an-nabī ṣallū ʿalayh, ṣalawātullāh ʿalayh ya rasūlallāh, ya rasūlallāh ya ḥabīb allāh, ya ḥabīb allāh an-nabī ṣallū ʿalayh, ṣalawātullāh ʿalayh wa yanālul-barakah, kullu man ṣallā ʿalayh kābe ke badr-ud-dujā, tum pe karoṛon durood ṭaibā ke shams-ud-ḍuḥā, tum pe karoṛon durood shāfiʿ-e-roz-e-jazā, tum pe karoṛon durood dāfiʿ-e-jumla balā, tum pe karoṛon durood dil karo ṭhaṇḍā merā, wo qadme-pā chānd sā sīne pe rakh do zarā, tum pe karoṛon durood zāt huī intikhāb, waṣf hue lājawāb nām huā muṣṭafā, tum pe karoṛon durood be-hunar be-tamīz, kiske hue hain ʿazīz ik tumhāre sivā, tum pe karoṛon durood ās hai koī na pās, ik tumhārī hai ās bas yahī āsrā, tum pe karoṛon durood sīna ke haiñ dāgh dāgh, kah do kareñ bāgh bāgh ṭaibā se āke sabā, tum pe karoṛon durood tum se jahān kā niẓām, tum pe karoṛon du...