Bahere deedar mushtaq hai har nazar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Chandani raat hai aur pichhla pahar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Sidratul muntaha arsho baabe iram
Har jagah padh chuka hai nishane kadam
Ab to eek baar apne gulamon ke ghar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Samane jalwagar paikare noor ho
Munkiron ka bhi sarkar shak dur ho
Kar ke tabdeel eek din libase bashar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Shame ummid ka ab sawera hua
Sue tayba nigaon ka dera hua
Bichh gaye raah mein farshe qalbo nazar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Mere gulshan ko ek baar mahekaiye
Apne jalwon ki barish mein nahelaiye
Deedae shok ko kijiye behrawar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Ta abad apni kismat pe nazaan rahe
Khak ho jaye fir bhi farozan rahe
Dil ki bazme tamanna mein eek bar agar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Aakhari wakt hai ek bimaar ka
Dil machal ne laga shoke deedar ka
Buj na jaaye kahin ye charage sahar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye
Shame gurbat hai aur shahere khamosh
Ek Arshad akela kafanposh hai
Khauf ki hai gadi wakt hai purkhatar
Donon aalam ke sarkar aa jaeeye