Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein Lyrics || Nisar Ahmed Marfani


Rang Jaye Rang Jaye Rang Jaye
Rang Jaye Rang Jaye Rang Jaye

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Jab Tasawwur ho Na ho duja koi Sang mein
Tera Ishq sama jaye Meri Rooh Mere Ang mein

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Har Ashke Nadamat se Daman Mera dhul jaye
Wo Jaan ata karde Nas-Nas mein jo ghul jaye
Deedar ki hasrat bhi yun had se guzar jaye
Jab band karun Aankhein Aankhon mein utar jaye

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Aye Kash Mere Dil ka Arman nikal jaye
Teri Naat labon par ho Aur Jaan nikal jaye
Hakim bhi rahe Nadim Sultan Salami de
Khadim Tera Kehlaun kuchh Aesi Gulami de






Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Akhlak Munawwar hon Aamal bhi Roshan hon
Islam ki Khidmat mein Kurban Mera tan ho
Jab Deen ki Azmat ka Koi Kaam liya jaye
Tere Naam ki nisbat se Mera Naam liya jaye

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Diwarein Mu'attar hon Ghar-bar Mera Mehke
Imaan ki Khushbu se Kirdar Mera Mehke
Jo Tujse rakkhe doori Bas Us se shikayat ho
Ulfat ho jise Tujse Us se Muje Ulfat ho

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein

Bas Teri hi baat karun Jis samt chala jaun
Jab bhuk lage Mujko Mein Sadka Tera khaun
Mil jaye faraz aesi Diwanagi kismat mein
Mashgul rahun har dam Sarkar ki Mid'hat mein

Rang jaye Meri Hasti Mere Aaqa Tere Rang mein




Comments

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu