Posts

Showing posts from February, 2022

Mere Tum Khwaab mein Aao Lyrics || Asad Attari || Roman(Eng) & हिंदी

Roman (Eng) : Mere Tum Khwaab mein Aao Mere Ghar Roshni Hogi Meri Qismat Jagaa Jaao Inaayat Ye Badi Hogi Madine Mujko Aana hai Ghame Furkat Mitaana hai Kab Aaqa-e-Madina Dar Pe Meri Haazri hogi Shahensha-e-Madina Do, Tadapne Ka Kareena Do Wo Aankh Aaqa Inayat ho , Ki Jo Ashkon bhari hogi Banaalo Apnaa Diwaana , Banaalo Apnaa Mastaana Khazaane mein Tumhaare Kya Kami Pyaare Nabi Hogi Ghame Doori Rulaata hai , Madina Yaad Aata hai Tasalli Rakh Aye Diwane ! Teri bhi Haazri hogi Muje gar Deed ho Jaaye , To Meri Eid ho Jaaye Tera Deedar Jab hoga , Muje Haasil Khushi Hogi Khazaan ka Sakht Pehra hai , Ghamon ka dhup Andhera hai Zara sa Muskuraa doge , To Dil mein Roshni hogi Ilahi ! Gumbade Khazraa ke Saaye mein Shahaadat de Meri Laash Unke Kadmon mein na jane Kab Padhi hogi Hamein bhi Izn Mil jaaye Shahaa qadmon mein aane ka Na Jaane Kab Madine mein Hamaari Haazari hogi Madina Mera ho Maskan Baqee-e-Paak ho Madfan Meri Ummid ki Kheti , Na Jaane Kab Hari Hogi ...

Utri hai rab ki rehmat Ramzan ke dinon mein Lyrics

Utri hai rab ki rehmat Ramzan ke dinon mein Dekho khuli hai jannat Ramzan ke dinon mein Fir chand aasman par Ramzan ka hai chamka Aao karein ibadat Ramzan ke dinon mein Rehmat ka ashra aaya mehroom kyun rahen ham Teri ho ham pe rehmat Ramzan ke dinon mein Ashra e magfirat mein bakhshish ka muzda de de Aesi tu kar inayat Ramzan ke dinon mein Quraan se kar ujagar sinon ko tu hamare Kar de ata hidayat Ramzan ke dinon mein

Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Lyrics || Rahat Fateh Ali Khan || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) : Ab to Sarkaar ke waseele se  Dil hi Makka hai , Dil Madina hai Jaan le Jisko Ishq ho darkaar  Rehmate Haq Yahi Mahinaa hai Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Allah ka Ahesaan Dil Dil Ramzaan Shaane Nuzule Quraan Dil Dil Ramzan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Saansein Jab tak hein Dil Sawaali rahe Haath mein Roze ki Wo Jhaali rahe Dil Mera Zikr se na khaali rahe Rehmate Haq yahi Mahinaa hai Dil Jo ho jaaye Wakfe Ishqe Rasool Usmein hotaa hai Rehmaton ka nuzool Jaan le Jis se ho gayi koi bhool Rehmate Haq yahi Mahinaa hai Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Dil Dil Ramzaan Allah ka Ahesaan Dil Dil Ramzaan Shaane Nuzule Quraan Dil Dil Ramzan Aesi Barkaat hein simat-ti nahin Jitni baanto Magar ye gat-ti nahin Badliyaan Us ataa ki chhat-ti nahin Rehmate Haq yahi Mahinaa hai Ye Sana-khwaaniyan ye Hamdo Durood Ye Ibaadaat ye Rukoo wa Sujood Dekho Ham sab hue hein Ek Wujoo...

Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) : Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Badhe Badhe Gun Gaate hein , Inke Suthre Kirdar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Mere Murshid , Sohne Murshid , Zulfein Jinki Pyaari Sarpe Sabz Imama hai , Chehre pe Pyari Dahdi Roohani Jalwe hein Mere Murshid ke Rukhsar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Darse Shariyat dene wale Mere Shaikhe Tarikat hein Gause Paak ke Sadke mein Waliyon se rakhte aqeedat hein Pakke Razwi Aashiq hein Ye Nabiyon ke Sardar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Sindhi , Balochi , Kishto , Punjabi ka Sab Fark Mitaaya hai Jo bhi Aaya Paas mein Inke Usko Gale Lagaaya hai Murshid Unse Pyar hein Karte Jo Aashiq Sarkar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Paygame Sunnat ko Duniya bhar mein Yun Pahunchaya hai Jo bhi Bola Uspe Pehle Karke Amal Dikhaya hai Asia , Yorop Wale hein Gardeeda Inke Pyar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Atta...

Waqt sehri ka ho gaya jaago Lyrics in English Hindi

waqt sehri ka ho gaya jaago noor har simt chha gaya jaago uttho sehri ki kar lo tayyari roza rakhna hai aaj ka jaago maah-e-ramzaan ke farz hei.n roze ek bhi tum na chhodna jaago utho-utho wuzu bhi kar lo aur tum tahajjud karo 'ada jaago chay garmaa-garam piyo uth kar khaalo halki si kuchh giza jaago hogi maqbool fazl-e-maula se khaake sehri karo duaa jaago maah-e-ramzaan ki barkatie.n looto loot lo rahmat-e-KHuda jaago sahri kha kar ke tum 'ada karlo sunnat-e-shaah-e-ambiya jaago tumko maula madina dikhlaaye aur hajj bhi karo 'ada jaago maah-e-ramzaan ke sadqe mei.n tumko de KHuda 'ishq-e-mustafa jaago sehr-o-iftaar ka madine mei.n de sharaf tumko kibriya jaago rehmato.n ki jadi barasti hai jald uth kar ke lo naha jaago tumko deedar-e-mustafa ho jaaye hai ye 'attar ki dua jaago वक़्त सहरी का हो गया जागो नूर हर सिम्त छा गया जागो  उठो सहरी की करलो तैयारी रोज़ा रखना है आज का जागो  माह-ए-रमज़ान फ़र्ज़ हैं रोज़े  एक भी तुम न छोड़ना जागो  उठो-उठो वुज़ू भी कर लो ...

