai sab ka seena Aesa banaaya Rabb ne , Ramzaan ka Mahina Taybaa se door reh kar Duniyaa mein jeena kya hai Ae'jaaz Meri Roti aankhon se Ye Duaa hai Allah Hamein dikhaaye Isi Maah mein Madina हिंदी : चेहरे खिले खिले...
- Get link
- X
- Other Apps
Roman(Eng) : Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Islaam ki Pahechaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Iftaar ka lamhaa ho ke Sehri ki gadi ho Har Waqt hi Zee-Shaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Tasbeeho Munaajaato Shabinaa o Taraawih Faizaan hi Faizaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan ki Raaton mein Shabe Qadr ko dhundho Bakhshish ka jo Armaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Taazim mein Iski kami reh jaaye na koi Chand Roz ka Mehmaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan Ramzaan Maherbaan hai Ramzaan Maherbaan हिंदी : रमजान महेरबान रमजान महेरबान रमजान महेरबान रमजान महेरबान रमजान ...
- Get link
- X
- Other Apps
Ramzaan hai Allah ki qurbat ka Mahina Jismaani-o-Rohaani Ibaadat ka Mahina. Ramzaan, Ramzaan, Ramadan, Ramdan, Ramdhan Ramzan hai Islam ki azmat ki nishani Ramzan hai Allah ki qurbat ki nishani Rozay ka silah deta hai khud Khaliq e Akbar Sa’im kay liye roza hai jannat ki nishani Ramadan Hai Allah ki qurbat ka mahena Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan. Ho jata hai Shitan bhi paband e salasil Hai jurm o khata say yeh bara’at ki nishani Ik khas sila milta hai har achay amal ka Yeh mah hai Rehman ki rehmat ki nishani. Ramadan Hai Allah ki qurbat ka maheena Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan. Ik raat kay hai barah mahinoon say bhi afzal Yani hai Shab e Qadr bhi azmat ki nishani Ho jati hai paida dil e Muslim mein akhuwat Ramzan to hai mehr o muhabbat ki nishani. Ramzan Hai Allah ki qurbat ka maheena Ramadan, Ramzan, Ramazan, Ramadhan, Ramdan, Ramadaan.
- Get link
- X
- Other Apps
Roman (Eng) : Ba'de Ramzaan Eid hoti hai Rab ki Rahmat mazeed hoti hai Jis ko Aaqa ki deed hoti hai Uspe Qurbaan Eid hoti hai Eid Tujko Mubarak Aye Saaeem Rozadaro.n ki Eid hoti hai Rozadaron ke waste Wallah Magfirat ki naweed hoti hai Be-Namazon ki Rozaakhoron ki Kaun kehtaa hai Eid hoti hai Jisko Aaqa Madine bulwaaein Us Musalmaan ki Eid hoti hai Mujko Eidy mein do baqee Aaqa Jaane kab Meri Eid hoti hai Eid Attar Uski hai Jisko Khwaab mein Unki Deed hoti hai हिंदी : बा'दे रमजान ईद होती है रब्ब की रेहमत मज़ीद होती है जिसको आक़ा की दीद होती है उसपे क़ुर्बान ईद होती है ईद तुमको मुबारक ए साईम रोज़ादारों की ईद होती है रोज़ादारों के वास्ते वल्लाह मगफिरत की नवीद होती है बेनमाज़ों की रोजाखोरों की कौन कहता है ईद होती है जिसको आक़ा मदीने बुलवाएं उस मुसलमां की ईद होती है मुझको ईदी में दो बाक़ी आक़ा जाने कब मेरी ईद होती है ईद अत्तार उसकी है जिसको ख्वाब में उनकी दीद होती है ramzan, bade ramzan, eed special, eid special naat, nasheed, dawate islami, dawat-e-islami, i...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम
Mustafa Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam Roman Urdu, Hindi & Urdu Lyrics Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laakhon salaam ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
Keh dena Sarkar se Salam Hamara Lyrics / कह देना सरकार से सलाम हमारा, सलाम हमारा
Le Ke Jab Aaye Haji Unke Dar Ka Haseen Nazara Roman Urdu, Hindi & Urdu Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu le ke jab aaye haji unke dar ka haseen nazara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara wo hein jaan-e-kaaba, wo hein shaah-e-do aalam dekh ke jinka jalwa jhoome arsh-e-aazam nabiyon mein koi bhi nahin hai unke jaisa nyaara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unke dar pe jaa kar hosh na udne paaye dil ki har dhadkan pe rang-e-junoon na chhaye be adbi mahboob ke dar ki, rab ko nahin gawara keh dena sarkar se salaam hamara, salaam hamara unki rahmat ka dariya rehta hai har-soo gham ke andheron mein wahi hai roshni numaya ummat ke liye jo roye raaton mein, aisa nahin koi hamara keh dena sarkar s...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Aye Saba Mustafa se keh dena Lyrics / अये सबा मुस्तफा से कह देना / اے صبا! مصطفیٰ سے کہہ دینا
aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n Naat-Khwaan: Haji Mushtaq Attari aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n yaad karte hei.n tumko shaam-o-sahar, dil hamaare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ki baatei.n, marhaba rang-o-noor ki baatei.n chaand jin par nisaar hota hai, aur taare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n jab muhammad ka naam aata hai, rahmato.n ka payaam aata hai lab humaare durood padte hei.n, dil humaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n allah ! allah ! huzoor ke gaisu, bheeni-bheeni mahakti wo khushbu jin se maa'mur hai faza har-soo, wo nazaare salaam kehte hei.n aye saba ! mustafa se keh dena, gham ke maare salaam kehte hei.n zaaeer-e-taiba tu madine mei.n, pyaare aaqa se itna keh dena aap ki gard-e-raah ko aaqa ! be-sahaare salaam kehte hei.n a...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Ya Nabi Salam Alayk Lyrics / या नबी सलाम 'अलैक - All versions
ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik rabb-e-sallim 'ala rasulallah marhaba marhaba rasulallah ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik rahmato.n ke taaj waale! do jahaa.n ke raaj waale! 'arsh ki me'raaj waale! aasiyo.n ki laaj waale! ya nabi salaam 'alaik, ya rasool salaam 'alaik ya habeeb salaam 'alaik, salawaatulla 'alaik hai tamanna ye KHuda se kahi.n, aisa howe hind se fir soo-e-madina, mera jaana howe roza-e-paak ke chogird firu.n main aisa jaise parwaana sar-e-sham' pe firta howe hu.n main mushtaq-e-ziyaarat, ye tamanna hai shaha! puri allah meri, ab ye tamanna howe ...







.png)

