Kya bayaan azmatein hon teri shaha

Kyaa bayaan azmatein hon Teri Shahaa
Har dukhi Dil ka Tu Sahaara hai

Rehmatullil Aalameen laqab Tera
Saara Aalam Tera utaara hai
 
Deene Millat ho aur Zeenate Khalq
Raunake falq ho aur Arshe nasheen

Makhlookein saari donon aalam ki
Aur Allah ka Tu pyaara hai
 
Ism to khoon they gumaan me magar
Ek yahi Ism hi pasand aaya

Mere Allah ko Is Ism ke sang
Ik niktaa bhi na gawara hai
 
Tum jo chaaho bulao dar pe jisey
Paye Deedar koi khwaabon mein

Teri ulfat ke hein mareez sabhi
Har koi Dil se Tum pe haara hai
 
Aarzoo waqte najaat hai ‘ Mehboob ‘
Tera Deedare Husn haasil ho

Kalmaa padhtey huwey ye dam nikley
Aur kaho Tum ke Tu hamaara hai

Comments

Quran Shareef

Popular Naat Lyrics

Mustafa Jane Rehmat Pe Lakhon Salam Full Lyrics / मुस्तफा जान-ए-रहमत पे लाखों सलाम

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics / लब्बैक या रसूलल्लाह / لبیک یا رسول اللہ

Koi Duniya-e-ata mein nahin hamta Tera lyrics / कोई दुनिया-ए-'अता में नहीं हमता तेरा

Allah humma Salle Ala Sayyidina Maulana Muhammadin Lyrics / अल्लाहुम्मा सल्ले-'अला सय्यदना व् मौलाना मोहम्मदिन

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics / सिक्का चलेगा आमेना के लाल का / سکہ چلے گا آمنہ کے لال کا

Hum Apne Nabi Pak se yun Pyar karenge Lyrics / हम अपने नबी पाक से यूँ प्यार करेंगे

Gali Gali Saj gayi Shaher Shaher Saj gaya Lyrics / गली गली सज गयी, शहर शहर सज गया

Sohna Aaya Te saj gaye ne Galiyan Bazar Lyrics / सोहना आया ते सज गए ने गालियां बाज़ार

Dekhte kya ho Ahle Safa Lyrics / देखते क्या हो अहले सफ़ा / دیکھتے کیا ہو اہلِ صفا

Maula Ya Salli wa Sallim Salam Lyrics / मौला या सल्ली व सलीम / مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