Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)


Roman(Eng) :


Kab Gunaahon se Kinaara Mein karunga Ya Rab
Nek Kab Aye Mere Allah ! Banunga Ya Rab

Kab Gunaahon ke Maraz se Mein Shifa Paaunga
Kab Mein bimaar Madine ka banunga Ya Rab

Gar Tere Pyaar ka jalwa na raha Peshe-Nazar
Sakhtiyaan Naz'aa ki kyun kar Mein sahunga Ya Rab

Naz'aa ke waqt Muje jalwaa-e-Mehboob dikha
Tera kya jaayega Mein shaad marunga Ya Rab

Qabr mein gar na Muhammad ke nazaare honge
Hashr tak kaise Mein fir tanha rahunga Ya Rab

Dankh machhar ka bhi Mujse to saha jaata nahin
Qabr mein bichhu ke dankh kaise sahunga Ya Rab

Ghoop andhere ka bhi wahshat ka basera hoga
Qabr mein kaise akela Mein rahunga Ya Rab

Gar kafan faad ke saanpon ne jamaaya kabza
Haaye barbaadi kahaan jaake chhupunga Ya Rab

Haaye maamuli si garmi bhi sahi jaati nahin
Garmi-e-Hashr Mein fir kaise sahunga Ya Rab

Aaj banta hu mu'azzaz jo khule hashr mein ayeb
Aah ! ruswaaee ki aafat mein fasunga Ya Rab

Pul Siraat aah hai talwaar ki bhi dhaar se tez
Kis tarha se Mein Ise paar karunga Ya Rab

Qabr Mehboob ke jalwon ka nazaara karde
Ye karam karde to Mein shaad marunga Ya Rab

Gar Tu naaraz hua Meri halaakat hogi
Haaye Mein Naare-Jahannam mein jalunga Ya Rab

Darde Sar ho ya bukhaar aae tadap jaata hun
Mein Jahannam ki saza kaise sahunga Ya Rab

Afw kar aur sada ke liye raazi ho jaa
Gar karam karde do Jannat mein rahunga Ya Rab

De de marne ki Madine mein sa'aadat de de
Kis tarha sindh ke jangal mein marunga Ya Rab

Izn se Tere Sare Hashr kahein kaash Huzur
Saath Attar ko jannat mein rakhunga Ya Rab


हिंदी(Hindi) :


कब गुनाहों से किनारा में करूँगा या रब
नेक कब अये मेरे अल्लाह ! बनूँगा या रब

कब गुनाहों के मरज़ से में शिफा पाउँगा
कब में बीमार मदीने का बनूँगा या रब

गर तेरे प्यार का जलवा ना रहा पेशे नज़र
सख्तियां नज़अ की क्यों कर में सहूंगा या रब

नज़अ के वक़्त मुझे जलवा-इ-महबूब दिखा
तेरा क्या जायेगा में शाद मरूंगा या रब

क़ब्र में गर ना मुहम्मद के नज़ारे होंगे
हश्र तक कैसे में फिर तनहा रहूँगा या रब

डंख मच्छर का भी मुझसे तो सहा जाता नहीं
क़ब्र में बिच्छू के डंख कैसे सहूंगा या रब

गर कफ़न फाड़ के साँपों ने जमाया कब्ज़ा
हाय बर्बादी कहाँ जाके छुपूँगा या रब

हाय मामूली सी गर्मी भी सही जाती नहीं
गर्मी-इ-हश्र में फिर कैसे सहूंगा या रब

आज बनता हूँ मुअज़्ज़ज़ जो खुले हश्र में ऐब
आह ! रुस्वाई की आफत में फसूंगा या रब

पुलसिरात आह है तलवार की भी धार से तेज़
किस तरह से में इसे पार करूँगा या रब

क़ब्र मेहबूब के जलवों का नज़ारा कर दे
ये करम कर दे तो में शाद मरूंगा या रब

गर तू नाराज़ हुआ मेरी हलाकत होगी
हाय में नारे जहन्नम में जलूँगा या रब

दर्दे सर हो या बुखार आये तड़प जाता हूँ
में जहन्नम की सजा कैसे सहूंगा या रब

अफ़व कर और सदा के लिए राज़ी हो जा
गर करम कर दे तो जन्नत में रहूँगा या रब

दे दे मरने की मदीने में सआदत दे दे
किस तरह सिंध के जंगल में रहूँगा या रब

इज़्न से तेरे सरे हश्र कहें काश हुज़ूर
साथ अत्तार को जन्नत में रखूँगा या रब

Comments

Post a Comment

Popular Naat Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar || Lyrics || Wo Muhammad Madine mein Maujud hai || हमने आँखों से देखा नहीं है मगर || ENG HINDI URDU

Fazle Rabbe paak se beta mera dulha bana || Madani Sehra || Lyrics || फ़ज़्ले रब्बे पाक से बेटा मेरा दूल्हा बना || मदनी सेहरा || Haifz Tahir Qadri

Wo Mera Nabi hai Lyrics || Wo Jiske liye Mehfile Konain saji hai || वो मेरा नबी है || वो जिसके लिए महफिले कोनैन सजी है || وو جسکے لئے محفل کَونَیْن سجی ہے || Lyrics

Allah humma Sallay Ala Sayyidina Wa Maulana Muhammadin Lyrics || अल्लाहुम्म सल्ली अला सैय्यिदिना व मौलाना मुहम्मदिन || ENG HINDI URDU

Shahe Do Alam Salam Assalam || शाहे दो आलम सलाम अस्सलाम || شاہِ دو عالم سلام اَلسَّلام || Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी (Hindi)

Aye Khatme Rasool Makki Madani || अये खत्मे रसूल मक्की मदनी || اے ختم رسول مکّی مدنی || Lyrics || Hafiz Uzair Akhtari

ab to bas ek hi dhun hai ke Madina dekhun Lyrics || अब तो बस एक ही धुन है के मदीना देखूं || اب تو بس ایک ہی دھن ہے کے مدینہ دکھوں || Hafiz Ahmed Raza Qadri

Madine ke Aaqa Salamun Alaik Lyrics || मदीने के आक़ा , सलामुन अलैक || مدینے کے آقا سَلاَمٌ عَلَيْكَ

Unki chokhat ho to kaasa bhi pada sajta hai Lyrics || Asad Attari || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सलीम || Danish & Dawar

Facebook Page