Zameen maili Nahin Hoti Zaman Maila Nahin Hota
Zameen maili nahin hoti Zaman maila nahin hota
Muhammad ke gulamon ka kafan maila nahin hota
Mahobbat kamli-wale se Wo Jazba hai suno logon
Ye jis man me sama jaye Wo man maila nahin hota
Gulon ko chum lete hein Sahr-nam shabnami qatre
Nabi ki naat sun le to chaman maila nahi hota
Jo Naame-mustafa chume nahin dukhti kabhi Aankhein
Pahen le Pyar jo Unka badan maila nahin hota
Nabi ka damane-rehmat pakad lo Aye jahan walo
Rahe jab tak ye haathon mein chalan maila nahin hota
Nabi ke paak langar par Jo palte hein kabhi unki
Zuban maili nahin hoti Sukhan maila nahin hota
Mere Aaqa ki ulfat to badan ko jagmagati hai
Kabhi Ahle Muhammad ka Badan maila nahin hota
Nabi ke paak langar par Jo palte hein kabhi unki
Zuban maili nahin hoti Sukhan maila nahin hota
Mere Aaqa ki ulfat to badan ko jagmagati hai
Kabhi Ahle Muhammad ka Badan maila nahin hota
Me naza to nahi fan par magar NASIR ye dawa hai
Sana-e-Mustafa karne se fan maila nahin hota
Masha Allah
ReplyDelete