Zahe Izzato Ahetila-e-Muhammad
Zahe Izzato Ahetala-e-Muhammad
Ke Hai Arsh-e-Haq Zere Paaye Muhammad
Makaa Arsh Unka Falak Farsh Unka
Malak Khadman-e-Sara -e Muhammad
Khuda Ki Riza Chahate Hai Do Alam
Khuda Chahta Hai Riza-e-Muhammad
Ajab Kya Agar Reham Farmaye Ham Par
Khuda-e-Muhammad Bara-e-Muhammad
Dam-e-Naz'a Jaari Ho Meri Zabaa Par
Muhammad Muhammad Khuada-e-Muhammad
Khuda Unko Kis Pyaar seDekhta Hai
Jo Ankhein Hai Mehre Likaa-e-Muhammad
Asa-e-Kaleem Azdaha-e-Gazab Tha
Giro Ka Sahara Asa-e-Muhammad
Ijaabat Ne Juk Kar Gale Se Lagaya
Badi Naaz Se Jab Dua-e-Muhammad
Ijaabat Ka Sehra Inayat Ka Joda
Dulhan Banke Nikli Dua-e-Muhammad
RAZA Pul se ab Vajd Karke Guzariye
Ke Hai Rabbe Sallim Nida-e-Muhammad
Comments
Post a Comment