Faslon ko Takalluf hai ham se agar Lyrics
Faslon ko Takalluf hai ham se agar
Ham bhi be bas nahi be sahara nahi
Khud unhi ko pukarenge ham dur se
Raste me agar paao thak jayenge
Aur galiyon me kasdan bhatak jayenge
Ham vaha jaake vapas nahi ayenge
Dhundhte Dhundhte log thak jayenge
Jaise hi sabz gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jayega
Sar juka ne ki fursat mile gi kise
Khud hi palkon se sajde tapak jayenge
Naam e aka jaha bhi liya jayega
Zikr unka jaha bhi kiya jayega
Noor hi noor sinon me bhar jayega
Sari mehfil mai jalve lapak jayenge
Ae madine ke zahir khuda ke liye
Dastan e safar mujko yu mat suna
Baat bad jayegi dil tadap jayega
Mere muhtaat ansu chhalak jayenge
Unki chashm e karam ko hai iski khabar
Kis musafir ko hai kitna shok e safar
Ham ko Iqbal jab bhi ijazat mili
Ham bhi aqa ke darbar tak jayenge
Amazing kalam..very heart ❤️ touching
ReplyDelete