Posts

Showing posts with the label naat lyrics

Dare Nabi Par Ye Umar Beetay Lyrics / दर-ए-नबी पर ये उम्र बीते / درِ نبی پر یہ عمر بیتے

dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Hafiz Ahmad Raza Qadri dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa madine waale kahei.n makaami, ho unke dar pe qayaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa bilaal tujh par nisaar jaau.n, ke khud nabi ne tujhe kharida naseeb ho to naseeb aisa, ghulaam ho to ghulaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa namaaz aqsa mei.n jab padaaee, to ambiya aur rusool ye bole namaaz ho to namaaz aisi, imaam ho to imaam aisa dar-e-nabi par ye umar beete, ho hampe lutf-e-dawaam aisa labo.n pe naam-e-nabi jab aaya, gurez-paa haadaso.n ko paaya jo Taal deta hai mushki...

Muhammad muhammad madina madina Lyrics / मुहम्मद मुहम्मद मदीना मदीना / محمد محمد مدینہ مدینہ

muhammad muhammad madina madina dikhade ilahi wo pyara madina ilahi bana de madina ye sina mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna muhammad muhammad madina madina chali jis taraf se nabi ki sawaari shajar ne hajar ne di jhuk kar salaami sabhi kar rahe hain nabi ki gulaami nabi ne sikhaya har ek shai ko jeena muhammad muhammad madina madina khade hain sawaali dare mustafa par wahan koi aala na koi tawangar chalo aao maange habeeb-e-khuda se ke haathon mein hai jiske sara khazeena muhammad muhammad madina madina bula lo madine mein aaqa bula lo gira ja raha hoon sambhaalo sambhaalo khataakar hoon mujhko aaqa nibhaalo laga do mera paar aaqa safeena muhammad muhammad madina madina kiya jab bhi karte the aaqa ibaadat to quraan karta tha unki tilaawat ye aisa khuda ki qasam mojza hai mila inke sadqe se bakhshish ka zeena muhammad muhammad madina madina ye aankhon ka rona ye dil ka tadapna tasawwur mein aaqa ke dar se lipatna dare mustafa par kahunga main j...

Mustafa ka khuda aur khud mustafa Lyrics / मुस्तफा का ख़ुदा और ख़ुद मुस्तफ़ा / مصطفیٰ کا خدا اور خود مصطفیٰ

mustafa ka khuda aur khud mustafa mustafa ka khuda aur khud mustafa kyun kahun mera koi sahara nahin mein madine lekin bahot door hun ye khalish mere dil ko gawara nahin mustafa ka khuda aur khud mustafa aapka ishq hai ishq-e-rabbul ula aapka zikr hai khaas zikr-e-khuda khud khuda ne ye quraan mein aelan kiya jo tumhara nahin wo hamara nahin isme ahmad ki ta'zeem ke munkiron iski azmat ko quraan se dekh lo be-laqab unka isme mubarak kahin unke ma'bood ne bhi pukara nahin thokaron ke siwa aur paayega kya jiski manzil ka koi na ho rehnuma apni manzil pe hargiz na pahunchega wo haath mein jiske daman tumhara nahin aql-e-jinno bashar ka yahan zikr kya sidra wale jahan dang o hairaan hain rif‘at-e-mustafa ki mile had kise ye wo dariya hai jiska kinara nahin wo hi roze pe bulwayenge ek din ae sikandar zara sabr se kaam le unke dar ka ga...

Tajdare Madina ke jalway Lyrics / ताजदारे मदीना के जलवे / تاجدارِ مدینہ کے جلوے

taajdaare madina ke jalwe Naat-Khwaan: Zulfiqar Ali Hussaini taajdaare madina ke jalwe jin ke dil mein samaaye hue hain door reh kar wo pur baa-aashna hain dil madina banaaye hue hain jinko unki tawajjoh ne paala unki rehmat ne jinko nawaaza un gadaaon ka kya poochhte ho wo zamaane pe chhaaye hue hain taajdaare madina ke jalwe jin ke dil mein samaaye hue hain mere aaqa ki jin par nazar hai donon aalam ki unko khabar hai jinka maqsood unka hi dar hai saare asraa wo paaye hue hain taajdaare madina ke jalwe jin ke dil mein samaaye hue hain aale at-har ka sadqa ata ho muflisi ka hamaari bhala ho aye sakhi aap ke dar pe hum bhi daamane dil bichhaaye hue hain taajdaare madina ke jalwe jin ke dil mein samaaye hue hain tees paaron mein jo kuchh likha hai sar ba sar seerat-e-mustafa hai unki seerat mein jo dhal gaya hai us ...

mangata be sahara hai sarkar nazar kardein / मंगता बे सहारा है सरकार नज़र कर दें / منگتا بے سہارا ہے سرکار نظر کر دیں

mangata be sahara hai sarkar nazar kardein Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri mangata be sahara hai sarkar nazar kardein khadim ye tumhara hai sarkar nazar kardein har roz naya dukh hai ab toot gaya hun main mushkil se guzara hai sarkar nazar kardein har ek sahabi ko tumne hi sawara hai mujhko bhi sawarna hai sarkar nazar kardein siddiq-o-umar tumhi sarkar se keh do naa jaisa bhi hai apna hai sarkar nazar kardein wo ummi rasulillah jo meer hai tayba ke naam unka waseela hai sarkar nazar kardein sarkar zamaane mein bas aap ki chalti hai jo chaho wo hota hai sarkar nazar kardein rote hain bilakte hain 'ushshaaq salaami ko kehte hain ke aana hai sarkar nazar kardein tahir ke labon par hai har saal bula lena kadmon hi mein marna hai sarkar nazar kardein मंगता बे सहारा है सरकार नज़र कर दें मंगता बे सहारा है सरकार नज़र कर दें ख़ादिम ये तुम्हारा है सरकार नज...

Soze dil chahiye Chashme nam chahiye / सोज़-ए-दिल चाहिए चश्म-ए-नम चाहिए / سوزِ دل چاہیے چشمِ نم چاہیے

soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye soz-e-dil chahiye chashm-e-nam chahiye aur shauq-e-talab mautabar chahiye ho muyassar madine ki galiyan agar aankh kaafi nahin hai nazar chahiye unki mehfil ke aadab kuchh aur hein lab kushaee ki jurrat munaasib nahin unki sarkar mein iltija ke liye jumbish-e-lab nahin chashm-e-tar chahiye main gada-e-dar-e-shah-e-kaunain hun sheesh mahalon ki mujhko tamanna nahin ho muyassar zameen par ke zer-e-zameen mujhko taiba mein ek apna ghar chahiye ronakein zindagi ki bahot dekh leen ab main aankhon ka apni karunga bhi kya ab na kuchh luftaana hai na kuchh deedani mujhko aaqa ki bas ek nazar chahiye सोज़-ए-दिल चाहिए चश्म-ए-नम चाहिए सोज़-ए-दिल चाहिए चश्म-ए-नम चाहिए और शौक़-ए-तलब मौअतबर चाहिए हो मयस्सर मदीने की गलियाँ अगर आँख काफ़ी नहीं है नज़र चाहिए उनकी महफ़िल के आदाब कुछ और हैं लब-कुश...

मैं सो जाऊँ या मुस्तफ़ा कहते कहते / میں سو جاؤں یا مصطفی کہتے کہتے / Main so jaun ya mustafa kehte kehte Lyrics

main so jaun ya mustafa kehte kehte main so jaun ya mustafa kehte kehte khule aankh salle ala kehte kehte habib-e-khuda ka nazaara karun main dilo jaan un par nisara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte mujhe apni rahmat se tu apna karle siwa tere sab se kinaara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte khudaara ab aao ke dam hai labon par dam-e-waapsi to nazaara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte mujhe haath aaye agar taaj-e-shaahi teri kafsh-e-paa par nisara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte tera zikr lab par khuda dil ke andar yunhi zindagani guzaara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte dam-e-waapsi tak tere geet gaaun muhammad mumajjid pukaara karun main main so jaun ya mustafa kehte kehte tere dar ke hote kahaan jaun pyaare kahaan apna daaman pasaara karun main main so jaun ya mu...

हम फ़क़ीरों को मदीने की गली अच्छी लगी / ہم فقیروں کو مدینے کی گلی اچھی لگی / Ham fakiron ko madine ki gali achhi lagi Lyrics

khusrawi achhi lagi na sarwari achhi lagi khusrawi achhi lagi na sarwari achhi lagi ham fakiron ko madine ki gali achhi lagi door the toh zindagi be rang thi be kaif thi unke kunche mein gaye to zindagi achhi lagi main na jaunga kahin bhi dar nabi ka chhod kar mujhko koo-e-mustafa ki chakari achhi lagi naaz kar tu ae haleema sarware konain par gar lagi achhi to teri jonpadi achhi lagi rakh diya sarkar ke kadmon pe sultanon ne sar sarware kauno makaan ki sadagi achhi lagi maher-o-maah ki roshni maana ke achhi hai magar sabz gumbad ki mujhe to roshni achhi lagi aaj mehfil mein niyaazi naat jo maine padi aashiqan-e-mustafa ko wo badi achhi lagi ख़ुसरवी अच्छी लगी न सरवरी अच्छी लगी ख़ुसरवी अच्छी लगी न सरवरी अच्छी लगी हम फ़क़ीरों को मदीने की गली अच्छी लगी दूर थे तो ज़िंदगी बेरंग थी बेकैफ़ थी उनके कुंचे में गए तो ज़िंदगी अच्छी लगी मैं न जाऊँगा कह...

Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Lyrics / दोनों आलम के सरकार आ जाइये / دونوں عالم کے سرکار آ جائیے

behr-e-deedaar mushtaaq hai har nazar aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye behr-e-deedaar mushtaaq hai har nazar donon aalam ke sarkaar aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye chaandani raat hai aur pichhla peher donon aalam ke sarkaar aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye saamne jalwagar paikare noor ho munkiron ka bhi sarkaar shak door ho karke tabdeel ek din libaase bashar donon aalam ke sarkaar aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye shaame ummeed ka ab sawera hua soo-e-tayba nigaahon ka dera hua bichh gayi raah mein farshe qalbo jigar donon aalam ke sarkaar aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye aaqa aa jaiye dil ko toota hua aabgheena liye shola-e-ishq ka toore seena liye kitne gayal khade hain saare r...

क्या ख़बर क्या सज़ा मुझको मिलती / کیا خبر کیا سزا مجھ کو ملتی / Kya khabar kya saza mujko milti Lyrics

kya khabar kya saza mujko milti kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde isyaan meri mujse le kar kaali kamli mein apni chhupali wo ata par ata karne wale aur ham bhi nahin talne wale jaisi dewdi hai waise bhikhari jaisa data hai waise sawali main gada hun magar kiske dar ka wo jo sultan-e-kauno makan hain ye gulaami badi mustanad hai mere sar par hai taaj-e-bilaali mein madine se kya aa gaya hun zindagi jaise bujh si gayi hai ghar ke andar faza suni suni ghar ke bahar sama khaali khaali meri umr-e-raavan bas thahar jaa ab safar ki zarurat nahi hai unke kadmon mein meri zameen hai aur haathon mein roze ki jaali main faqat naam lewa hun unka unki tauseef mein kya karunga main na iqbal khusru na sa'di main na kudsi jaami na haali kya khabar kya saza mujko milti mere aqa ne izzat bachali farde i...

kya Karun ke yaad aati hein sunehri jaliyaan Lyrics || क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां || کیا کروں کے یاد آتی ہیں سنہری جالیاں

kya karun ke yaad aati he.n sunehri jaliyaan kya karun ke yaad aati he.n sunehri jaliyaa.n dil me.n ek halchal machaati hai sunehri jaliyaa.n apni palko.n se unhe.n mai.n chumta hu.n der tak dil me.n jab bhi jagmagati hein sunehri jaliyaa.n phootne lagti hein phir ummid ki kirnein nayi khwaab aankho.n mein jagaati he.n sunehri jaliyaa.n zindagi bhar ki thakan ko door kar deti hai wo pyar se jab muskurati he.n sunehri jaliyaa.n puchhne wale ! mai.n lafzo.n mein bayaa.n kaise karu.n kya batau.n kya dikhati he.n sunehri jaliyaa.n jo yahaa.n pahuncha wo aaqa ki shafa'at pa gaya raah jannat ki dikhati he.n sunehri jaliyaa.n क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां क्या करूँ के याद आती हैं सुनहरी जालियां दिल में एक हलचल मचाती हैं सुनहरी जालियां अपनी पलकों से उन्हें मैं चूमता हूँ देर तक दिल मे...

मदीने का सफ़र है और मैं नमदीदा नमदीदा / مدینے کا سفر ہے اور میں نم دیدہ نم دیدہ / Madine ka safar hai aur mein Namdeeda Namdeeda Lyrics

madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda zabeen afsurda afsurda kadam lagzida lagzida chala hun ek mujrim ki tarha mein janib-e-tayba nazar sharminda sharminda badan larzida larzida kisi ke hath ne mujko sahara de diya warna kaha mein aur kaha ye raste pechida pechida kaha mein aur kaha us roza-e-akdas ka nazara nazar us simt uthti hai magar duzdida duzdida gulamane muhammad dur se pahechane jaate hain dil-e-girwida girwida sar-e-shorida shorida madine jaake hum samjhe taqaddus kisko kehte hain hawa pakiza pakiza faza sanjida sanjida basarat kho gayi lekin basirat to salamat hai madina humne dekha hai magar na deeda na deeda wohi iqbal jisko naaz tha kal khushmijazi par firāq-e-tayba mein rehta hai ab ranjeeda ranjeeda madine ka safar hai aur mein namdeeda namdeeda zabeen afsurda afsurda kadam lagzida lag...

Mere wirde lab hai nabi nabi Lyrics / मेरे विरदे लब है नबी नबी / میرے وردِ لب ہے نبی نبی

mere wird-e-lab hai nabi nabi mere wird-e-lab hai nabi nabi mera dil maqaam-e-habeeb hai main mariz-e-ishq-e-rasool hun wo habeeb mera tabeeb hai mera us gali se hai waasta jahaan sar jhukāte hain ambiya jahaan rahmaton ka nuzool hai wo jo arsh-e-haq ke qareeb hai main bada ameer-o-kabeer hun shahe do sara ka aseer hun dare mustafa ka fakeer hun mera rif'aton mein naseeb hai main gamon-e-alam mein hun mubtala koi kya karega meri dawa mera do jahan mein tere siwa shahā aur kaun tabeeb hai wo bhi khoob din the malaeeka mere saamne the jo sarnighon wo mera urooj-e-kamal tha ye zawāl kitna ajeeb hai मेरे विरदे लब है नबी नबी मेरे विरदे लब है नबी नबी मेरा दिल मक़ामे हबीब है मैं मरीज़-ए-इश्क-ए-रसूल हूँ वो हबीब मेरा तबीब है मेरा उस गली से है वास्ता जहाँ सर झुकाते हैं अंबिया ...

Zindagi Ek Kiraaye ka ghar hai Kawwali Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

zindagi ek kiraaye ka ghar hai ek na ek din badalna padega zindagi ek kiraaye ka ghar hai, ek na ek din badalna padega maut jab tujhko aawaaz degi, ghar se baahar nikalna padega ruth jaayengi jab tujhse khushiyaan, gam ke dhaanche pe dhalna padega waqt aisa bhi aayega nadaan, tujhko kaanton pe chalna padega itna maazur ho jaayega tu, itna majboor ho jaayega tu ye jo makhmal ka chola hai tera, ye kafan mein badalna padega kar le imaan se dil ki safai, chhod de chhod de tu buraai waqt baaki hai ab bhi sambhal ja, warna dozakh mein jalna padega aisi ho jaegi teri haalat, kaam aayegi daulat na taakat chhod kar apni unchi haweli, tujhko baahar nikalna padega jalwa-e-husn bhi jaa baja hai, aur khatra to bhi hai zyada zindagani ka ye raasta hai, har kadam par sambhalna padega baap bete ye bhai bhatije, tere saathi hain ye jeete jeete apne aangan se uthna padega, apni chokhat se talna padega hai bahot hi buri cheez duniya, kyun samajhta hai duniya ko apna baaz aa ja gunaahon se warna, um...

Koi mansoor koi ban ke gazali aaye Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

koi mansoor koi ban ke gazaali aaye koi mansoor koi ban ke gazaali aaye unke darbaar se ho kar jo sawaali aaye ho mere bas mein to dil mein bithalun unko chum kar jo mere sarkaar ki jaali aaye unki rehmat ko to ye baat gawaara hi nahin unki chokhat pe koi jaaye to khaali aaye unke altaaf-o-karam badh ke kharidenge unhein aaj bhi leke koi zauq-e-bilaali aaye unka jalwa to hai mojood yahaan bhi lekin koi lekar to nazar dekhne waali aaye

Bulalo Sarkar Tum Apne Dar Par Lyrics / बुलालो सरकार तुम अपने दर पर / بلالو سرکار تم اپنے در پر

bulaalo sarkar tum apne dar par bulaalo sarkar tum apne dar par durood aap par salaam aap par karam ho ham par bhi banda-parwar durood aap par salaam Aap par wo sabz gumbad , sunaheri jaali lauta na koi wahaa.n se khaali banaado mera bhi ab muqaddar durood aap par salaam aap par na paas hai zar , na par he.n mere chalaa bhi jaata nahi.n hai mujse fir kaise pahunchu.n tumhare dar par durood aap par salaam aap par aayega ek din wo din suhaana yaqeenan hoga madine jaana padenge roze par sar juka kar durood aap par salaam aap par ye aarazu hai madine jaye.n pakad ke jaali ye keh sunaae.n bachaalo ham ko baroz-e-mahshar Durood Aap par Salaam Aap par बुलालो सरकार तुम अपने दर पर बुलालो सरकार तुम अपने दर पर दुरूद आप पर सलाम आप पर करम हो हम पर भी बंदापरवर दुरूद आप पर सलाम आप पर वो सब्ज़ गुम्बद सुनहरी जाली लौटा न कोई वहां से खाली बना दो मेरा भी अब मुक़द्दर दुरूद आप पर सलाम आप पर ना पास है ज़र्र , ना पर हैं मेरे चला भी जाता नहीं है मुझस...

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Image
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salle-'alaa sayyadanaa v maulaanaa mohammadin v 'alaa aalihi v as.haabihi v baarik v sallim sabse uulaa v aa'laa hamara nabii sabse baalaa v vaalaa hamara nabii apne maulaa ka pyaaraa hamaaraa nabii dono.n 'aalam ka dulhaa hamaaraa nabii allaahumma salle-'alaa sayyadanaa v maulaanaa mohammadin v 'alaa aalihi v as.haabihi v baarik v sallim laakho.n aa.e yahaa.n aur laakho.n ga.e uu.nche uu.nche shahanshaah yahaa.n na rahe kitne diye jale jalke phir bujh ga.e kya khabar kitne taare khile chhup ga.e par na Doobe na Doobaa hamaaraa nabii allaahumma salle-'alaa sayyadanaa v maulaanaa mohammadin v 'alaa aalihi v as.haabihi v baarik v sallim jinke talvo.n ka dhovan hai aab-e-hayaat hai vo jaan-e-masiihaa hamara...

Faslon ko Takalluf hai ham se agar naat Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

faaslo.n ko takalluf hai ham se agar faaslo.n ko takalluf hai ham se agar ham bhi be-bas nahi.n be-sahaara nahi.n khud unhi.n ko pukaarenge ham door se raaste me.n agar paao thak jayenge ham madine me.n tanha nikal jaayenge aur galiyo.n me.n qasdan bhatak jaayenge ham wahaa.n jaake waapas nahi.n aayenge dhundhte dhundhte log thak jaayenge jaise hi sabz gumbad nazar aayega bandagi ka kareena badal jaayega sar juka ne ki fursat milegi kise khud hi palko.n se sajde tapak jaayenge naam-e-aaqa jahaa.n bhi liya jaayega zikr unka jahaa.n bhi kiya jaayega noor hi noor sino.n me.n bhar jaayega saari mehfil me.n jalwe lapak jaayenge aye madine ke zaa.ir ! KHuda ke liye daastaan-e-safar mujhko yu.n mat suna baat badh jaayegi dil tadap jaayega mere mohtaat aansu chhalak jaayenge unki chashm-e-karam ko hai iski khabar kis musaafir ko hai kitna shauk-e-safar ham ko iqbal jab bhi ijaazat mili ham bhi aaqa ke darbaar tak jaayenge फासलों को तकल्लुफ है हम से अगर फासलों को तकल...

Marhaba aaj chalenge shahe Abrar ke pas Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

marhaba aaj chale.nge shah-e-abraar ke paas marhaba aaj chale.nge shah-e-abraar ke paas insha.allah pahunch jaaenge sarkaar ke paas pesh karne ke liye kuchh nahi.n badkaar ke paas dhero.n isyaa.n hei.n gunahgaaro.n ke sardaar ke paas mil chuka izn, mubaarak ho madine ka safar kaafile waalo.n ! chalo dilbar-o-dildaar ke paas mai.n gunahgaar gunaaho.n ke siwa kya lata nekiyaa.n hoti hei.n sarkaar ! nekokaar ke paas aankh jab gumbad-e-khazra ka nazaara kar le dam nikal jaaye mera kaash ! dar-e-yaar ke paas dono.n 'aalam ki bhalaayi ka suwaali ban kar ek bhikaari hai khada aap ke darbaar ke paas shaah-e-waala ! ye madine ka bane deewaana ek bhikaari hai khada aap ke darbaar ke paas apna gham, chashm-e-nam aur riqqat-e-qalbi dijiye ek bhikaari hai khada aap ke darbaar ke paas hai madine mei.n shahaadat ka ye mangata maula ! ek bhikaari hai khada aap ke darbaar ke paas isko jannat mei.n jawaar apna 'ata ho daata ! ek bhikaari hai khada aap ke darbaar ke paas qabr mei.n yu.n hi naki...

Paigam saba lai hai Gulzar e Nabi se Full Lyrics / पैग़ाम सबा लाई है गुलज़ारे नबी से / پیغام صبا لائی ہے گلزارِ نبی سے

paighaam saba laayi hai gulzaar-e-nabi se Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri paighaam saba laayi hai gulzaar-e-nabi se aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se har aah gayi arsh pe, ye aah ki qismat har ashq pe ek khuld hai, har ashq ki qeemat tohfa ye mila hai mujhe sardaar-e-nabi se aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se shukr-e-khuda ke aaj ghadi us safar ki hai jis par nisaar jaan, falaah-o-zafar ki hai aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se garmi hai, tap hai, dard hai, kulfat safar ki hai na-shukri to dekh azmat kidhar ki hai lut'te hain, maare jaate hain, yunhi suna kiye har baar di woh aman ke ghairat hazar ki hai humko to apne saaye mein aaraam hi se laa heelon bahaane waalon ko ye raah-dar ki hai paighaam saba laayi hai gulzaar-e-nabi se aaya hai bulaawa mujhe darbaar-e-nabi se maahe madinah apni tajalli ata kare ye dhalt...

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics / क्या मुहम्मद का प्यारा नहीं हूँ / کیا محمد کا پیارا نہیں ہوں

Ya Husain Ibne Ali Lyrics / या हुसैन इब्ने अली / یا حسین ابن علی in English Hindi Urdu

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar Lyrics / मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर / مرحبا مرحبا، اے علی کے پسر

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics / शाह सवार-ए-कर्बला की शाह सवारी को सलाम / شاہ سوارِ کربلا کی شاہ سواری کو سلام

अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन / اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلا سَیَّدْنا و مَولانا مُحَمّدٍ / Allah humma Sallay Ala Sayyidina Maulana Muhammadin

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics / उस हुसैन इब्न-ए-हैदर पे लाखों सलाम / اس حسین ابنِ حیدر پہ لاکھوں سلام

Al Madad Peerane Peer Gause Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / ہم نے آنکھوں سے دیکھا نہیں ہے مگر

husain zindabaad zindabaad rahega || हुसैन ज़िंदाबाद ज़िंदाबाद रहेगा || حسین زندہ باد زندہ باد رہیگا || Lyrics