Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi Lyrics


Muhammad sa Nahin koi Muhammad sa Nahin koi
Muhammad sa Nahin koi Muhammad sa Nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi
Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Rasulon ne kaha mil kar Firishton ne kaha badh kar
Yahi Hooron ka Nagma hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Sarapa Aapka likhne ko Quraan samne rakkha
Kalam ne Itna likkha hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

The Hundred Book mein likkha hai Nabi ka Naam uncha hai
Ye Michael Heart likhta hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Jala hai maar kha kar bhi Hazaron Zakhm seh kar bhi
Bilale Habshi kehta hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Janabe Saiyyida Hasnain aur Maula Ali bole
Nabi Jesa na dekha hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Abu Bakro Umar Usmano Haidar Charon kehte hein
Koi Duniya mein Aesa hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Hazaron mehzabeen aaye Bade hi Dilnasheen aaye
Koi kab Unsa aaya hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Kiraman Katibin aao Kitabe Ishk mein likkho
Gulamon ka Ye Naara hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi

Adab se Sar jhukata hai Anguthe chum leta hai
Ujagar kehta firta hai Muhammad sa nahin koi

Zamane bhar mein dhundha hai Muhammad sa nahin koi


Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu