faaslon ko takalluf hai ham se agar faaslon ko takalluf hai ham se agar ham bhi be-bas nahin be-sahaara nahin khud unhi.n ko pukaarenge ham door se raaste mein agar paaon thak jayenge ham madine mein tanha nikal jaaeinge aur galiyon mein qasdan bhatak jaaeinge ham wahaan jaake waapas nahin aaenge dhundhte dhundhte log thak jaaenge jaise hi sabz gumbad nazar aayega bandagi ka kareena badal jaayega sar juka ne ki fursat milegi kise khud hi palkon se sajde tapak jaaenge naam-e-aaqa jahaan bhi liya jaaega zikr unka jahaan bhi kiya jaaega noor hi noor sinon mein bhar jaaega saari mehfil me\in jalwe lapak jaaenge aye madine ke zaair! KHuda ke liye daastaan-e-safar mujhko yun mat suna baat badh jaaegi dil tadap jaayega mere mohtaat aansu chhalak jaayenge unki chashm-e-karam ko hai iski khabar kis musaafir ko hai kitna shauk-e-safar ham ko iqbal jab bhi ijaazat mili h...