Madina Yaad Karlena Lyrics || Asad Raza Attari


Jeene ki Taraf dekh na Marne ki Taraf dekh
Jab Chot Lage Dil ki Madine ki Taraf dekh

Jo Koi Gham Sataaye to Madina Yaad kar lena
Na Dil ko Chain Aaye to Madina Yaad kar lena

Sahara be-saharon ka Madaawa Gham ke Maaron ka
Na Koi Kaam Aaye to Madina Yaad kar lena

Umuman Zindagi mein Dukh ke Din bhi Aa hi Jaate hein
Kabhi Lamha Ye Aaye to Madina Yaad kar lena

Suna hai Mushkilon mein Sath koi bhi nahin chalta
Zamaana Chhod Jaaye to Madina Yaad kar lena





Kabhi Ashkon ki Boli bhi Khamoshi mein badal Jaaye
Aur Dil Aansu bahaye to Madina Yaad kar lena

Hawaaein bhi Mukhaalif hon Ho Dariya mein bhi Tugyaani
Aur Kashti Doob Jaaye to Madina Yaad kar lena

Kabhi Jo Saans bikhri ho Kabhi Dhadkan Jo Ulji ho
Na Dil bhi Jo Sambhal Paaye to Madina Yaad kar lena

Musibat mein to Har koi Unhin ko Yaad karta hai
Khushi Ahmad Jo Aaye to Madina Yaad kar lena

Comments

  1. Masha ALLAH BHt pyari naat paish ki gae h.

    ReplyDelete
  2. Subhan Allah . Asad Raza Attari very enchanting naat khawan around world. I like his this naat very much. Because it remind me Madina.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Beshak He is world famous naat khaawn no doubt in this .

      Delete
  3. kon writer ne yeh wala kalam likha haa??

    ReplyDelete
  4. Mashallah Bahot hi pyari naat hai jab bhi mai pareshan hoti hu to dill ko sukoon sa milta hai ye naat sun ke ...

    ReplyDelete
  5. MASHALLAH very heart touching

    ReplyDelete

Post a Comment

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Kya Muhammad ka Pyara nahin hun Lyrics

Ya Husain Ibne Ali kehte hein ye Sare Gulam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Fatima Teri Chadar ka kya puchhna || फातिमा तेरी चादर का क्या पूछना || فاطمہ تیری چادر کا کیا پوچھنا || Lyrics

Shah Saware Karbala ki Shah Sawari ko Salam Lyrics || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi)

Marhaba Marhaba , Aye Ali ke Pisar || मरहबा मरहबा, अये अली के पिसर || Lyrics || Sandali Ahmad

Us Husain Ibne Haidar pe lakhon Salam Lyrics Eng & hindi || Ahmed Raza Qadri

Chahate aap to khud daud kar aata pani Lyrics|| चाहते आप तो खुद दौड़ कर आता पानी || چاہتے آپ تو خود دوڑ کے آتا پانی || Roman(Eng) & हिंदी(Hindi) & (URDU) اردو

Hussain Ibn e Ali ne karbala me Ghar lutaya hai Lyrics

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu