Roman(ENG): Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye Aye Mere Allah ! Mujpe Karam ye farmana Roza rakkhunga saheri me.n Mujko uthwana Ramzan ke Roze aaye, Dil jhoom jhoom jaaye Ham Roza rakhna chahe.n, Mama Ham.n samjaaye Roza rakhna agle saal, Roza rakhna agle saal Din hai bada aur Tum ho chhote, Maan bhi jaao na Mere Bete Bhook lagegi Pyas lagegi, Sara Din kuchh kha nahi.n sakte Abhi to chhote bacche ho, maana ke man ke scche ho Maa ki aankh ke taare ho, Baba ke dulaare ho Roza ab ke saal rakhna, Maan lo beta baat hamari Dhoom dhaam se Laal hamare ! Roza-Pachai hogi Tumhari Meri Maa ne bola beta thik hai Roza rakh lena Baccho.n ka roza aadha hai, Din me.n khana kha lena Mama-Papa Pyar kar.n aur Dadu bole.n khalo kuchh Maan ke Gharwalo.n ka kehna, kha leta hu.n Mai.n khana Jo Roza nahi.n rakhte, Wo acchhe nahi.n hote Unhe.n Rab na bakhshega, Jo Rab se nahi.n darte Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n sehat de Maula Jo Roza rakhte he.n, Unhe.n himmat de Maula Hasan Imam Qadri ko bakhsh d...