Aaj ikkhata hai Daanish wara ne watan Naat Lyrics

Aaj ikkhata hai Daanish wara ne watan
Yaani Ulma wa Shoraye fikr aur fann
Saahibane nazar haasile anjuman
Nukta daan wa fasihane Ahle Sunan
Hai Adeebo Khatibe zubano sukhan
Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Azmate Sidke Siddiqe Akbar liye
Adle Farooqe Aazam ka mazhar liye
Sabr e Usman gani ka samandar liye
Kuwate daste baazuye haidar liye
Nikhate range hazrat Hussain o Hassan
Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Isme Ajmeri Khwaja ki hai Khwajgi
Sayyed Masood Gaazi ka gulshan yahi
Yeh hai fulwari Ashraf Jahangir ki
Rang wa Buye Bareili wa Mahrehravi
Ispe saaya fagan panjaye panjatan
Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Dekho Ahmed Raza Kha ke neze ki maar
Ho gaya jisse aada ke seena me gaar
Hashmati sher Beshye Sunnat ka waar
Bach ke jaane na paye wahabi shikar
Jubbe Sadrushriya hai baatil shikan
Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Iske raiha ki Ajmal mahak chaar soo
Iske Akhtar ki Azhar Manshamas khoo
Hai duao me masruf Ahle Sanan
Yeh Raza ka chaman hai Raza ka chaman

Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu