Posts
Showing posts with the label gam e madina
- Get link
- X
- Other Apps
dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai Naat-Khwaans: Shahbaz Kamar Afridi dar-e-aqdas pe haal-e-dil sunaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai madine me.n jo guzra wo zamaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai adab se baith kar us gumbad-e-khazra ke saaye me.n nabi ki yaad me.n aansu bahaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai rasoolallah ke darbaar me.n unki mahobbat me.n ye tera roz-o-shab ka aana-jaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai uwes karni bole maa ijaazat dijiye mujhko judaaee me.n tadapta hu.n, madina yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai mazaar-e-faatema pe karbala walo.n ki yaad aaee madine waale aaqa ka gharaana yaad aata hai madina yaad aata hai, madina yaad aata hai nabi ke zikr ki mahfil me.n aate hi mujhe m...
- Get link
- X
- Other Apps
wo din aayega ek baar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga karne roze ka deedar main madine jaunga shahe madina rehmate alam nabiyon ke sardar dekhen kab dikhlayen apna noorani darbar main to hun kabse tayyar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga mujko yakeen hai karam karenge aamena bi ke laal unko to malum hai lillah mere dil ka haal kehte hein ye dil ke taar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga dekha nahin unka dare akdas kya hoga anjaam mere dil ki dhadkan mujko deti hai paygam marne se pahele ek baar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga dekh ke muj aaseen ko unko aa jayega pyar noorani chadar mein chhupa lenge is dam sarkar lekar jab ashkon ke haar main madine jaunga wo din aayega ek baar main madine jaunga kya gham hai ke jakde hue hai doori ki zanjeer ...
- Get link
- X
- Other Apps
faaslon ko takalluf hai ham se agar faaslon ko takalluf hai ham se agar ham bhi be-bas nahin be-sahaara nahin khud unhi.n ko pukaarenge ham door se raaste mein agar paaon thak jayenge ham madine mein tanha nikal jaaeinge aur galiyon mein qasdan bhatak jaaeinge ham wahaan jaake waapas nahin aaenge dhundhte dhundhte log thak jaaenge jaise hi sabz gumbad nazar aayega bandagi ka kareena badal jaayega sar juka ne ki fursat milegi kise khud hi palkon se sajde tapak jaaenge naam-e-aaqa jahaan bhi liya jaaega zikr unka jahaan bhi kiya jaaega noor hi noor sinon mein bhar jaaega saari mehfil me\in jalwe lapak jaaenge aye madine ke zaair! KHuda ke liye daastaan-e-safar mujhko yun mat suna baat badh jaaegi dil tadap jaayega mere mohtaat aansu chhalak jaayenge unki chashm-e-karam ko hai iski khabar kis musaafir ko hai kitna shauk-e-safar ham ko iqbal jab bhi ijaazat mili h...
- Get link
- X
- Other Apps
jab ishk ne rulaya sarkar ne bulaya jab ishk ne rulaya sarkar ne bulaya chamka mera mukaddar, main madina dekh aaya wahan har taraf the saeel khairat bant rahi thi tha noor ka samandar, rahmat baras rahi thi kya kya koi bataye, kya kya nazare hi the kabhi jaliyon ko chuma, kabhi hichkiyon se roye sarkar ne bula kar, kya kya ata kiya hai be-noor mere dil ko, purnoor kar diya hai jise chahe wo bana de, jise chahe wo bulaye ho gada jo unke dar ka, sultan wo bana de basta rahe hamesha, madani ka aasatana palta hai jiske dam se, akhtar zamana sara chehre nahin badalte, us naam ka hai sadka dare aamena pe aaye, aamena ke pyare jab ishk ne rulaya sarkar ne bulaya chamka mera mukaddar, main madina dekh aaya जब इश्क़ ने रुलाया, सरकार ने बुलाया जब इश्क़ ने रुलाया, सरकार ने बुलाया चमका मेरा मुक़द्दर, मैं मदीना देख आया वहाँ हर तरफ़ थे साइल, ख़ै...
- Get link
- X
- Other Apps
ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar - English Naat-Khwaan: Owais Raza Qadri ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar jaan-o-dil tum par fidaa, aye do jahaa.n ke taajdaar ! ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar mai.n akela aur masaaeel zindagi ke be-shumaar aap hi kuchh kijiye na aye shahe aali waQaar ! ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar yaad aata hai tawaaf-e-KHaana-e-Ka'ba mujhe aur lipatna multazam se waalehana baar-baar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar sang-e-aswad chum kar milta mujhe kayf-o-suroor chain paata dekh kar dil mustajaab -o- mustajaar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar ya KHuda ! dikhla hateem-e-paak meezab-o-makaam aur safa marwaah mujhe baher-e-rasool-e-zee-waqaar ho karam sarkar ! ab to ho gae Gam be-shumaar ja raha hai Kafila taybaah nagar rota hua mai.n raha jaata hu.n tanha aye habeeb-e-kirdagaar ! ho karam sarkar ! ab to...
- Get link
- X
- Other Apps
sarkar bulayenge hamein sarkar bulayenge Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri sarkar bulayenge sarkar bulayenge bigdi bhi banayenge jalwe bhi dikhayenge gabrao na deewanon sarkar bulayenge hamein sarkar bulayenge ham masjid-e-nabwi ke dekhenge minaron ko aur gumbad-e-khazra ke pur-noor nazaron ko ham jaake madine fir wapas nahin aayenge gabrao na deewanon sarkar bulayenge hamein sarkar bulayenge mil jaayengi ta'beerein ek roz to khwabon ki gir jaayengi deewarein sab dekhna raahon ki ham roza-e-akdas par jab aansu bahayenge gabrao na deewanon sarkar bulayenge hamein sarkar bulayenge dil ishq-e-nabi mein to kuchh aur tadapne do is deed ki aatish ko kuchh aur bhadakne do ham tishnagi jaa kar zamzam se bujayenge gabrao na deewanon sarkar bulayenge hamein sarkar bulayenge lillah muhammad se rudaad meri kehna ye puchh ke aaqa se ae zaeiro tum aana ishrat ko mad...
- Get link
- X
- Other Apps
na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai na chhedo zikr-e-jannat ab madina yaad aaya hai nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai mila karti hain munh maangi muraadein unke roze par gulaamon ne tere dar se jo maanga hai wo paaya hai khuda ki saltanat ke ho tum dulha ya rasulallah tumhaare waaste rab ne ye sab aalam sajaaya hai shab-e-asra mubarak baad thi ye hoor-o-gilma mein muhammad ko khuda-e-paak ne dulha banaaya hai namazon mein, azaan mein, kalma mein aur arsh par har jaa khuda ne naam tera naam se apne milaaya hai zameen ko cheerte daudhe hue aaye hain khidmat mein darakhton ne ishaara aapka jis waqt paaya hai ijaabat ne liya bosa tumhaare pyaare hothon ka dua ke waaste jis waqt tum ne lab hilaaya hai tumhaari zaat par kyun kar bharosa ho na aalam ko gunahgaaron ko tumne naare dozakh se bachaaya hai koi pursaan-e-haal apna nahin hai y...
- Get link
- X
- Other Apps
phir karam ho gaya, main madine chala main madine chala main madine chala main madine chala main madine chala sakiya may pila main madine chala mast-o-bekhud bana main madine chala mere aaqa ka dar hoga pesh-e-nazar chahie aur kya main madine chala jo hai mehboob-e-rab apni unse hi sab bakhshwaane khata main madine chala roohe muztar thehar tu nikal na udhar itni jaldi hai kya main madine chala mere aqa ka dar hoga peshe nazar chahie aur kya main madine chala sabz gumbad ka noor zang kar dega dur paaega dil jila main madine chala vo uhud ki zami hai jaha par maki mere hamza piya main madine chala sunle ae nazdiya tu jooda main jooda tu jahannam main chala main madine chala kya karega idhar bandh rakhte safar chal ubaid-e-raza main madine chala ...
Related Lyrics
Quran Shareef
Popular Naat Lyrics
Al Madad Peeran-e-Peer Gaus-e-Aazam Dastageer Lyrics / अल-मदद पीरान-ए-पीर, या गौस-ए-आ'ज़म दस्तगीर
al-madad peeraan-e-peer, gaus-e-aa'zam dastageer! al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! rutba ye wilaayat mein, kya ghaus ne paaya hai allah ne waliyon ka sultaan banaaya hai hai dast-e-'ali sar par, hasnain ka saaya hai mere ghaus ne thokar mein murdon ko jilaaya hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! laakhon ne usi dar se taqdeer banaayi hai bagdaad sanwariya ki har baat niraali hai doobi hui kashti bhi dariya se nikaali hai ye naam adab se lo ye naam jhalaali hai al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! har fikr se tum ho kar aazaad chale jaao le kar ke labon par tum fariyaad chale jaao milna hai agar tumko waliyon ke shahenshaah se khwaaja se ijaazat lo baghdaad chale jaao al-madad peeraan-e-peer, ghaus-e-aa'zam dastageer! ya ghaus! karam kardo ya ghaus! karam kardo ye deen ki daulat se daaman sab ka bhar do bas itni guzaarish hai bas ek nazar kar do baghdaad k...
Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना / فضلِ ربِّ پاک سے بیٹا میرا دولہا بنا
Here is Full Lyrics of Madani Sehra "Fazl-e-Rabb-e-Paak se Beta mera Dulha bana" in English, Hindi and Urdu written by Maulana Ilyas Attar Qadri, naat khwan Hafiz Tahir Qadri fazl-e-rabb-e-paak se, beta mera dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana dulha bana fazl-e-rabb-e-paak se , beta mera dulha bana khushnuma khushrang phoolo.n ka hai sar sehraa sajaa dulha bana dulha bana inko khushiyaa.n do Jahaa.n me.n tu ataa kar kibriyaa ! inpe ranj-o-gham ki na chhaye kabhi kaali ghata dulha bana dulha bana tu sadaa rakhna salaamat inka jhoda ya KHuda ! koi bhi jagda na ho , aapas me.n , aye rabb-ul-ula ! dulha bana dulha bana meethe meethe ho.n madine ke inhe.n munne 'ataa meethi meethi ho.n madine ki inhein munniyaan 'ataa waasta ya rabb ! madine ki mubaarak khaak ka dulha bana dulha bana is tarha mehka kare ye gh...
Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन
Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim sabse ulaa wa aala hamara nabi sabse bala wa wala hamara nabi apne maula ka pyara hamara nabi donon aalam ka dulha hamara nabi allaahumma salli-'ala sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim laakhon aae yahaan aur laakhon gae unche unche shahenshah yahaan na rahe kitne diye jale jalke phir bujh gae kya khabar kitne taare khile chhup gae par na doobe na dooba hamara nabi allaahumma salli-'alaa sayyidina wa maulana mohammadin wa 'ala aalihi wa as'habihi wa baarik wa sallim jinke talwon ka dhowan hai aab-e-hayaat hai wo jaan-e-masiha hamara nabi khalq se auliya, auliya se rusool aur rasuulon se aala hamara nabi kaun deta hai dene ko munh chahiye dene wala hai sachcha hama...
Kya bataun ki kya Madina hai Lyrics / क्या बताऊँ की क्या मदीना है
kya bataun ki kya madina hai kya bataun ki kya madina hai bas mera mudda'aa madina hai uth ke jaaun kahan madine se kya koi dusra madina hai kya bataun ki kya madina hai uski aankhon ka noor to dekho jiska dekha hua madina hai kya bataun ki kya madina hai dil mein ab koi aarzu hi nahin ya muhammad hai ya madina hai kya bataun ki kya madina hai duniya wale to dard dete hein zakhmi dil ki dawa madina hai kya bataun ki kya madina hai mere aaqa! mujhe bula lijiye mujhko bhi dekhna madina hai kya bataun ki kya madina hai dil fida hai madine wale pa...
Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام
shaah-e-do 'aalam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam karo duur har Gam salaam assalaam har aankh hoke pur-nam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam a Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam rabb ne baDe pyaar se me'raaj me.n kahaa rahne do naa'lain ko aa jaao mustafaa qadam-e-mustafaa ka liyaa arsh ne bosaa jhuum uthe saare malaa.ik o marhabaa maa.nge jo nabii rab ne vo diyaa rab ne jo diya, nabii ne vo liyaa jhuuka 'arsh-e-aa'zam salaam assalaam shaah-e-do 'aalam salaam assalaam Gariibo.n ke hamdam salaam assalaam aapne jo kar diyaa u.nglii ka ishaaraa chaand do tukDe hua qurbaan ho gayaa jab namaaz-e-'asr 'ali ki hui qazaa aapne suraj ko dubaaraa palat diyaa aap jo kiye, mo'jize bane aap ...
Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा
koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera koi duniya-e-'ata mei.n nahi.n hamta tera ho jo haatim ko muyassar ye nazaara tera keh uthe dekh ke bakhshish mei.n ye rutba tera waah! kya jood-o-karam hai shah-e-bat.ha tera nahi.n sunta hi nahi.n maangne waala tera kuchh bashar hone ke naate tujhe khud-sa jaanei.n aur kuchh mahez payaami hi KHuda ka jaanei.n inki auqaat hi kya hai ke ye itna jaanei.n farsh waale teri shoqat ka 'uloo kya jaane KHush-rawaa.n 'arsh pe udta hai pharera tera mujhse naa-chiz pe hai teri 'inaayat kitni tune har gaam pe ki meri himaayat kitni kya bataau.n teri rahmat mei.n hai wus'at kitni ek mai.n kya meri 'isyaa.n ki haqiqat kitni mujhse so-laakh ko kaafi hai ishaara tera kaee pushto.n se ghulaami ka ye rishata hai bahaal yahi.n tiflee -o-jawaani ke guzaare mah-o-saal ab budhaape mei.n KHudaara ! na hamei.n dar se nikaal tere tukdo.n pe pale ghair ki thok...
Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है
wo mera nabi mera nabi mera nabi hai Naat-Khwaan: Zohaib Ashrafi Laiba Fatima wo jiske liye mahfil-e-kaunain saji hai firdaus-e-bari jiske wasile se bani hai wo haashmii makki madani ul 'arabii hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai ahmad hai mohammad hai wah KHatm-e-rasuul hai maKHduum o murabbii hai wahi vaalii-e-kul hai us par hi nazar saare zamane ki lagi hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai wash-shams o wad-duHa chehra-e-anwar ki jalak hai wal-layl saza gesuu-e-hazrat ki latak hai 'aalam ko ziya uske wasile se mili hai wo mera nabi mera nabi mera nabi hai allah ka farman "alam-nashrah la-ka sadrak" mansuub hai "wa-raf'aana la-ka zikrak" jis zaat ka quraan me.n bhi zikr-e-jalii hai wo mera nab...
Apne Malik ka Main Naam lekar Lyrics / अपने मालिक का में नाम लेकर
apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun ya KHuda ! aabru rakh meri tu, teri hamd-o-sana kar raha hun tu jo chahe to ban jaye qismat, mere sajdo.n ki kya hai haqiqat teri chokhat pe sar ko jhuka kar, farz apna ada kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun maine duniya ka dekha nazaara, al-madad keh ke maine pukaara mujhko apni panaho.n mein rakhna, bas yahi iltija kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun aaj mahfil mein baithe hein jitne, sab ke dil ki tamanna ho puri sab ko haji bana de tu maula! main tadap kar dua kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha hun apne mahboob ka dar dikha de, mera soya muqaddar jaga de lutf-e-duniya ko le aaj se mein, apne dil se jhuda kar raha hun apne maalik ka main naam lekar, bazm ki ibtida kar raha ...
Sarkar ka nokar hun koi aam nahi hoon Lyrics / सरकार का नौकर हूँ कोई आम नहीं हूँ
sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n Naat-Khwaan: Hafiz Tahir Qadri itna kaafi hai zindagi ke liye rakh le.n sarkar jo naukari ke liye sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke kisi shobe mein nakaam nahi hu.n sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n mere nijaat ka yahi raasta dikhai de allah mujko makka madina dikhai de roza-e-mustafa hai jaha.n par aye momino.n aashiq wahi.n pe jeeta aur marta dikhai de sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n duniya ke hukmarano.n se darta nahi.n kabhi dollar se ya riyal se bikta nahi.n kabhi jis zehn me.n samaya hai faqat dast-e-karbala momin wo sar kataata hai jukta nahi.n kabhi sarkar ka naukar hu.n koi aam nahi hu.n aaqa ka faisala wahi qudrat ka faisala mehshar mein hoga unki shafa'at ka fai...
Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ
labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik ya rasool-allah ! labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! kariya-kariya, basti-basti, zikr nabi ka aam karo pyaare aaqa ke diwaano.n ! haath mei.n daale haath chalo hubb-e-nabi ka har dil mei.n, tum jaa ke deep jalaao unche mei.n uncha nabi ka janda, ghar-ghar mei.n lehraao khud ko mita denge, hum jaan luta denge naamus-e-aaqa par, hum sar kataa denge labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! haazir hei.n, haazir hei.n, haazir hei.n hum labbaik labbaik labbaik ya rasool-allah ! ibn-e-'ali ne karbo-bala mei.n tum ko ye paighaam diya yaad rakkho, pyaare aaqa ne tum ko paak nizaam diya tod do baahu ...







.png)

