Qasida-e-Meraaj Lyrics || Hafiz Tahir Qadri
Sare La-Makaan se talab hue
Su-e-Muntaha Wo chale Nabi
Koi had hai Unke Ururz ki
Balagal Ulabi Kamalihi
Hai saf aarah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajaate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehmaan Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Salle Ala Mere Aaqa
Hai Aaj Falak Roshan Roshan
Hein Taare bhi jagmag jagmag
Mehboob Khuda ke aate hein
Mehboob Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Wo Sarware Kishware Risaalat
Jo Arsh par Jalwaaghar huye the
Naye Niraale Tarab ke Samaan
Arab ke Mehmaan ke liye the
Wahaan falak par yahaan zameen mein
Rachi thi shaadi machi thi dhoomein
Udhar se Anwaar hanste aate
Idhar se Nafhaat uth rahe the
Utaar kar Unke Rukh ka sadqaa
Wo Noor ka bant raha tha bedaah
Ke Chaand Suraj machal machal kar
Jabee ki khairat maangate the
Wahi to ab tak chhalak raha hai
Wahi to Joban tapak raha hai
Nahane mein jo gira tha pani
Katore Taaron ne bhar liye the
Bacha Jo Talwon ka Unke Dhowan
Bana Wo Jannat ka Rango Rogan
Jinhone Dulha ki payi Utran
Wo Fool Gulzare Noor ke the
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Qurban hai Shano Azmat par
Soye hein chain se bistar par
Jibrile Ameen hazir hokar
Me'raj ka Muzda sunate hein
Jibril Buraq saja kar ke
Firdose Bari se le aaye
Barat Firishton ki aayi
Me'raj ko Dulha jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Gubar ban kar nisar jaaun
Kahan ab Us rah-guzar ko paoon
Hamare Dil Hooriyon ki Aankhein
Firishton ke par jahan lage the
Bahar hai Shadiyon Mubarak
Chaman ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni leh mein
Ye Ghar-ana Dil ka bolte the
Khushi ke Badal Umat ke aaye
Dilon ke Taoos rang laye
Wo Nagma-e-Naat ka sama tha
Haram ko khud Wajd aa rahe the
Tabarakallah hai Shan Teri
Tuji ko Zaiba hai be-Niyazi
Kahin to Wo Joshe Lan-Tarani
Kahin Takaze Wisal ke the
Badh Aye Muhammad Karin ho Ahmed
Qarib aa Sarware Mumajjad
Nisar Jaun Ye Kya Nida thi
Ye Kya Sama tha Ye Kya Maze the
Hijab Uthne mein lakhon parde
Har Ek Parde mein Lakhon Jalwe
Ajab gadi thi ke Wasle Furkat
Janam ke bichhde gale mile the
Wahi hai Awwal Wahi hai Aakhir
Wahi hai Batin Wahi hai Zahir
Usi ke Jalwe Usi se Milne
Usi se Uski taraf gaye the
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Aqsa mein Sawari jab pahunchi
Jibreel ne badh ke kahi Takbeer
Nabiyon ki Imamat ab badh kar
Sultane Jahan farmate hein
Wo Kaisa hasin manzar hoga
Jab Dulha bana Sarwar hoga
Usshaq Tasawwur kar kar ke
Bas rote hi reh jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Namaze Aqsa mein tha yahi sirr
Ayan ho mana-e-Awwal Aakhir
Ke Dast basta hein pichhe hazir
Jo Saltanat aage kar gaye the
Nabi-e-Rehmat Shafi-e-Ummat
Raza pe Lillah ho Inayat
Ise bhi In Khil'aton se hissa
Jo khas Rehmat ke waan bate the
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Salle Ala Mere Aaqa
Allah ki Rehmat se Dilbar
Jaa Pahunche Dana ki manzil par
Allah ka Jalwa bhi dekha
Deedar ki lazzat paate hein
Me'raj ki Shab to yaad rakkha
Fir Hashr mein kaise bhulenge
Attar Isi ummid pe Ham
Din Apne guzare jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Qurban hai Shano Azmat par
Soye hein chain se bistar par
Jibrile Ameen hazir hokar
Me'raj ka Muzda sunate hein
Jibril Buraq saja kar ke
Firdose Bari se le aaye
Barat Firishton ki aayi
Me'raj ko Dulha jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Gubar ban kar nisar jaaun
Kahan ab Us rah-guzar ko paoon
Hamare Dil Hooriyon ki Aankhein
Firishton ke par jahan lage the
Bahar hai Shadiyon Mubarak
Chaman ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni leh mein
Ye Ghar-ana Dil ka bolte the
Khushi ke Badal Umat ke aaye
Dilon ke Taoos rang laye
Wo Nagma-e-Naat ka sama tha
Haram ko khud Wajd aa rahe the
Tabarakallah hai Shan Teri
Tuji ko Zaiba hai be-Niyazi
Kahin to Wo Joshe Lan-Tarani
Kahin Takaze Wisal ke the
Badh Aye Muhammad Karin ho Ahmed
Qarib aa Sarware Mumajjad
Nisar Jaun Ye Kya Nida thi
Ye Kya Sama tha Ye Kya Maze the
Hijab Uthne mein lakhon parde
Har Ek Parde mein Lakhon Jalwe
Ajab gadi thi ke Wasle Furkat
Janam ke bichhde gale mile the
Wahi hai Awwal Wahi hai Aakhir
Wahi hai Batin Wahi hai Zahir
Usi ke Jalwe Usi se Milne
Usi se Uski taraf gaye the
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Aqsa mein Sawari jab pahunchi
Jibreel ne badh ke kahi Takbeer
Nabiyon ki Imamat ab badh kar
Sultane Jahan farmate hein
Wo Kaisa hasin manzar hoga
Jab Dulha bana Sarwar hoga
Usshaq Tasawwur kar kar ke
Bas rote hi reh jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Namaze Aqsa mein tha yahi sirr
Ayan ho mana-e-Awwal Aakhir
Ke Dast basta hein pichhe hazir
Jo Saltanat aage kar gaye the
Nabi-e-Rehmat Shafi-e-Ummat
Raza pe Lillah ho Inayat
Ise bhi In Khil'aton se hissa
Jo khas Rehmat ke waan bate the
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Ya Mustafa Ya Mujtaba
Salle Ala Mere Aaqa
Allah ki Rehmat se Dilbar
Jaa Pahunche Dana ki manzil par
Allah ka Jalwa bhi dekha
Deedar ki lazzat paate hein
Me'raj ki Shab to yaad rakkha
Fir Hashr mein kaise bhulenge
Attar Isi ummid pe Ham
Din Apne guzare jate hein
Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha
Jazak Allah
ReplyDeleteBehtereen..MashaALLAH
ReplyDeleteماشاء الّٰلہ آج تک مینیے ایسی نعت شریف نہیں سنی تھی اور جب مینے سنی تو اس نعت شریف کو فرنٍ Studio میں Record کیا الحمد اللہ باکمال ہے
ReplyDeleteMashaallah tahir bhai..😄
ReplyDeleteMasha Allah behad umdaa.
ReplyDeleteMasha Allah bht pyara qaseeda meraaj parha Hai subhan Allah
ReplyDeleteMashaAllah Subhanallah
ReplyDeleteMasha Allah...but hi behtareen lines hai ...or jis ne bhi itna waqt nikaal kar post kiya unko bht bht shukriya..Allah aap ko hamesha khushh or salamat rakhe
ReplyDeleteNo one can beat this lines, such as superb an extra ordinary in love of Propeht ﷺ ❤️❤️ & IMAM Ishque o Muhabbat Mujaddid Deen 'O millat Shah IMAM AHMAD RAZA KHAN RadhiALLAH Tala Anh written this Kalam but here some changes lines. But no one can beat it (overtake)
ReplyDeleteسبحان اللہ الحمدللہ ماشاءاللہ بہت خوبصورت انداز میں قصیدہ شریف پیش کیا گیا ہے
ReplyDeleteMasha'allah 🌹🌹 jazak'allah for the lyrics 😊
ReplyDelete