Aamena Ke Dil Ka Tukda Mustafa Hai Mustafa


Siddik se Puchha.... Mustafa     Sadakar Boli........Mustafa
Faruk se Puchha..... Mustafa     Adalat Boil....... Mustafa
Usmaa se Puchha ...... Mustafa     Sakhavat Boli .......Mustafa
Haidar se Puchha ....... Mustafa      Shuja'at Boli .... Mustafa
Hasanain se Puchha .......Mustafa     Shahadat Boil ...... Mustafa
Mere Ghaus Se Puchha ...... Mustafa    Vilayat Boli ....... Mustafa

Aamena ke Dil ke Tukda Mustafa Hai Mustafa 
Ladla Naazo ka paala Mustafa hai Mustafa

Mithi Mithi Pyari Pyari Dilnashee Baato se Jo
Aamena Ka  Dil lubhata Mustafa Hai Mustafa

Jisne Roshan ghar Halima Sadiya ka kardiya
Vo Halima ka Chahita  Mustafa Hai Mustafa

Jannti aizan jiske ek ishare par mile
Dono Alam ka Shahenshah Mustafa Hai Mustafa

Kiski Aamad hai Zamana chaar su Roshan Hua
Saare Alam ne pukara Mustafa Hai Mustafa

Lo Mubarak Arsh-e-Haq Se Aaj Mehboob-e-Khuda 
Aamena Ke Ghar Jo Aaya Mustafa Hai Musatafa

Saltan Hai Mahad Mai Bhi Aasamaa Ke Chand Par
Noor Hai Jiska Khilona Mustafa Hai Mustafa

Nazish-e-Is'hak-o-Nooh-o-Yusuf-o-Yaakub-o-Shish
Fakhre Alam Jo Hai Thehra Mustafa Hai Mustafa

Avvalin-o-Akhari Sab Dasbasta Hai Khade
Sabse Ala Sabse Bala Mustafa Hai Mustafa

Dil Ki Duniya Se Nishan-e-Dukh Mitane Aa gaya
Khasta Haalo Ka Sahara Mustafa Hai Mustafa

Noor-e-Vahdat Se Dilo Ko Yu Ujagar Kardiya
Andhe Shisho Mai Jo Chamka Mustafa Hai Mustafa





Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu