Posts
Showing posts with the label takaluf hai
- Get link
- X
- Other Apps
faaslon ko takalluf hai ham se agar faaslon ko takalluf hai ham se agar ham bhi be-bas nahin be-sahaara nahin khud unhi.n ko pukaarenge ham door se raaste mein agar paaon thak jayenge ham madine mein tanha nikal jaaeinge aur galiyon mein qasdan bhatak jaaeinge ham wahaan jaake waapas nahin aaenge dhundhte dhundhte log thak jaaenge jaise hi sabz gumbad nazar aayega bandagi ka kareena badal jaayega sar juka ne ki fursat milegi kise khud hi palkon se sajde tapak jaaenge naam-e-aaqa jahaan bhi liya jaaega zikr unka jahaan bhi kiya jaaega noor hi noor sinon mein bhar jaaega saari mehfil me\in jalwe lapak jaaenge aye madine ke zaair! KHuda ke liye daastaan-e-safar mujhko yun mat suna baat badh jaaegi dil tadap jaayega mere mohtaat aansu chhalak jaayenge unki chashm-e-karam ko hai iski khabar kis musaafir ko hai kitna shauk-e-safar ham ko iqbal jab bhi ijaazat mili h...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम
Mustafa Jaan-e-Rahmat Pe Laakhon Salaam Roman Urdu, Hindi & Urdu Lyrics Roman Urdu हिंदी اردو Roman Urdu mustafa jaan-e-rahmat pe laakhon salaam shaam-e-bazm-e-hidaayat pe laakhon salaam mehr-e-charkh-e-nubuwwat pe roshan durood ghule baagh-e-risaalat pe laakhon salaam shahr-e-yaar-e-iram taajdaar-e-haram nau bahaar-e-shafaa'at pe laakhon salaam shab-e-asraa ke dulha pe daa'im durood nosha-e-bazm-e-jannat pe laakhon salaam fath-e-baab-e-nubuwwat pe behad durood khatm-e-daura-e-risaalat pe laakhon salaam mujh se be-kas ki daulat pe laakhon durood mujh se be-bas ki quwwat pe laakhon salaam ham gareebon ke aaqa pe behad durood ham fakeeron ki sarwat pe laa...
Baghdad Hai Pyara Lyrics / बग़दाद है प्यारा
baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad mein har simt hai taiba ka nazaara baGdaad hai pyaara baghdaad hai pyaara kehte hein jise sab hai bahot khoob wahi hai har 'aashiq-e-sarkaar ka matloob wahi hai allah ke mahboob ka mahboob wahi hai ek baar jo dekh aaye wo jaata hai dobaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara rahmat ka khazeena hein wo baGdaad ki galiyaan tasweer-e-madina hein wo baGdaad ki galiyaan jannat ka nageena hein wo baGdaad ki galiyaan bahta hai sada rahmat-o-anwaar ka dhaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara chaadar wahaan rahti hai tani hasani-husaini har samt wahaan chhanw mili hasani husaini khushbu hai fazaaon mein basi hasani husaini baGdaad ka dulha hai, 'ali ka hai dulaara baGdaad hai pyaara baGdaad hai pyaara us dar ki mohabbat hai madine ki mohabbat us dar ki inaayat hai madine ki ina...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Meeran Waliyon ke Imam dedo panjatan ke naam Lyrics / मीराँ वलीयों के इमाम देदो पंजतन के नाम
meeraan walion ke imaam! dedo panjatan ke naam meeraan walion ke imaam! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se daalo nazr-e-karam sarkaar! apne mangaton par ek baar humne mehfil hai sajaaee badi dair se mere chaand mainn sadqe, aaja idhar bhi chamak utthe dil ki kali ghaus-e-aa'zam! meeraan waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tere rabb ne malik kiya tere zad ko tere dar se duniya pali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tera rutba aala na kyun ho ke maula! tu hai ibn-e-maula ali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam ! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se qadam gardan-e-auliya par hai tera tu hai rab ka aisa wali ghaus-e-aa'zam! meeran waliyon ke imaam! dedo panjatan ke naam humne joli hai failaee badi dair se tum jo banaao baat banegi, donon jahaan men laaj rahegi lajpaal karam ab k...
Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ
maula ya salli wa sallim daaeeman abadan sahar ka waqt tha maasum kaliyaa.n muskuraati thi.n hawaaei.n khair-makhdam ke taraane gungunaati thi.n abhi jibreel bhi utre na the kaa'be ke mimbar se ke itne me.n sadaa aayi hai abdullah ke ghar se mubaarak ho shah-e-har-do-saraa tashreef le aaye mubaarak ho muhammad mustafa tashreef le aaye maula ya salli wa sallim daaeeman abadan 'ala habibi-k khairil khalki kullimi muhammadun sayyidun kaw-nayni wa sakalayni wal-farikayni min arabiw-wa-min ajami na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha koi yusuf se puchhe mustafa ka husn kaisa tha zameeno.n aasmaa.n me.n koi bhi misaal na mili maula ya salli wa sallim daaeeman 'abadan ...
Chamak Tujhse Pate hain Sab Pane Wale Lyrics / चमक तुझसे पाते हैं सब पाने वाले / with Tazmeen
chamak tujhse paate hein sab paane waale chamak tujhse paate hein sab paane waale mera dil bhi chamkaa-de chamkaane waale ! barasta nahin dekh kar abr-e-rahmat badon par bhi barsa de, barsaa ne waale! madine ke khitte! KHuda tujh ko rakkhe gharibon faqeeron ke thaheraane waale! tu zinda hai walllah! tu zinda he walllah! mere chashm-e-'aalam se chhup jaane waale! main mujrim hun aaqa! mujhe saath le lo ke raste mein hein jaa-baja thaane waale tera khaae, tere ghulaamon se uljhe hai munkir ajab khaane-ghurraane waale rahe-ga yunhi unka charcha rahega pare khaak hojaayein jal-jaane waale ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi zara chain le mere gabraane waale haram ki zameen aur kadam rakhke chalna are! sar ka mauka hai oh jaane-waale raza nafs dushman hai, dum mein na aana kahaan tumne dekhe hein chandraane waale same lyrics with tazmeen: tumhi farsh se ...
Mohe Sapna ma Darshan dikhai gayo re Lyrics / मोहे सपना मां दर्शन दिखाई गयो रे
More Ghaus-ul-Wara Roman Hindi Urdu Roman Urdu gaus-e-aazam darmiyaan-e-auliya choon muhammad darmiyaan-e-ambiya mohe sapna maan darshan dikhai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara more sote maan bhaag jagaai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara chashma baghdaad ka jab laga aankh par dekha taiba nagar, dekha taiba nagar jaanib-e-makka jab bhi uthi hai nazar dekha taiba nagar, dekha taiba nagar mohe man maan madina basai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara mohe sapna maan darshan dikhai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara more sote maan bhaag jagaai gayo re more ghaus-ul-wara, more ghaus-ul-wara gham ka baadal tha aur main pareshan tha mujhko bakhsha sukoon, mujhko bakhsha sukoon tooti patwaar thi aur main hairaan tha ...
Mere Gyarwi wale Peer Ghaus-e-aazam Dastageer Lyrics / मेरे ग्यारवी वाले पीर, गौसे आज़म दस्तगीर
mere gyaarwi waale peer! ghaus-e-aa'zam dastageer mushkil pade to yaad karo dastageer ko baghdaad wale hazrate peerane peer ko ya ghaus al-madad, ya ghaus al-madad ya jilaani shayallillah, ya jilaani shayallillah KHuda ke fazl se hum par hai saaya gaus-e-aa'zam ka humein donon jahaan mein hai sahaara ghaus-e-aa'zam ka ya shaah-e-jeelan karam hai tera mere gyaarwi waale peer! ghaus-e-aa'zam dastageer tere dar ka main fakeer, ghaus-e-aa'zam dastagir tera rutba be-nazeer, ghaus-e-aa'zam dastagir meri chamka di taqdeer, ghaus-e-aa'zam dastagir humaari laaj kiske haath hai baghdaad wale ke musibat taal dena kaam kiska ghaus-e-aa'zam ka KHuda ke fazl se hum par hai saaya gaus-e-aa'zam ka humein donon jahaan mein hai sahaara ghaus-e-aa'zam ka muhammad ka rasoolon mein hai jaise martaba aala hai afzal auliya mein yunhi rutba ghaus-e-...







.png)

