Baad e Ramzan eid hoti hai Lyrics


Roman (Eng) :


Baade Ramzaan Eid hoti hai
Rabb ki Rehmat mazeed hoti hai

Jis ko Aaqa ki Deed hoti hai
Uspe Qurbaan Eid hoti hai

Eid Tujko Mubaarak Aye Saaeem
Rozaadaron ki Eid hoti hai

Rozaadaron ke waaste Wallah
Magfirat ki naweed hoti hai

Be-Namazon ki Rozaakhoron ki
Kaun kehtaa hai Eid hoti hai

Jisko Aaqa Madine bulwaaein
Us Musalmaan ki Eid hoti hai

Mujko Eidy mein do baqee Aaqa
Jaane kab Meri Eid hoti hai

Eid Attar Uski hai Jisko
Khwaab mein Unki Deed hoti hai



हिंदी :


बादे रमजान ईद होती है
रब्ब की रेहमत मज़ीद होती है

जिसको आक़ा की दीद होती है
उसपे क़ुर्बान ईद होती है

ईद तुमको मुबारक ए साईम
रोज़ादारों की ईद होती है

रोज़ादारों के वास्ते वल्लाह
मगफिरत की नवीद होती है

बेनमाज़ों की रोजाखोरों की
कौन कहता है ईद होती है

जिसको आक़ा मदीने बुलवाएं
उस मुसलमां की ईद होती है

मुझको ईदी में दो बाक़ी आक़ा
जाने कब मेरी ईद होती है

ईद अत्तार उसकी है जिसको
ख्वाब में उनकी दीद होती है
ramzan, bade ramzan, eed special, eid special naat, nasheed, dawate islami, dawat-e-islami, ilyas qadri, attar qadri, owais qadri, naat , ramzan naat , eid naat, eed naat,

Comments

Job

Facebook Page

Popular Naat Lyrics

Al Madad Peerane Peer Gaus-e-Aazam Dastageer lyrics in English Hindi Urdu ~ Islamic Naat Lyrics

Labbaik Ya Rasool Allah Lyrics by Hafiz Tahir Qadri in English HINDI URDU ~ Islamic Naat Lyrics

Wo Mera Nabi hai - Wo Jiske liye Mehfil e Konain saji hai - Lyrics - English Hindi Urdu

Humne Aankhon se dekha nahi hai Magar Lyrics in English ~ Hindi ~ Urdu

Faslo ko khudara mita do Jaliyon par Nigahe Jami hai Lyrics in English Hindi Urud by Hafiz Tahir Qadri ~ Islamic Naat Lyrics

Sikka Chalega Amena ka Laal ka Lyrics || Gulam Mustafa Qadri || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI)

Tera Khawan Mein Tere Geet gawan Ya Rasool Allah Lyrics || तेरा खावां में तेरे गीत गावां या रसूलल्लाह || Owais Raza Qadri

Peshe Haq Muzda Shafaat ka Sunate Jaaeinge Lyrics || Roman(ENG) & हिंदी (HINDI)

Maula Ya Salli wa Sallim || Salam Lyrics || मौला या सल्ली व सल्लिम || مَولَاىَ صَلِّ وَسَلِّمْ دَائِمًا أَبَدًا || Danish & Dawar || Roman(ENG) & हिंदी(HINDI) & (URDU) اردو