Mere Tum Khwaab mein Aao Lyrics || Asad Attari || Roman(Eng) & हिंदी
Roman (Eng) :
Mere Tum Khwaab mein Aao Mere Ghar Roshni Hogi
Meri Qismat Jagaa Jaao Inaayat Ye Badi Hogi
Madine Mujko Aana hai Ghame Furkat Mitaana hai
Kab Aaqa-e-Madina Dar Pe Meri Haazri hogi
Shahensha-e-Madina Do, Tadapne Ka Kareena Do
Wo Aankh Aaqa Inayat ho , Ki Jo Ashkon bhari hogi
Banaalo Apnaa Diwaana , Banaalo Apnaa Mastaana
Khazaane mein Tumhaare Kya Kami Pyaare Nabi Hogi
Ghame Doori Rulaata hai , Madina Yaad Aata hai
Tasalli Rakh Aye Diwane ! Teri bhi Haazri hogi
Muje gar Deed ho Jaaye , To Meri Eid ho Jaaye
Tera Deedar Jab hoga , Muje Haasil Khushi Hogi
Khazaan ka Sakht Pehra hai , Ghamon ka dhup Andhera hai
Zara sa Muskuraa doge , To Dil mein Roshni hogi
Ilahi ! Gumbade Khazraa ke Saaye mein Shahaadat de
Meri Laash Unke Kadmon mein na jane Kab Padhi hogi
Hamein bhi Izn Mil jaaye Shahaa qadmon mein aane ka
Na Jaane Kab Madine mein Hamaari Haazari hogi
Madina Mera ho Maskan Baqee-e-Paak ho Madfan
Meri Ummid ki Kheti , Na Jaane Kab Hari Hogi
Tadap Kar Gham ke Maaron Tum , Pukaro Ya Rasulallah
Tumhari Har Musibat dekhna , Dam mein Tali Hogi
Agar Wo Chaand se Chehre ko Chamkaate Hue Aayein
Ghamon ki Shaam bhi Sub-he Baharaan ban gayi Hogi
Firishte aa chuke Sar par , Bachaalo Shaafaa-e-Mehshar
Chhupa Daaman mein lo Sarwar , Sazaa warna Kadhi Hogi
Gunaahon par Nadaamat hai Aur Ummide Shafa'at hai
Karam hoga Rihaee Naare Dozakh se Jabhi Hogi
Sare Mehshar Wo Jis Dam Jalwa-e-Zayba Dikhayenge
Fazaa Salle Alaa Ya Mustaafa se Goonjati Hogi
Wo Jaame Kausar Apne Haath se bhar kar Pilayenge
Karam se Door Mehshar mein Hamari Tishnagi Hogi
Mein Ban Jaaun Sarapa "Madani In'aamat" ki Tasweer
Banungaa Nek Ya Allah ! Agar Rehmat Teri Hogi
Rahun Har Dam Musaafir Kaash ! Madani Kafilon ka Mein
Karam Ho Jaaye Maula ! Gar Inayat Ye Badhi Hogi
Zaban ka , Aankh ka , Aur Pet ka Kufle Madina Tum
Lagaa Lo Warnaa Mehshar mein Pareshaani Badhi Hogi
Mujhe Jalwa dikha dena , Mujhe Qalma Padha dena
Ajal Jis Waqt Sar par Ya Nabi ! Mere khadi Hogi
Andhera Dhup Andhera hai Shaha ! Wahshat ka dera hai
Karam se Qabr mein Tum Aaoge To Roshni Hogi
Mere Markad mein Jab Attar Wo Tashrif Layenge
Labon Par Naate Shahe Ambiya Us Waqt Saji Hogi

हिंदी :
मेरे तुम ख्वाब में आओ मेरे घर रौशनी होगीमेरी क़िस्मत जगा जाओ इनायत ये बड़ी होगी
मदीने मुझको आना है ग़मे फुरकत मिटाना है
कब आक़ा-इ-मदीना दर पे मेरी हाज़री होगी
शहेंशाहे मदीना दो , तड़पने का करीना दो
वो आँख आक़ा इनायत हो, की जो अश्कों भरी होगी
बनालो अपना दीवाना , बनालो अपना मस्ताना
ख़ज़ाने में तुम्हारे क्या कमी प्यारे नबी होगी
ग़मे दूरी रुलाता है मदीना याद आता है
तसल्ली रख ए दीवाने ! तेरी भी हाज़री होगी
मुझे गर दीद हो जाए , तो मेरी ईद हो जाए
तेरा दीदार जब होगा , मुझे हासिल ख़ुशी होगी
ख़ज़ाँ का सख्त पहरा है, ग़मो का धुप अँधेरा है
ज़रा सा मुस्कुरा दोगे , तो दिल में रौशनी होगी
इलाही ! गुम्बदे ख़ज़रा के साये में शहादत दे
मेरी लाश उनके क़दमों में , न जाने कब पढ़ी होगी
हमें भी इज़्न मिल जाए शहा क़दमों में आने का
न जाने कब मदीने में हमारी हाज़री होगी
मदीना मेरा हो मस्कन , बाक़ी-इ-पाक हो मद्फ़न
मेरी उम्मीद की खेती , न जाने कब हरी होगी
तड़प कर ग़म के मारों तुम , पुकारो या रसूलल्लाह
तुम्हारी हर मुसीबत देखना , दम में ताली होगी
अगर वो चाँद से चेहरे को चमकते हुए आएं
ग़मों की शाम भी सुब्हे बहारां बन गयी होगी
फ़रिश्ते आ गए सर पर , बचालो शाफ़ा-इ-महेशर
छुपा दामन में लो सरवर , सजा वरना कड़ी होगी
गुनाहों पर नदामत है , और उम्मीदे शफ़ाअत है
करम होगा रिहाई नारे दोज़ख से जभी होगी
सरे महेशर वो जिस दम जलवा-इ-जयबा दिखायेंगे
फ़ज़ा सल्ले अला या मुस्तफा से गूंजती होगी
वो जामे कौसर अपने हाथ से भर कर पिलाएंगे
करम से दूर महेशर में हमारी तिशनगी होगी
में बन जाऊं सरापा मदनी इनामात की तस्वीर
बनूँगा नेक या अल्लाह ! अगर रेहमत तेरी होगी
रहूं हर दम मुसाफिर काश , मदनी काफिलों का में
करम हो जाए मौला ! गर इनायत ये बड़ी होगी
ज़बां का , आँख का , और पेट का कुफ्ले मदीना तुम
लगालो वरना महशर में परेशानी बढ़ी होगी
मुझे जलवा दिखा देना , मुझे कलमा पड़ा देना
अजल जिस वक़्त सर पर या नबी ! मेरे खड़ी होगी
अँधेरा धुप अँधेरा है , शहा ! वहशत का डेरा है
करम से क़ब्र में तुम आओगे तो रौशनी होगी
मेरे मरक़द में जब अत्तार वो तशरीफ़ लाएंगे
लबों पर नाते शहे अम्बिया उस वक़्त सजी होगी
Masha Allah
ReplyDeleteMashallah
ReplyDeleteMashallah.. Such a nice kalam..
ReplyDelete