Rukh se parda ab apne utha do Lyrics

Rukh se parda ab apne utha do
Jaliyon par nigahen jami hain
Apna jalwa isi mai dikhado
Jaliyon par nigahen jami hain

Faslon ko khudara mita do
Jaliyon par nigahen jami hain
Apna jalwa isi mai dikhado
Jaliyon par nigahen jami hain

Gausul Azam ho Gausul Vara ho
Noor ho noor e salle ala ho
Kya bayan aap ka martaba ho
Dastagir aur mushkil kusha ho
Aaj deedar apna karalo
Jaliyon par nigahen jami hain

Sun rahe hai wo fariyad meri
Khak hogi na barbad meri
Mai kahi bhi marun shahe jilaan
Ruh pahunchegi Bagdad meri
Mujko parvaaz ke par laga do
Jaaliyon par nigahen jami hain

Wajd mai aayega saara Alam
Jab pukarenge Ya Gause Azam
Wo nikal aayenge jaliyon se
Aur Kadmon mai gir jayenge ham
Fir kahenge ke bigdi bana do
Jaliyon par nigahen jami hain

Fikar dekho Khayalat dekho
Ye akidat ye Jazbat dekho
Mai hu kya meri aukat dekho
Samne kesi hai zaat dekho
Apne sar ko Adeeb ab juka do
Jaliyon par nigahen jami hain

Comments

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu