sar-ta-baqadam hai tan-e-sultan-e-zamab phool - English sar-ta-baqadam hai tan-e-sultan-e-zamab phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool tinka bhi hamare to hilaae nahin hilta tum chaho to ho jaae abhi koh-e-mahan phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool wallah! jo mil jaae mere gul ka paseen mange na kabhi itr, na phir chahe dulhan phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool kya ghaza mala gard-e-madina ka jo hai aaj nikhre hue joban mein qayamat ki phaban phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool dil apna bhi shaidaaee hai us nakhoon-e-paa ka itna bhi mah-e-nau pe na aye charkh-e-kuhan phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool dandaan-o-lab-o-zulf-o-rukh-e-shah ke fidaaee hein durr-e-adan, la'al-e-yaman, mushk-e-khutan phool lab phool, dahan phool, zaqan phool, badan phool hun baar-e-gunaah se na khajil dosh-e-azeezaan lillah! meri na'sh kar aye jaan-e-chaman phool lab p...