Roman(ENG): Khula hai sabhi ke liye Baabe Rahemat Wahaan koi Rutbe mein adnaa na aali Muraadon se Daaman Nahin koi khaali Kataarein lagaaye khade hein sawaali Mein Pahele Pahel jab Madine gayaa tha Toh thi Dil ki haalat tadap jaane waali Woh Darbar sach much Mere samne tha Abhi tak tasawwur tha jis ka khayaali Jo Ek Haath se Dil sambhaale hue tha To thi Dusre Haath mein Unki jaali Dua ke liye Haath uthte to kaise Na ye Haath khali na wo Haath khali Jo puchha hai Tumne ke Mein nazar karne Ko kya le gaya tha to tafseel sun lo Tha Naaton ka Ek haar ashkon ke moti Duroodon ka gajra, Salaamon ki daali Dhani Apni qismat ka hai to wohi hai Dayaare Nabi jisne aankhon se dekha Mukaddar hai saccha mukaddar Usi ka Nigaahe Karam jispe Aaqa ne daali Mein Us aastaane Haram ka gada hun Jahaan sar jukaate hein shaahane Aalam Muje Taajdaron se kam mat samajna Mera sar hai shaayaane Taaje Bilaali Mein Toseefe Sarkaar to kar raha hun Magar Apni Auqaat se baa-khabar hun Mein Si...