Sar ta Bakadam hai Tane Sultane Zaman Phool Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी

Roman (Eng) : Sar ta Ba-qadam hai Tane Sultaane Zaman Phool Lab Phool , Zahen Phool , Zaqan Phool , Badan Phool Sadqe mein Tere Baag To Kya Laaye hein "Ban" Phool Is Ghuncha-e-Dil ko bhi to Imaan ho ke Ban Phool Tinka bhi Hamare To Hilaye nahin hilta Tum Chaho to ho jaaye Abhi Kohe Mehan Phool Wallah jo Mil jaaye Mere Ghul ka Pasina Mange na kabhi Itar Na Phir Chahe Dulhan Phool Dandano , Labo , Zulfo , Rukhe Shah ke Fidaee Hein Durre Adan , La'ale Yaman , Mushke Khatan Phool Hon Baare Gunaah se na Khajil Doshe Azizaan Allah Meri Na'ash kar Aye Jaane Chaman Phool Kya Baat RAZA Us Chamanistan-e-Karam ki Zuhra hai Kali Jis mein Husain Aur Hasan Phool हिंदी : सर ता बक़दम है तने सुल्ताने ज़मान फूल लैब फूल , ज़हन फूल , ज़क़न फूल, बदन फूल सदक़े में तेरे बाग़ तो क्या लाये हैं "बन" फूल इस गुंचा-इ-दिल को भी तो इमां हो के बन फूल तिनका भी हमारे तो हिलाये नहीं हिलता तुम चाहो तो हो जाये अभी कोहे महन फूल वल्लाह जो मिल जाए मेरे गुल का पसीना मांगे न कभी इत्र ,...

Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Lyrics || दोनों आलम के सरकार आ जाइये || Hassan Raza Qadri

Roman(Eng) : Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Behre Deedar Mushtaq hai Har Nazar Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaieye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Chandani Raat hai Aur Pichhla Paher Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Saamne Jalwagar Paikare Noor ho Munkiron ka bhi Sarkar Shak door ho Karke Tabdil Ek Din Libase Bashar Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Shaame Ummid ka Ab Saweraa hua Soo-e-Tayba Nigaahon ka Deraa hua Bichh gayi Raah mein Farshe Qalbo Jigar Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Dil ko Toota hua Aabgheena liye Shola-e-Ishq ka Toore Seena Liye Kitne Gayal khade hein Sare Raah Guzar Donon Aalam ke Sarkar Aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Aaqa aa Jaiye Sidratul Muntaha , Arsh , Baabe Iram Har Jagah Padh Chuke hein Nishane Qadam Ab to Ik baar Apne Gulamon ke Ghar D...

Guzre Jis Raah se Wo Sayyide Wala ho kar Lyrics

Guzre Jis Raah se Wo Sayyide Wala ho kar Reh gayi Sari Zameen Ambare Sara ho kar Rukhe Anwar ki Tajalli Jo Qamar ne dekhi Rah gaya Bosa Dahe Nakshe Kafe Paa ho kar Waaye Mehroomi-e-Kismat ke Mein fir Ab ke Baras Rah gaya Hamrahe Zawware Madina ho kar Chamane Tayba hai Wo Baag ke Murge Sidra Barson Chehke hein Jahan Bulbule Sheyda ho kar Sarsare Dashte Madina ka Magar Aaya Khayal Rashke Gulshan jo Bana Ghuncha-e-Dilwa ho kar Ghoshe Shah kehte hein Fariyad Rasi ho Ham hein Wa'da-e-Chashm hai Bakhshaenge Ghoya ho kar Paae Shah par gire Ya Rabb Tapashe Maher se Jab Dile Betab udhe Hashr mein Para ho kar Hai Ye Ummid Raza ko Teri Rehmat se Shaha Na Ho Zindani-e-Dozakh Tera Banda ho kar

Ramzan e Madina By Hafiz Tahir Qadry Lyrics

Ramzan e Madina Ramzan e Madina Allah dikha de muje Ramzan e Madina Aati hai yahi lab pe dua rozo shabina Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan me umre ki sa'adat muje dede Aaqa maiyyat me mile hajj ka khazina Allah dikha de muje Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan e Madina Sehri ki vo ronak dare sarkar pe dekhe Allah mera ghar bhi ho mehroom kahi na Allah dikha de muje Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan e Madina Iftar karu masjid e nabavi ke sehan me Mil jaye meri jist ko lamhat e sakina Allah dikha de muje Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan e madina jo guzar jaye karam se Fir Eid Ujagar ki ho ha Eid e madina Allah dikha de muje Ramzan e Madina Ramzan e Madina Ramzan e Madina

Madad kar meri Do Jahanon ke Malik Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Roman(Eng) : Madad kar meri Do Jahanon ke Maalik Musibat mein Meine pukaara hai Tujko Gunaahon ke daldal mein Mein fans gaya hun Nikalne ki raahein hui band saari Wo nayya Meri dubti jaa rahi hai Bacha le Use Tu Khuda Wande-Baari Kisi se Koi waasta hi nahin hai Tera jab se Khalik sahaara hai Mujko Madad kar meri Do Jahanon ke Maalik Musibat mein Meine pukaara hai Tujko Tera Naam Hayyu aur Qayyum bhi hai Tuje nind aati nahin Ek pal bhi Tu hi thaamta hai Zameen Aasman ko Hawaaein bhi hein huqm se Tere chaltin Muje thaamle aur bachaale Muje Tu Bahot door lagta kinaara hai Mujko Madad kar meri Do Jahanon ke Maalik Musibat mein Meine pukaara hai Tujko Tu Raaziq hai sab ka Jahanon ke Maalik Zameen Aasman mein Teri Baadshahi Tu hi bakhshta hai Dinon ko Ujaale Ke Raaton ko deta hai Tuhi Siyaahi Kushaada Mera Rizq kar de Aye Maalik Ye kehne ko Dil ne ubhaara hai Mujko Madad kar meri Do Jahanon ke Maalik Musibat mein Meine pukaara hai Tujko Teri bandagi to Meri Zindagi ...

Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Roman(Eng) : Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab Nek Kab Aye Mere Allah ! Banunga Ya Rab Kab Gunaahon ke Maraz se Mein Shifa Paaunga Kab Mein bimaar Madine ka banunga Ya Rab Gar Tere Pyaar ka jalwa na raha Peshe-Nazar Sakhtiyaan Naz'aa ki kyun kar Mein sahunga Ya Rab Naz'aa ke waqt Muje jalwaa-e-Mehboob dikha Tera kya jaayega Mein shaad marunga Ya Rab Qabr mein gar na Muhammad ke nazaare honge Hashr tak kaise Mein fir tanha rahunga Ya Rab Dankh machhar ka bhi Mujse to saha jaata nahin Qabr mein bichhu ke dankh kaise sahunga Ya Rab Ghoop andhere ka bhi wahshat ka basera hoga Qabr mein kaise akela Mein rahunga Ya Rab Gar kafan faad ke saanpon ne jamaaya kabza Haaye barbaadi kahaan jaake chhupunga Ya Rab Haaye maamuli si garmi bhi sahi jaati nahin Garmi-e-Hashr Mein fir kaise sahunga Ya Rab Aaj banta hu mu'azzaz jo khule hashr mein ayeb Aah ! ruswaaee ki aafat mein fasunga Ya Rab Pul Siraat aah hai talwaar ki bhi dhaar se tez Kis tarha se M...

Baad e Ramzan eid hoti hai Lyrics

Roman (Eng) : Baade Ramzaan Eid hoti hai Rabb ki Rehmat mazeed hoti hai Jis ko Aaqa ki Deed hoti hai Uspe Qurbaan Eid hoti hai Eid Tujko Mubaarak Aye Saaeem Rozaadaron ki Eid hoti hai Rozaadaron ke waaste Wallah Magfirat ki naweed hoti hai Be-Namazon ki Rozaakhoron ki Kaun kehtaa hai Eid hoti hai Jisko Aaqa Madine bulwaaein Us Musalmaan ki Eid hoti hai Mujko Eidy mein do baqee Aaqa Jaane kab Meri Eid hoti hai Eid Attar Uski hai Jisko Khwaab mein Unki Deed hoti hai हिंदी : बादे रमजान ईद होती है रब्ब की रेहमत मज़ीद होती है जिसको आक़ा की दीद होती है उसपे क़ुर्बान ईद होती है ईद तुमको मुबारक ए साईम रोज़ादारों की ईद होती है रोज़ादारों के वास्ते वल्लाह मगफिरत की नवीद होती है बेनमाज़ों की रोजाखोरों की कौन कहता है ईद होती है जिसको आक़ा मदीने बुलवाएं उस मुसलमां की ईद होती है मुझको ईदी में दो बाक़ी आक़ा जाने कब मेरी ईद होती है ईद अत्तार उसकी है जिसको ख्वाब में उनकी दीद होती है ramzan, bade ramzan, eed special, eid special naat, nasheed, dawate islami, dawat-e-islami, ilyas ...

Kya bayaan azmatein hon teri shaha

Kyaa bayaan azmatein hon Teri Shahaa Har dukhi Dil ka Tu Sahaara hai Rehmatullil Aalameen laqab Tera Saara Aalam Tera utaara hai   Deene Millat ho aur Zeenate Khalq Raunake falq ho aur Arshe nasheen Makhlookein saari donon aalam ki Aur Allah ka Tu pyaara hai   Ism to khoon they gumaan me magar Ek yahi Ism hi pasand aaya Mere Allah ko Is Ism ke sang Ik niktaa bhi na gawara hai   Tum jo chaaho bulao dar pe jisey Paye Deedar koi khwaabon mein Teri ulfat ke hein mareez sabhi Har koi Dil se Tum pe haara hai   Aarzoo waqte najaat hai ‘ Mehboob ‘ Tera Deedare Husn haasil ho Kalmaa padhtey huwey ye dam nikley Aur kaho Tum ke Tu hamaara hai

Bigdi Bhi Banayenge jalve bhi dikhaenge Lyrics || Haji Mushtaq Attari

Aa jayegaa Tayba se bulaawa bhi kisi Roz Har waqt Madine ki Duaa maang are maang Na ho maayus Are Diwaanon Pukaare jaao Tum Unko Bulayeinge Tumhein bhi Ek Din Sarwar Madine mein Bigdi bhi banaayenge , Jalwe bhi dikhaayenge Gabraao na Diwaanon Sarkaar bulaayeinge Ham Masjide Nabawi ke dekheinge Minaaron ko Aur Gumbade Khazraa ke pur noor Nazaaron ko Ham jaake Madina fir waapas nahin aayenge Mil jaayengi taabirein Ek roz to khwaabon ki Gir jaayeingi Deewaaren sab dekhna raahon ki Ham Roza-e-Aqdas par jab aansu bahayeinge Dil Ishke Nabi mein ghum kuchh aur tadapne do Is Deed ki aatash ko kuchh aur fadak ne do Ham tishna dili jal kar zamzam se badhayenge Jab Hashr ke Maidaan mein Ek Hashr bapaa hoga Jab faisalaa Ummat ka karne ko Khuda hoga Ummat ko Shahe bat'ha Daaman mein chhupayenge Lillah Mere Aaqa se roodaad Meri kehna Ye arz bhi Aaqa se Aye Hajiyon Tum karna ISHRAT ko Dare Aqdas kab Aap bulayeinge Ham sab ko dare Aqdas kab Aap bulayeinge

Lajpaal Ali || Manqabat Lyrics || Abdul Qadir Attari

Kabhi Deewaar hilti hai , Kabhi Dar kaamp jaata hai Ali ka Naam Sun kar , Ab bhi Khaybar kaamp jaata hai Lajpaal Ali , Lajpaal Ali , Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Zarb Teri Zarbe Haq hai Quwwate Parwardighaar Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Sitam ke muqaabil Madadghaar Ali Ali Allah de Sheron ka Shedaar Ali Ali Jab Jab ho mushkil , ho lalkaar Ali Ali Khaybar ho Khandak ho Har baar Ali Ali Ali rehnumaa hai Saahibe Zulfiqaar Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Zarb Teri Zarbe Haq hai Quwwate Parwardighaar Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Waliyaan de seenan da Aye Saaj Ali Ali Mominaan di bas Aye Meraaj Ali Ali Jinaa da na koi , Ali onaa da bharam Maula Maula Maula Ali Maula Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Zarb Teri Zarbe Haq hai Quwwate Parwardighaar Lajpaal Ali , Lajpaal Ali Haidar Karam Haidar Ataa , Har Dard ki Haidar Dawaa Rehnumaa Hamare Ali hein Abu Turaab Hein Raaz Ibaadat ki , Haidar khuli Kitaab Ali hai Wilaayat ka Pehlaa kareena Tasawwuf Samandar Ali hein Safeenaa Ali Pehswaa hai Saahibe Asraa Lajpaal Ali , ...

Ali Dam Dam Lyrics || Nawal Khan || New Manqabat || Roman (Eng) & हिंदी

Roman (Eng) :  Ya Ali! Ya Ali!  Ya Ali! Ya Ali!  Ya Ali! Ya Ali!  Shaahe Mardaan Shere Yazdaan Quwwate Parwardigaar La-Fataah-Illa Ali La-Sayfullaah Zulfikaar Ali Dam Dam Dam Ali Dam Dam Dam Ali Dam Dam Dam Ali Dam Dam Dam Ho gayi Rabb ki Inaayat Ya Ali kehne ke baad Mushkilon ki aayi shaamat Ya Ali kehne ke baad Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Dil kahe kehtaa rahun Mein Ya Ali Maula Ali Tal gayi Har ek Musibat Ya Ali kehne ke baad Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Naara-e-Maula Ali se Sab pataa chal jaayegaa Kaun rakhtaa hai Adaawat Ya Ali kehne ke baad Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Mushkilein hi Mushkilein thin har qadam har mod par Har taraf se hai himaayat Ya Ali kehne ke baad Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Ali Ali , Ali Ali , Ali Ali , Dam Ali Ali  Ilm...

Zubaan ke saath Dil bolaa Ali Maula Ali Maula Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी || Muhammad Zahid Khalil Qadri

Roman(Eng) : Zubaan ke saath Dil bolaa Ali Maula Ali Maula Kali boli Chaman bolaa Ali Maula Ali Maula Ali Jis Jaah huye paida ke Wo Darbaar Aalaa hai Ke Wo Maula na kyun kar hon Jinhein Maula ne paala hai Uthaa kar Haath maidaan mein Nabi ne raaz ye kholaa Jiska Mein Nabi Maula Huye Uske Ali Maula Zubaan ke saath Dil bolaa Ali Maula Ali Maula Ali hein Baadshaahe Mann Ali Mushkil kushaa-e-mann Ali ki Baadshaahi hai Ali Hubbe Ilaahi hai Har-ek mizaan mein tola Ali Maula Maula Zubaan ke saath Dil bolaa Ali Maula Ali Maula Qaseedaa jab padhaa Meine Ali Maula ka Mehfil mein Ali ka har Shajar bola Ali Maula Ali Maula Zubaan ke saath Dil bolaa Ali Maula Ali Maula हिंदी :  जुबां के साथ दिल बोला अली मौला अली मौला कली बोली चमन बोला अली मौला अली मौला अली जिस जाह हुए पैदा के वो दरबार आला था के वो मौला न क्युं कर हों जिन्हें मौला ने पाला है उठा कर हाथ मैदां में नबी ने राज़ ये खोला जिसका में नबी मौला हुए उसके अली मौला जुबां के साथ दिल बोला अली मौला अली मौला अली हैं बादशाहे मन्न अली मुश्किल कुशा-इ...

Haidare Karraar Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) :  Jashne Maula-e-Qaayenaat jaari rahega jaari rahega Sunni hai to fir Dil se Tu Ali Ali bolega Haidare Karraar Haidare Karraar  Haidare Karraar Haidare Karraar Hai Chaar Yaaron mein Ik Yaar Haidare Karraar Haidare Karraar  Hue Khalifa-e-Sarkaar Haidare Karraar Tumhare Naam ko Sun kar ke Aaj tak Maula Laraz rahe hein Ye Kuffar Haidare Karraar Haidare Karraar Mili hai Maahe Rajab ki Ye Terwih Tumse Ye Ahle Haq ka hai Tahewaar Haidare Karraar Haidare Karraar Shere Khuda hai Ali Ali Jaane Nabi hai Ali Ali Chothaa Khalifaa Ali Ali Sabke Maula Ali Ali Teri Chaahat Ali Ali Meri Chaahat Ali Ali Baabe Wilaayat Ali Ali.. Ali Ali.. Ali Ali .. Nabi ki Nind pe kar di Namaaze Asar fidaa Nabi se thaa yun Teraa Pyaar Haidare Karraar Haidare Karraar  Jo Ahle-Bayto Sahaaba pe Jaan dete hein Wohi hein Tere Wafaadaar Ahle Nazar ki Aankh ka Taaraa Ali Ali Ahle Wafaa ke Dil ka Sahaara Ali Ali Hai Chaar Yaaron mein Ik Yaar Haidare Karraar Haidare Karraar  Ke Soye Maut ke b...

Arab ka Chaand aa gaya Lyrics || Nisar Ahmad Marfani

Roman(Eng): Chaand aa gaya Chaand aa gaya Dekho Arab ka aaj Chaand aa gay Arab ka Chaand aa gaya Arab ka Chaand aa gaya Jahaan mein Noor barsaane, Arab ka Chaand aa gaya Zamaane bhar ko chamkaane, Arab ka Chaand aa gaya Halima ! Daaeeyaan qismat pe Teri rashk karti hein Teri qismat ko chamkaane, Arab ka Chaand aa gaya To straight the light Throughout the world The moon of Tayba has a rife The light is bright Throughout all the world The moon of Tayba has a rife Arab ka Chaand aa gaya Arab ka Chaand aa gaya Khuda e Paak detaa hai Hakikat hai yahi lekin Khuda se Hamko dilwaane Arab ka Chaand aa gaya Jo Duniya ke sataaye hein Sadaa se be sukun hein Unhe taskeen pahunchaane Arab ka Chaand aa gaya Shayateen jaa nahi sakte heib ab to aasmaanon mein Jahan mein jalwaa farmaane Arab ka Chaand aa gaya Bhala kyun khauf hai Salmaan Tuje Us Gaure Teeraan se Teri Turbat ko chamkaane Arab ka Chaand aa gaya

Lutaate khub hein Daulat Ali ke Deewaane Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) :  Maula Mushqil qushaa Maula Mushqil qushaa Haydariam Qalandaram Mastam Banda-e-Murtazaa Ali Hastam Pehswaa-e-Tamaame rindaanam Ke Sage Koo-e-Shehre Yazdaanam Lutaate khub hein Daulat Ali ke Deewaane Hein karte ab bhi Huqumat Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Pachhaad dete hein Har Jhang mein Laeenon ko Jo phaad dete hein Aada-e-Deen ke seenon ko Hein rakhte Aesi Shujaa-at Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Jo waqt padhtaa hai Ghar Baar bhi lutaate hein Rizaa-e-Rabb ke liye Sar ko bhi kataate hein Magar na jhukte hein Hazrat Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Hai koi Gaus koi Karbalaa ka Dulha hai Koi hai Daata koi Hind ka Shahenshaah hai Hein Aese Saahibe Izzat Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Ali ke Deewaane Munaafiqeen hein darte Ali ke Naare se Shayaateen sar hein pakadhte Ali ke Naare se Lagaake Paate...

Mein Qaum ki beti hun Mein Pardaa karti hun Lyrics in Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) :  Islaam ki beti kabhi gayrat par soda nahin karti Jab Uski Izzat aur aabru ko lalkaara jaaye To Wo ye sadaa buland karti hai ! Mein Qaum ki beti hun Mein Pardaa karti hun Bhagwaa ki nahin parwaah , Allah se darti hun Allahu Akbar Allahu Akbar Allahu Akbar Allahu Akbar  Mein Qaum ki beti hun Mein Pardaa karti hun Bhagwaa ki nahin parwaah , Allah se darti hun Tum laakh daraaoge Mujko be-khauf Mein hoti jaaungi Aankhon mein daalke Mein Aankhein Har baatil se takraaungi Mein Umme Wahab ki Beti hun Zaynab ki Shujaa-at hai Mujh mein Duniya ke sabhi Kuffar sunein Khola ki bhi himmat hai Mujh mein Mein Qaum ki beti hun Mein Pardaa karti hun Bhagwaa ki nahin parwaah , Allah se darti hun Allahu Akbar Allahu Akbar Allahu Akbar Allahu Akbar    Allah ki Itaa-at Pardaa hai , Sarkaar ki Chaahat Pardaa hai Imaan ki Halaawat Pardaa hai , Be-Sharmee se nafrat Pardaa hai Izzat ki hifaazat Pardaa hai , Aurat ki Sharaafat Pardaa hai Islaam se Ulfat Pardaa hai , Zahraa ki hid...

Aye Dushmane Deen ! Tune kis Qaum ko lalkaara Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng): Allahu Akbar  Allahu Akbar  Allahu Akbar  Allahu Akbar  Le Ham bhi hein Saf-aara Le Ham bhi hein Saf-aara Aye Dushmane Deen ! Tune kis Qaum ko lalkaara Le Ham bhi hein Saf-aara Le Ham bhi hein Saf-aara Aa dekh Ye Baazu , Baazu hein ke Talwaarein Seene hein Jawaanon ke, Ya Aahani Deewarein Mil jaati hein Qadmon se Kis tarha se Dastaarein Ham Tujko deikhaa denge So baar ye Nazzara Aye Dushmane Deen ! Tune kis Qaum ko lalkaara Le Ham bhi hein Saf-aara Le Ham bhi hein Saf-aara Jis Raah se aayegaa , Us raah se maareinge Mud kar bhi na dekhegaa, Yun nashaa utaareinge Ham maut ki waadi se yun Tujko guzaareinge Is Qaum se ladhne ki himmat na ho dobaara Aye Dushmane Deen ! Tune kis Qaum ko lalkaara Le Ham bhi hein Saf-aara Le Ham bhi hein Saf-aara Is Qaum ka har baccha, Allah ka Sipahi hai Is khaak ka har Zarra , Taqdeere Ilaahi hai Is khitte ka har Goshaa , Ik Zindaa gawaahi hai Imaan ka hai Gehwaara , Imaan ka hai Gehwaara Aye Dushmane Deen ! Tune kis Qaum ko la...

Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Lyrics

Noor katin mein aayo Noor katin mein aayo Noor katin mein aayo Noor katin mein aayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Khalike qula farmayo Saraa Momin Khushiyu manaayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Zulm ji kaari raat wei Imaan ja kirnaa aaya Hai turt adab je sajde mein Sir Baytullah jukaayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Ishqe Nabi khe saah mein Sandhe dardan khe wesaare Naalo Nabiyaan jo Chuman dhe Saawan Jandan ke farkayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Har hik Aashiq mithde Nabi jo Eid Milaad dihaare Sallalallahu alayhi wa Sallam Jungaari dhe aayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo Mahbooban ji chaanth chomi Behlim sa-adat mani Jenje noor kalamtum jekhe Natun sa chamkayo Mursal je Milaad je Sadqe Noor katin mein aayo

Madina Yaad Karlena Lyrics || Asad Raza Attari

Jeene ki Taraf dekh na Marne ki Taraf dekh Jab Chot Lage Dil ki Madine ki Taraf dekh Jo Koi Gham Sataaye to Madina Yaad kar lena Na Dil ko Chain Aaye to Madina Yaad kar lena Sahara be-saharon ka Madaawa Gham ke Maaron ka Na Koi Kaam Aaye to Madina Yaad kar lena Umuman Zindagi mein Dukh ke Din bhi Aa hi Jaate hein Kabhi Lamha Ye Aaye to Madina Yaad kar lena Suna hai Mushkilon mein Sath koi bhi nahin chalta Zamaana Chhod Jaaye to Madina Yaad kar lena Kabhi Ashkon ki Boli bhi Khamoshi mein badal Jaaye Aur Dil Aansu bahaye to Madina Yaad kar lena Hawaaein bhi Mukhaalif hon Ho Dariya mein bhi Tugyaani Aur Kashti Doob Jaaye to Madina Yaad kar lena Kabhi Jo Saans bikhri ho Kabhi Dhadkan Jo Ulji ho Na Dil bhi Jo Sambhal Paaye to Madina Yaad kar lena Musibat mein to Har koi Unhin ko Yaad karta hai Khushi Ahmad Jo Aaye to Madina Yaad kar lena

Mere Nabi ke Sahaba Lyrics || Ahmed Raza Qadri

Mere Sahaaba Pyare Sahaaba Lajpaal Sahaaba Sitaare Sahaaba Jo Takte the Mere Nabi ko Raat Din Raat Din Na Reh Paate the Ek Pal bhi Nabi ke Bin Nabi ke Bin Mere Nabi ke Sahaba Mere Nabi ke Sahaba ... Meri Jaan Sahaaba Imaan Sahaaba Meri Shaan Sahaaba hein Mahobbat ki Sham-a Saare Sahaaba hein Sahaaba hein Hamein to Jaan se Pyaare Sahaaba hein Mere Nabi ke Sahaaba Mere Nabi ke Sahaaba As'habe Nabi As'habe Nabi As'habe Nabi As'habe Nabi Qamar ke Gird Kaise Jagmagaate the Jagmagaate the Nabi Mahtab hai Taare Sahaba hein Sahaba hein Mere Nabi ke Sahaba Mere Nabi ke Sahaba Madine mein Mere Sarkaar Jab aayein Khushi ki Ek Laher Sath mein Wo Laayein Jahaan bhi Untni ruk Jayegi Wo Ghar Wahin Aaram Farmayenge Ab Sarwar Ruki Ek Ghar ke Aage Untni Pyaari Wo Ghar tha Milkiyat Ayyub Ansari Haseen hein Kis Kadar Kirdaar ke dekho Bane Jo Mezbaan Sarkaar ke dekho Mere Nabi ke Sahaba Mere Nabi ke Sahaba Abu Bakro Umar Jaane Muhammad hein Muhammad h...

Mere Aaqa Nigaahe Karam ho Lyrics || Owais Raza Qadri

bheek ata aye nabi mohtasham ho mere aaqa ! nigaah-e-karam ho deed ka hu.n talabgaar aaqa ! hu.n agarche gunahghaar aaqa ! ek jalak apni sarkaar aaqa ! ab dikha do na ek baar aaqa ! is gunahgaar par bhi karam ho, mere aaqa nigaah-e-karam ho Chhut jaaye gunahon ki aadat Rabb ki Dil se karun Mein Ibaadat Aesi karde Tu Nazre Inaayat Bas Tere gham mein Maahe Risaalat Dil tadaptaa rahe aankh nam ho Mere Aaqa Nigaahe Karam ho Hai tamanna Meri Mere Dilbar Dekhlun kaash har saal aa kar Teri Masjid ke Mehrabo Mimbar Aur Roze ka pur kayf manzar Fir bayaan haal ba chashme nam ho Mere Aaqa Nigaahe Karam ho Yaad aata hai Mujko wo Manzar Jab chalaa tha Madine se Dilbar Muztarib Qalb tha Aankh thi tar Us gadi arz ye thi zubaan par Baar baar aaun Aesa Karam ho Mere Aaqa Nigaahe Karam ho Arz karta Ubaide Raza hai Jo Tere Dar ka adnaa gadaa hai Mushkilon mein Shahaa ye giraan hai Tujse imdaad ye chaahta hai Door Iska har ek ranjo gham ho Mere Aaqa Nigaahe Karam ho

Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Lyrics

Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Koi guftagu ho lab par Tera Naam aa gaya hai Tera Zikr karte karte ya makaam aa gaya hai Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Dare Mustafa ka manzar Meri chashme Tar ke andar Kabhi Subho aa gaya hai Kabhi Shaam aa gaya hai Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Jo Sakhi hein Duniya bhar ke Wo gada hein Unke Dar ke Ke Karam ka Unke Hathon mein nizaam aa gaya hai Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Balagal Ulabi Kamalihi Kashafad-dujabi Jamalihi Hasunat Jamee-o-Khisalihi Sallu-Alayhi Wa Aalihi Jise pike Shaikh Saadi Balagal Ulaab pukaare Mere Daste Na-tawaan mein Wohi Jaam aa gaya hai Meri Dhadkan mein Ya Nabi Meri Saanson mein Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi Ya Nabi ...

Mein Adna Gada hun Karam ki Nazar ho Lyrics || Khalid Hasanain

Mein Adnaa Gadaa hun Karam ki Nazar ho Badaa Be Nawaa hun Karam ki Nazar ho Mein Ranjooro Majboor hun Shahe Tayba Mein BeDasto Paa hun Karam ki Nazar ho Chashme Rahemat Ba Kusha Soo-e-Manandaze Nazar Aye Qureshi Lakabo Hashami o Muttalabi Mein Adnaa Gadaa hun Karam ki Nazar ho Bahot Thokarein khayin Duniya Jahaan ki Mein Zakhmi hua hun Karam ki Nazar ho Tere Dar ka Chaahkar Tera Naam Lewa Mein Tera Gada hun Karam ki Nazar ho Duroodo Salaamon ke Haaron koThaame Mein Dar par Khada hun Karam ki Nazar ho Uthaale Mujhe Dastaghire Do Alam Mein Be Dam Padha hun Karam ki Nazar ho Ye hai Arze Ilyas Aye Shafa-e-Kull Badha Be-Nawa hun Karam ki Nazar ho

Abdul Qadir Al Jilani Lyrics || अब्दुल क़ादिर अल जिलानी || Hafiz Ghulam Mustafa Qadri

Roman (Eng) : Abdul Qadir Al Jilani , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani , Abdul Qadir Al Jilani Saare Jahan mein Charcha Tera , Abdul Qadir Al Jilani Jisko Dekha Tera Diwaana , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Hish na Aaye Hosh Udh Jaaye , Kaun hai Wo Jo Hosh mein Laaye Tum Jo Uthaao Rukh se Parda , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Tera Jalwa Unka Jalwa , Unka Jalwaa Tumse Zahir Mazhar Tu hai Mere Nabi ka , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Mein hun Aur Badhdad ki Galiyan , Tera Karam hai Shahe Jilaan Kaise Yakeen Aaye mein Pahuncha , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani   Gyarwih waale Peere Peeraan , Laaj rakho Tum Meere Meeraan Khaali na Jaaye Tera Mangtaa , Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani Abdul Qadir Al Jilani   Peero Murshid Hath Pakad lo , Aah ! Gunahon ka hai Rela Karta hun Tere Hath pe Tauba , Abdul Q...

Duniya bhar mein Fazle Rabb se charche hein Attar ke Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी

Roman(Eng) : Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Badhe Badhe Gun Gaate hein , Inke Suthre Kirdar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Mere Murshid , Sohne Murshid , Zulfein Jinki Pyaari Sarpe Sabz Imama hai , Chehre pe Pyari Dahdi Roohani Jalwe hein Mere Murshid ke Rukhsar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Darse Shariyat dene wale Mere Shaikhe Tarikat hein Gause Paak ke Sadke mein Waliyon se rakhte aqeedat hein Pakke Razwi Aashiq hein Ye Nabiyon ke Sardar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Sindhi , Balochi , Kishto , Punjabi ka Sab Fark Mitaaya hai Jo bhi Aaya Paas mein Inke Usko Gale Lagaaya hai Murshid Unse Pyar hein Karte Jo Aashiq Sarkar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Paygame Sunnat ko Duniya bhar mein Yun Pahunchaya hai Jo bhi Bola Uspe Pehle Karke Amal Dikhaya hai Asia , Yorop Wale hein Gardeeda Inke Pyar ke Duniya Bhar mein Fazle Rabb se Charche hein Attar ke Inke Chaahne Wale...

Mustafa Jaane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Roman(Eng) : Mustafa Jaan-e-Rehmat pe Laakhon Salaam Sham-e-Bazme Hidaayat pe Laakhon Salaam Mehre Charkhe Nabuawat pe Roshan Durood Ghule Baage Risaalat pe Laakhon Salaam Shahere Yaare Iram Taajdare Haram NauBahaare Shafaa'at Pe Laakhon Salaam Shabbe Asra ke Dulhaa pe Daeem Durood Nosha-e-Bazme Jannat pe Laakhon Salaam Fat'he-Baabe Nubuwwat pe be-had Durood Khatme Daure Risaalat pe Laakhon Salaam Muj se bekas ki Daulat pe Laakhon Durod Muj se bebas ki Quwwat pe Laakhon Salaam Ham Garibon ke Aaqa pe be had Durood Ham Fakiron ki Sarwat pe Laakhon Salaam Dooro Nazdik ke Sun ne waale Wo kaan Kaane Laale Qaramat pe Laakhon Salaam Jis ke Sajde ko Mehraabe Kaabaa juki Un bhuon ki Lataafat pe Laakhon Salaam Jis taraf uth gayee dam me dam aa gaya Us Nigaahe inaayat pe Laakhon Salaam Nichi Nazron ki sharmo haya par Durood Unchi bhini ki Rif'at pe Laakhon Salaam Patli Patli Ghule Quds ki Pattiya Un Labon ki nazaakat pe Laakhon Salaam Wo Zabaan jis ko sab ...

Mustafa Mustafa Rehmate Do Jahan Lyrics || Tahir Qadry

Image
Mustafaa Mustafaa Mustafaa Mustafaa Mustafaa Mustafaa Rehmate Do Jahaan Jisko Jo bhi Mila Tere Sadqe mila Roze Mehshar Hamein Tum nahin bhulna Ya Habeebi Muhammad Mein kehta raha Noor ke Motiyon ki Ladi ban gayi Aayaton se milaata raha Aayatein Fir Jo Dekha to Naate Nabi ban gayi Mustafaa Mustafaa Rehmate Do Jahaan Jisko Jo bhi Mila Tere Sadqe mila Roze Mehshar Hamein Tum nahin bhulna Jab hua Tazkira Husne Mehboob ka Waddohaa Keh diya Wal Qamar Padh liya Aayaton ki Tilaawat bhi hoti rahi Naat bhi ban gayi Baat bhi ban gayi Mustafaa Mustafaa Rehmate Do Jahaan Jisko Jo bhi Mila Tere Sadqe mila Roze Mehshar Hame Tum nahin bhulna Jo bhi Aansu bahe Mere Sarkar ke Sab ke Sab Abre Rehmat ke chhinte bane Chha gayi Raat Jab Zulf Lehra gayi Jab Tabassum kiya Chandani ban gayi Mustafaa Mustafaa Rehmate Do Jahaan Jisko Jo bhi Mila Tere Sadqe mila Roze Mehshar Hamein Tum nahin bhulna Naat Khwan :  Hafiz Tahir Qadri Click Here to view all naats of Hafiz Tahir Qadri

Mein to nadaan tha Danishta bhi kya kya na kiya Lyrics

Mein to nadan tha Danista bhi kya kya na kiya Laaj rakh li Mere Sarkar ne ruswa na kiya Joli khali liye laute koi unke dar se Ye kabhi unki sakhawat ne gawara na kiya Wo ghar baithe hi mil jaata hai Jo likhaa ho muqaddar mein Jo qismat mein na likha ho Wo milta hai Madine se Jholi khali liye laute koi Unke dar se Ye kabhi Unki sakhaawat ne gawaara na kiya Jis taraf dekhiye Sarkaar nazar aate hein Aesa lagta hai ke Sarkaar ne parda na kiya Roshni jitni Teri yaad ne failayi hai Maaho Khurshid ne bhi Itna ujaala na kiya Ye bhi Allah ka ek khaas karam hai ke Waqqar Jis pe khud shayda hai Uska hamein diwanaa kiya Laaj rakh li Mere Sarkar ne ruswaa na kiya

Jhoomta Jhoomta Mein Madine Chala || Asad Raza Attari

Marhaba Mukaddar fir Aaj Muskuraya hai Fir Mujhe Madine mein Mere Shah ne Bulaya hai Fir Madine ke Mujko Bulawa mila Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Saya Afgan hui Rehmate Mustafa Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Kaif sa Chha gaya Mein Madine Chala Jhumta Jhumta Mein Madine Chala Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Mere Aaqa ka Dar hoga Peshe Nazar Chahiye Aur Kya Mein Madine Chala Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Ghumbade Sabz par Jab Padegi Nazar Kya Suroor Aayega Mein Madine Chala Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Sabz Ghumbad ka Noor Zang kar dega Door Payega Dil Jila Mein Madine Chala Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Kya Karega Idhar Bandh Rakhte Safar Chal Ubaide Raza Mein Madine Chala Lutf to Jab Mile Mujhse Murshid kahe Chal Ubaide Raza Mein Madine Chala Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala Fir Madine ke Mujko Bulawa mila Tum Chalo na Chalo Mein Chala Mein Chala

Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Lyrics || Hafiz Tahir Qadri || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Image
Roman(Eng): Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Noor wale Mustafa Shehre Aalam mein Aa gaye Dekhte hi dekhte saare Jahan pe chha gaye Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Jagmagaai hai ye Duniya Mustafa ke Noor se  Mehr chamka Maag chamka Mustafa ke Noor se Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Jashne Aaqa par sajin galiyaan Sitaron ki tarha Dil mein Khushiyan raks karti hein bahaaron ki tarha Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Noor wale Mustafa Aa gaye Chha gaye Doston dekho to sahi kaisi galiyaan saji hui hein Kaisi Ronakein lagi hui hein, Har taraf Khushiyan hi Khushiyan hein Har taraf jande hi jande hein Har Jagah Marhaba Ya Mustafa ki sadaein Buland ho rahi hein Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Sarkar ki Aamad ...... Marhaba Dildar ki Aamad ...... Marhaba Huzur  ki Aamad ...... Marhaba Purnoor ki Aamad ...... Marhaba Marhaba Ya Mustafa Marhaba Ya Mustafa Mubarak...

Our Application

Our Application
Google Play Application

All Time Favorite

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana Madani Sehra / फ़ज़ल-ए-रब्ब-ए-पाक से / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer / अल-मदद पीरान-ए-पीर / Lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Hajiyon Mustafa se keh dena Lyrics / हाजियों मुस्तफा से कह देना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics / हमने आँखों से देखा नहीं है मगर / in English Hindi and Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai Lyrics / वो जिसके लिए महफ़िल-ए-कौनैन सजी है / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Juki hui ye jabeen hai, huzoor dekhein na Lyrics / झुकी हुई ये ज़बीं है, हुज़ूर देखें ना / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Madine ke Aaqa Madine ke Sarwar Salam Lyrics / मदीने के आक़ा ! मदीने के सरवर ! सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Shahe Do Alam Salam Assalam Lyrics / शाह-ए-दो 'आलम सलाम अस्सलाम / in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Kitna Pyara hai Pyare Muhammad ka naam || कितना प्यारा है प्यारे मुहम्मद का नाम || کتنا پیارا ہے پیارے محمّد نہ نام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو