Saare Nabiyon ke Ohade bade hein Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai Lyrics


Ambiyaa Aur Rasool kitne aaye
Sabke Rutbe Khuda ne badaae
Pyaare Aaqa ka Rutba juda hai
Haan Wohi Khaatamul Ambiyaa hai

Saare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Wo Imaame Safe Ambiyaa hai
Unka rutba badon se badaa hai

Koi Lafzon mein Kaise bataade
Unke Rutbe ki Had hai to kyaa hai
Hamne Apne badon se suna hai
Sirf Allah Unse badaa hai

Khatamul Ambiyaa Mustafa Mustafa

Naam Jannat ka Tumne sunaa hai
Meine Uska Nazaara kiya hai
Mein yahaan se Tumhe kya bataadun
Unki Nagri ki Galiyon mein kya hai

Mustaqeel Unki chokhat ataa ho
Mere Mahboob Ye Iltijaa hai
Koi puchhe to Ye keh sakun Mein
Baabe Jibreel Mera pataa hai

Khatamul Ambiyaa Mustafa Mustafa

Wo Jo Ek Shehare Noorul Hudaa hai
Jalwaagahon ka Ek Silsilaa hai
Jiski Har Subha Shamsudduha hai
Jiski Har Shaam Badrudduja hai

Saare Nabiyon ke Ohade bade hein
Lekin Aaqa ka Mansab judaa hai
Wo Imaame Safe Ambiyaa hai
Unka rutba badon se badaa hai

Comments

Facebook Page

Followers

Popular Naat Lyrics

Wo jiske liye Mehfile Konain saji hai Lyrics || Roman(Eng) and Hindi(हिंदी)

Shahe Do Aalam Salaam Assalaam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Allahumma Salle Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || Roman (Eng) & हिंदी (Hindi)