Roman(Eng) : zaaeer-e-taiba roze pe jaa kar , tu salaam unse ro-ro ke kehna mere gham ka fasaana suna kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna teri qismat pe rashk aa raha hai, tu madine ko tu jaa raha hai aah ! jaata hai mujhko rula kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab pahunch jaaye tera safeena, jab nazar aaye meetha madina ba-adab apne sar ko juka kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab ke aaye nazar pyaara makka, chum lena nazar se tu kaa'ba ho sake gar to har jaa pe jaa kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna tu 'arab ki hasee.n waadiyo.n ko, regzaaro.n ko aabadiyo.n ko meri jaaneeb se palke.n bichha kar, tu salaam unse ro-ro ke kehna jab ke pesh-e-nazar jaaliyaa.n ho.n, teri aankho.n se aansu rawaa.n ho.n mere gham ki kahaani suna kar, Tu Salam Unse ro ro ke kehna aamena ke dulaare ko pahele, ba'ad shaikhain ko bhi tu keh le fir baqee-e-mubaarak pe jaakar, tu salaam unse ro-ro ke kehna maangana mat tu duniya ki daulat, maangana unse bas unki ulfat Khub deewaane dil ko laga...